Hume prakrati se anek aise phalo ki prapti huyi hai, jinse hum kai tariko se apne swasth ko behtar bana sakte hai. Aaj hum aapko apple se banane wale sirke ke swasth labh batane ja rahe hai.
Seb ka sirka ek bhure rang ka dravya hai. Jo iske khamir uthane se banata hai. Iss sirke ka upyog sehat ke liye bahut hi labhkari sabit hota hai. Ayurved mai ise aushadhi ki tarah istemal kiya jata hai.
Seb ke sirke ko log bahut pasand karte hai. Seb ke sirka khane ke sath lagane me bhi upyog kiya jata hai. Shahad me thoda sa seb ka sirka milakar pine se thandi aur jhukham se bacha ja sakta hai.
Hajaro salo se seb ke sirke ka istemal anek rogo ke upchar mai kiya jata raha hai. Kyuki isme sankramano ke upchar ki shamata hoti hai. Seb ke sirke mai bahut se jaruri vitamin aur poshak tatv hote hai.
Jiski vajah se ye jisme bhi milaya jata hai vo gunkari ho jata hai. Agar aap kisi bhi prakar ke sharirik dard se pareshan hai to aap iska upyog jarur kare. Yah dard se rahat pane ka bahut hi accha nuskha hai. Aaiye vistar se jante hai Apple Cider Vinegar in Hindi.
Apple Cider Vinegar in Hindi: Janiye Iske Sharirik Labh
Seb ke sirke ka niyamit sevan karne se pachan behatar hota hai aur isse avsad, gathiya, ucchraktchaap , ucch cholesterol jaisi kai bimariyo se mukti milti hai. Isko sharir par lagane se dag dhabbe thik ho jate hai. Bajar mai kai prakar ke sirka milta hai. Lekin seb ka sirka sabse jayda kargar hota hai. Seb ka sirka baki sirke ki tulna mai kafi tej hota hai. Aap apne danto ko chamakdar banana ke liye bhi seb ke sirke ka istemal kar sakte hai. Yeh pure muh ki safai acche se karta hai.
You may also like:- Sirka ke Kuch Bemisaal Upyog, Jo Aapne kabhi Nahi Sune Honge
Nutrients | Quantity |
---|---|
Calories | 81 Calorie | Iron | 0.25 mg | Zinc | 0.05 mg | Fat | 0.5 mg | Sodium | 1 mg | Magnesium | 6 mg | Vitamin A | 74 International Units | Calcium | 10 mg |
Seb Ke Sirke Ke Poshak Tatva
Seb ke sirke mai acetic amla paya jata hai. Jo aahar nali me mojud jivanuo ko nasht kare mai sahayak hota hai. Seb ke sirke ke andar pectin mojud hota hai, jo pani mai ghulansheel reshe ke rup mai hota hai. Aur pachan tantra mai pani, vasa, aur cholesterol ko bhahr nikalne me madad karta hai. Seb ke sirke mai calcium, potassium, iron kai aise poshak tatv hote hai jo hamari twacha ke liye bahut jaruri hai. Iska upyog hum sondrayata badhane ke liye bhi karte hai. Sath hi isme astringent hota hai, jo chehare aur gale ki tvacha ko swasth banata hai. Aur dhyan rakhe ki yeh apki aankho ke sampark main na aaye. Isse aankho ko hani pahuch sakti hai.
Apple Cider Vinegar Benefits: Jane Iske Labh
Seb ke sirke mai bahut se aise poshak tatv hote hai, jo antrik aur bahari sharir ke liye atydhik labhkari sabit hota hai. Aaiye jante hai Apple Cider Vinegar Benefits–
Rakt Mai Sharkara Ke Sttar Go Ghatana
Seb ka sirka rakt ki sharkara ke sttar par bhi prabhav dalta hai. Aisa isliye hota hai kyuki seb ke sirke ka starch aur carbohydrate ke pachan mai milkar rakt me sharkara ke avshoshan ko kam kar deta hai. Isi karan rakt mai sharkara ka sttar sthir ho jata hai. Isme acetic amla hone ki vajah se mand ke pachan mai sahayak hota hai. Jisse rakt nalikao mai sharkara ka sttar kam hota hai. Acetic acid ka upyog madhumeh ke rogio ke liye bahut accha hota hai. Parntu iska sevan karne se pehle chikitsak se jarur paramarsh le.
Balo Ke Liye Labhkari
Seb ke sirke se baal dhone se sar ki sari gandgi nikal jati hai. Isse pure balo ki bahut acche se safai ho jati hai. Yadi apke balo mai rusi ki samsya hai to pani aur seb ke sirke ki adhi adhi matra lekar milaye aur tab tak lagaye jab tak ki rusi khtam na ho jaye. Seb ke sirke se sar dhone se prakratik tel ko chodkar baki sari utpaad ya gandgi ko bahar nikal deta hai.
3 cup seb ke sirke mai, 3 cup pani aur 3 se 4 bund rojmeri ki milakar use bottle mai rakh le aur jab bhi sar dhona ho tab use thodi der pehle jado mai acchi tarah laga le. Uske kuch der baad conditioner se dho le. Isse apke balo ke jhadne ki samasya bhi khtam ho jayegi aur aapke baal majbut, lambe tatha chamakdar bante hai.
Bure Cholesterol Ko Kam Kare
Seb ke sirke mai pectin hota hai jo sharir ke ander bure cholesterol ke sttar ko kam karta hai. Kai logo ko pectin se allergy bhi hoti hai. Jin logo ko isse allergy ho vo iska sevan na kare.
Vajan Ghtane Mai Sahayak
Kuch addhyano se pata chala hai ki seb ka sirka vasa ko kam karne mai sahayak hota hai. Isme rakt sharkra ko niyantrit karne ki shamta hoti hai. Jisse vajan kam hota hai. Isliye jab bhi aap motape se grasit ho jaye, to aap roj rat ko 2 chammach sirka gungune pani ke sath piye ya aap iss mishran mai shahad bhi mila sakte hai. Isse apka motapa kam ho jayega. Sath hi isme mojud acetic acid bhookh ko kam karne mai bhi sahayak hota hai.
Sujan Kam kare
Seb ke sirke ko nahane ke pani dalkar nahane se sharir par dhoop se jali hui twacha ya jhurriya hat jati hai. Agar aapki aaharnali me sujan hai to aap isse salad ya pani ke sath sevan karenge to sujan khtam ho jati hai.
Manicure Bhi Kar Sakte Hai
Manicure karvane ke liye hame parlour jana padta hai, parntu manicure ke liye itna time parlour mai dene ke baad bhi sirf ek ya do din nakhuno ki chamak rahti hai. Uske baad vo chamak kho jati hai. Isliye lambe samay tak nakhuno ki chamak ko rakhne ke liye manicure karne se pehle seb ke sirke ko nakhun par laga kar sukhne de aur jayda acche parinaam ke liye qutical cream ya fir tel lagakar seb ke sirke ka istemal kare. Iss prakriya mai nakhono se aasani se tel nikalta hai. Jisse polish nakhuno par lambe samay tak rehati hai.
You may also like:- Gel Nails VS Acrylic Nails: Chune Nakhuno ke liye Behtar Style
Shave Ke Baad Kare Upyog
Shave karne ke baad chehre ki twacha razor ke karan cut ya chil jati hai. Iss kati hui twacha ko sukun dene ke liye after shave lotion ka istemal kiya jata hai. Iss lotion ke bajaye aap seb ke sirke ka istemal kar sakte hai. Ye antiseptic guno se kati hui twacha ko thik karta hai. Sath hi yah twacha ko nami tatha band rom chidro ko kholta hai. Ek bottle mai sirka aur pani ka mishran milakr rakh le aur jab bhi prayoh karna ho usse hilakar upyog kar le.
Cellulite Kam Kare
Seb ka sirka vasa ko todane aur use jamne se rokane mai madad karta hai. Jo ki cellulite ka kam karne ke bhut upyogi hai.
Yeast Sankraman Se Bachav
Seb ke sirko ka pratidin 2 chammach sevan karne se mahilao mai yeast sankraman rog se mukti dilate hai. Halaki yah har vyakti ke liye asarkari ho ye jaruri nahi hai aur iska prayog karte samay dhayan rakhna chahiye.
Muhase Ke Liye Faydemand
Yadi aapke chehre par muhase ho gaye hai to, cotton par seb ke sirke ki kuch bund dalkar usse chehre par lagaye. Isse apke chehre ki sari ashuddhiya hat jayegi aur chehre se sabhi daag ke nishan bhi hat jayenge.
Jodo aur Gardan Ka Dard
Yadi aake jodo mai dard hai to aap seb ke sirke ko thoda sa lekar dard wali jagah par lagaye. Aisa karne se apke dard mai rahat milegi. Agar aap 2 chammach seb ka sirka, 1 chammach tel, jaise nariyal ka tel milakar ise rojana malish karenge, to kuch hi dino mai aapko dard se nijat mil jayegi.
Agar aaapko gardan mai dard ho raha hai to, seb ke sirke ko 6 cup gungune pani mai milakar ek kapde ko usme bhigo le aur use gardan par rakh le, kuch hi samay mai aapko gardan ke dard mai labh mehsus hoga.
Janiye Seb Ke Sirke Ke Kuch Anya Fayde
- Apple vinegar ko baalo mai lagane par baalo ki rusi khatam ho jati hai.
- Yeh sugar ke levan ko kam karta hai aur madumeh ke rogo se ladta hai.
- Seb ke sirke ka sevan, cancer ki koshikao ko badne se rokta hai.
- Yeh twacha mai moujud pH maan ko nirdharirt karne mai madad karta hai.
- Isme antibacterial tatva hote hai jo twacha se red spot ko hatate hai.
- Rojana ek chhoti chammach vinegar ke sevan se muh ki badbu bhag jati hai.
- Agar aap iska sevan roj karte hai to cancer hone ki sambhavna kam ho jati hai.
- Yeh aapki twacha par toner ki tarah kam karta hai, jisse acne dur hat jate hai.
- Seb ke sirke se roj subah gargle karne par danto se pilapan hat jata hai aur daant safed hote hai.
Upper aapne jana Apple Cider Vinegar in Hindi, ke bare mai kuch aise mahatvpurn sharirik fayde. Agar aap inme se kisi bhi prakar ke rog se pidit hai to bataye gaye upcharo ko apnaye aur swasthya sharir banaye rakhe.