असामाजिक व्यक्तित्व विकार से बचने के लिए जाने उपचार के तरीके

Antisocial Personality Disorder ek mansik bimari hai. Iss Bimari se grasit log swayam ke liye aur dusro ke liye bhi pareshani ka karan ban sakte hai. Iss bimari se grasit log dusro ko darakar rakhna chahte hai. Aur dusro ke samman tatha adhikaro ki parvah nahi karte hai.

Iss samaya se grasit kisi bhi apradh ko anjaam dene se pehle sochte nahi hai. Yaha tak ki aese log jab dusro ko dard dete hai to unhe samne wale ke dard ka anubhav bhi nahi hota hai. Yeh log bina soche samjhe kisi ke sath bhi ahinsa karne lag jate hai. Iss disorder ke chalte aise logo ko kanun ka bhi dar nahi hota hai.

Antisocial personality disorder bimari se grasit rogi kisi bhi galat ya sahi baat par vishwas nahi karte hai. Ve tabhi is baat ko mante hai jab unhe saja ya maar se daraya jaye.  Yeh bimari unhe dusro ka shoshan karne ke liye badava deti hai. Iss disorder se grasit vyakti dusro ko dhokha dene aur unhe nuksaan pahuchane hi apna maksat samjhte hai.

Aise log sirf apne bare mai sochte hai. Inhe kisi aur se koi matlb nahi hota hai. Inke dwara diya gaya dukh dusro ko kitna dukhi karta hai unhe iss bat ki jara si bhi shram mehsus nahi hoti hai. Yeh bimari din pratidin badhti jati hai. Wakt rehte yadi iss bimari par dhyan diya jaye tabhi iska illaj sambhav hai. Iss bimari ke bare mai vistar se janne ke liye padhe Antisocial Personality Disorder in Hindi.

Antisocial Personality Disorder in Hindi: Jane Lakshan aur Upchar

Antisocial Personality Disorder in Hindi

Ham kisi bhi bimari ka illaj tabhi kar sakte hai, jab hame iske bare mai pata chal pata hai. Yadi lakshano ko ham pehchan le to isse nijat diali ja sakti hai. To aaiye jane Antisocial Personality Disorder Symptoms in Hindi.

Antisocial Personality Disorder Symptoms: Asamajik Vyaktitv Vikar Ke Lakshan

 

Vyakti Ka Aakramak Hona

Antisocial Personality Disorder bimari se grasit log asamanya vyvahar karte hai. Iss bimari ke karan wo kisi par bhi bina baat ke gussa ho jate hai. Iss bimari ke chalte marij dusro ko aasani se dukh pahucha sakte hai. Inka vyvhar samaj ke anusaar bahut hi alag hota hai. Jab wo gusse mai hote hai to bahut hi jayda akramak aur chidchide hote hai. Tatha bina soche samjhe kisi bhi tarah asamanya harkat karne lag jate hai.

Tanav Lene Ki Kshamta Kam Hona

Iss vishya par sodh karne wale visheshgyo ka manna hai ki iss prakar ke rogiyo mai alag tarah ki vigyani pratikriyao ko dekha gaya hai. Aise logo mai tanav lene ki shamta samanya vyaktiyo ki tulna mai kam hoti hai. Iss bimari se pidit rogiyo mai saja ke dwara hi samanya vyavahar ko sikh sakte hai.

Aise vyakti samay se pehle hi hinsak rup se apne aapko khatam kar sakte hai. Iss bimari ke hone ke kuch karan samne aaye hai. Jaise berojgari, vivah tutna, ya gair jimeddar mata pita ka hona. Iss tarah ki pareshaniyo mai uljhe vyaktiyo mai iss tarah ki bimariyo ke hone ka lakshan jyada paye gaye hai.

Apne Dosh Dusro Par Dalne Ki Aadat

Dimag ka vo bhag jaha par sochne samjhne tatha yojna aur nirnay lene ki shamata hoti hai. Aise logo mai samanya logo se kuch bhinnta dekhi gai hai. Iss tarah ke logo mai apne gusse par niyantran ki bahut kami hoti hai. Antisocial personality disorder ke shikar log gair jimmedar, nirdyi aur dussahasi hote hai.

You may also like:- Bipolar Disorder Treatment In Hindi: Ise Dur Karne Ke Upaye

Aamtour par doctors rogi ke itihas ke aadhar par bimari ki pehchaan karta hai. Waise to iss bimari ka pata lagane ke liye koi satik janch uplabdh nahi hai. Iss rog ke karan mansik rog hota hai. Iss rog se grasit log dusro ki bhavnao ko samjhte to hai. Lekin Inke dwara diye huye kashto par unhe sharm mehsus nahi hoti hai.

Balki aese log dusro ki kamjori ka fayda uthane ki koshish karte hai. Swayam ke dwara kiye gaye galat karya ko aise log bahut aasani se dusro par dosharopan kar dete hai. Aise log jyadatar taklif mai hote hai. Kyunki wo khud se har jate hai. Samanya jivan jine wale logo ke apeksha inke pass kam khushiya hoti hai.

Chidchida Vyavahar

Aise rogi bachpan mai huye mata pita dwara upeksha ka shikar hone ki wajah se bhi iss bimari se grasit ho jate hai. Yeh nobat tab aati hai jab unhe samjhne wala koi nahi hota hai. Inn logo ka vyvahar chidchida hota hai. Yeh mansik samsyao se ghire hote hai. Sabse jyada khtarnaak baat yeh hai ki aise log apni aur dusro ki jaan asani se le sakte hai. Aur iss bat ka inhe bikul bhi pachtava nahi hota hai hai.

Antisocial Personality Disorder Se Bachav

Antisocial personality disorder se pidit rogi aapke apman ke nahi balki unhe medical ilaj ki jarurat hoti hai. Agar kisi bhi vyakti mai nimnlikhit lakshan jaise chidchidapan, dusro ko shati pahuchana, dusro ki bilkul bhi parvah na karna, kisi bhi vyakti se dostana purvak vyavhar naa karna, swarthi hona, dusro ka bewajah apman karna, alchohal ka adhik sevan karna, kharab mood, aadi dikhai dete hai to iska matlab who vyakti antisocial personality disorder se grasit hai. Unhe jaldi se jaldi manochikitsak ko dikhana chahiye aur illaj shuru karna chahiye.

Iss rog se grasit vyakti kai tarah ki avanchit harkte karta hai. Jiski wajah se iska ek satik illaj dena sambhav nahi hai. Behtar hoga iske shuruvati dour mai hi rogi ko manochikitsak ke pas le jaya jaye jisse uske galat vyavhar aur rahansahan ke upar niyantran kiya ja sake.

Antisocial Personality Disorder Symptoms in Hindi

 Antisocial Personality Disorder Causes ki baat kare to bachpan mai apne bado ke dwara hone vali tulna ki vajah se vyakti is bimar ka shikar ho jata hai. Samaj mai aise kai log hai jinki sahayata karne wala koi nahi hota hai.  Jaha accha vyvhar karna kamjori mana jata hai.

Vaise to iss rog se bachne ka koi satik illaj nahi hai. Kintu samajik vatavaran mai sudhar se kai logo ko iss bimari se bachaya ja sakta hai. Khaskar ye sudhar jeevan ke sudhar mai ho. Iss tarah ki samasya se doctor se jarur paramarsh le.

You may also like:- Bekar Ke Tanav Se Ho Sakta Hai Schizophrenia

 

Antisocial Personality Disorder Treatment: Iska Upchar

Iss rog se pidit vyakti ko chikitsa ki bahut jarurat hoti hai. Iss bimari se ladne ke liye psychotherapy ko upyog mai laya jata hai. Chote baccho mai psychotherapy ka bahut jaldi asar hota hai. Rojgar, shiksha aur khud mai aatmvishvaas dilane se aise vyaktiyo mai kuch labh ho sakta hai. Psychotherapy iss rog se shikar logo mai dusre vyaktiyo ke liye sanvedsheel hona sikhati hai.  Aur naye lakshyo ko lekar samaj mai kuch accha karne ke liye prerit karti hai.

Cognitive Therapy:- Cognitive therapy ke dwarara iss rog se pidit rogi ko accha vyavhar, Khush rehna, tatha saja milne ke bad accha kaam karne ke liye protsahit karta hai. Samanya rup se dekha jaye to yeh bimari purusho mai 3% aur mahilao mai 1 % hoti hai. Iss rog ko samanya rup se yuva avshtha mai jyada dekha gaya hai. Lekin yeh rog kisi bhi umra ke vyakti ko ho sakta hai. Iss bimari ke upchar mai nai aur adarsh taknik abhi tak nahi mil pai hai. Jise hum pehle bata chuke hai ki iss bimari ke liye koi pramanik illaj nhi hai.

Anya Tarike Se Kare Upchaar:- Kai mamlo mai dawaiyo ka bhi sahara liya jata hai. Selective serotonin reuptake jaisi davai chidchidapan ko kam kar sakti hai. Jin bhi logo mai is prakar ki samsya hoti hai, wo iss bat ko nahi samjh pate hai ki unhe koi samsya hai. Isliye unhe ajmana bahut mushkill hota hai. Shuru mai iska ilaaj hua to iska thik hona sambhav hai. Yadi kai samay bad iska illaj karvayenge to thik hona bahut mushkil hai.

Upar aapne jana Antisocial Personality Disorder. Prarambhik dour mai hi iski chikitsa shuru ho gayi to iske safal hone ki sambhavana adhik hoti hai. Kai bar iss bimari se pidit vyaktiyo ko nyay pranali ke dwara hi surksha mil pati hai. Kuch mamlo mai unhe sudhar grah ya punarvass bheja jata hai.

Loading...

You may also like...