Cancer ek mahaghatak bimari hai, jo kisi bhi vyakti ko kisi bhi umra mai ho sakti hai. Yadi iska sahi samay par pata nahi chala aur illaj nahi kiya to vyakti ki jaan bhi ja sakti hai. Cancer sharir ke kisi bhi hisse mai ho sakta hai.
Cancer hone ke kai karan ho sakte hai jaise galat chijo ke khane se ya fir anuvanshikta ke chalte, iske atirikt aur bhi kai karan hai jinse cancer koshikaye badne lagti hai. Yeh koshikaye dhire dhire sharir ki pratirodhak shamata ko bhi kam kar deti hai.
Iss bimari se ladne ke liye aapke jivan sheli aur aahar ka mahatvapurn yogdan hota hai. Aap jis bhi tarah ka bhojan karte hai uske anusaar aap kai tarah ke cancer se bach sakte hai. Lekin haa keval ek aahar aapko cancer se nahi bacha sakta balki kai tarah ke khadya padartho ke sayojan ka sevan karne se cancer se bacha ja sakta hai. Jaise stan cancer, twacha ka cancer aur colorectal cancer aadi.
Inn alag alag prakar ke cancer ko dur karne ke liye pratirodhak shamata badane wale aahar jaise hari beans, pyaj, mushroom, jamun, sukhe meve mai badam, akhrot aadi ka sevan karna aapke swasth ke liye bahut faydemand hota hai. Inke bare mai aur jankari ke liye padhiye Anti Cancer Foods in Hindi.
Anti Cancer Foods in Hindi – Bachav Ke Jaruri Aahar
Pattedar Sabjiyo Ka Sevan Kare
- Hari pattedar sabjiya swasth ke liye bahut acchi hoti hai. Lekin wo sabjiya jinme sulfur yogik ki marta bahut ho jaise broccoli, gobhi, patta gobhi aadi ka sevan kar cancer jaisi bimariyo se bacha ja sakta hai. Yeh sabhi prabhavi Cancer Fighting Foods hai.
- Pattedar sabjiyo ke saman hi allium vegetable jaise lahsun ke patte, pyaj ke patte, lahsun aur sukhe pyaj ko khana bahut accha hota hai. Kyoki inme sulfur yogik padarth paye jate hai, jo cancer jaisi bimariyo se ladne mai madad karte hai. Tatha inke jyada sevan se cancer hone ki sambhavnaye kam ho jati hai.
Fiber Yukt Khadya Padarth
- Aapko aahar mai adhik fiber yukt khadya padratho ka sevan karna chahiye kyuki yeh collateral cancer, stan cancer ki koshikao ko badne se rokte hai.
- Iske alawa mushroom mai bhi adhik matra mai fiber hota hai jo koshikao mai jakar unhe badne se rokte hai. Mushroom mai sabse jyada Anti Cancer Property hoti hai.
You May Also Like:- Blood Cancer in Hindi: Jane Iske Lakshan, Karan aur Upchar
Antioxidant Se Bharpur Phal
- Kai aese phal hote hai jinme photochemical tatha antioxidant tatva bharpur matra mai hote hai, jo cancer ki roktham mai bahut madad karte hai. Phal jaise berry, cheery ya inse bane powder ko apne aahar mai shamil karne se cancer koshikao ki vraddhi ruk jayegi.
- Iske alava seb, jamun, tamatar, strawberry jaise phalo mai bhi antioxidant tatva paye jate hai jinhe aap rojana kha sakte hai aur cancer jaisi bimari ko hone se rok sakte hai. Iske alawa yeh anti aging ke liye bhi faydemand hote hai.
Anya Bate Inhe Bhi Janiye:-
- Jab kabhi aap chawal ka sevan kare hamesha dhyan rakhe ki safed chawal ke bajaye bhure chawal ko khaye, yeh cancer se bachane ke sath swasth ke liye bhi acche hote hai.
- Bina chokar wali safed roti ko khane ke bajay chokar se bane huye aate ki roti khana aapke swasth ke liye jyada labhprad hoga. Yeh cancer prevention foods mai se ek hai.
- Snacks mai tale huye aloo ko na khaye balki phal, popcorn, dahi jaise khadya padartho ka sevan kare, kyuki yeh anti cancer aahar mai aate hai. Jisse cancer ke khatre se bacha ja sakte hai.
- Bajar se laye huye packed ras ya fir phalo ke ras ko pine se jyada accha sabut phalo ko khana hota hai, sabut phal jaise seb, nashpati, kela, jaise phalo ko danto se chabakar khaye.
- Aap chahe to ubali hui sabjiya jaise shimla mirch, loki, gobhi, pattagobhi, kakdi aadi ka sevan kar sakte hai, inme hone wale poshak tatva aapko cancer jaisi bimari se surakshit rakhenge.
- Aese khadya padartho ka sevan na kare jo uchh glycemic prasanskrat ya pashuo se nirmit ho kyuki inse cancer hone ki sambhavnaye adhik bad jati hai.
Upar aapne jana Anti Cancer Foods in Hindi. Yadi aap nahi chahte hai ki cancer jaisi paristhitiyo ka samna aapko kabhi bhi karna pade to upar di gaye khadya padhartho ko apne aahar mai shamil kare. Sath hi yadi aap vyayam ko bhi apni dincharya mai shamil karenge to aapke swasthya ke liye accha hoga.