Arranged Marriage First Meeting Questions: Jarur Jaan Le

India mai jyadatar shadiya arrange marriage hi hoti hai. Arrange marriage mai sabse dilchasp aur mahatvapurn hoti hai ladke aur ladki ki pehli meeting. Pehle to jab bhi koi ladka, ladki ko dekhne jata tha to sari baate keval ghar wale hi ek dusre se puchte the.

Lekin aajkal ladke – ladkiyo ko bhi mouka diya jata hai, ki wo ek dusre se jo sawal karna chahte hai kar le. Har koi chahta hai ki uska life partner accha ho. Isliye yeh samay aapke liye bahut kaam ka hai.

Iss wakt aapko sare jaruri sawal kar lena chahiye, kyoki aapko usi aadhar par jindagi bhar ka faisla lena hai. Kyoki love marriage nahi hai ki jisme aap pehle se ek dusre ko jaan lenge. Aaiye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Arrange Marriage First Meeting Questions.

Arranged Marriage First Meeting Questions: Kya Puche Kya Nahi

Arrange vivah mai hone wali meeting parents’ rakhte hai. Aapko akele mai baat karne ke liye keval 15 se 20 minute milte hai. Isliye aapko pehle se hi taiyar rehna chahiye. Baad mai kahi aesa na ho ki aap kahe ki yeh puchna to reh gaya. Yadi aapko nahi samajh aa raha hai to koi baat nahi ham aapko bata rahe hai ki aapko kya Arranged Marriage Questions puchna chahiye, kya nahi?

Yeh Sawal Jarur Puch Le:-

Hobbies aur Pasand Puche


Samne wale person se yeh sawal jarur karna chahiye ki uski life partner ko lekar expectation kya hai. Yeh question ladke aur ladki dono ko karna chahiye. Ham jante hai ki direct iss tarah ke question puchna aapko thoda ajib lag sakta hai. Isliye shuruwat aap samne wali ki hobbies puchkar kar sakte hai.

Career Ke Bare mai Puch le

Kuch ladko ko job karne wali ladki chahiye hoti hai aur kuch ko nahi. Isliye yeh question bhi ladki se jarur kar le ki wo shadi ke bad work karna chahti hai ya nahi taki aapko decision lene mai madad mil sake.

Ladkiya bhi ladka kya kaam karta hai, kab se kar raha hai aur kis company mai kar raha hai acche se samajh le.

Mata- Pita Ke Prati Jimmedari

Kuch ladkiya apne parents ki emotional hi nahi balki financial tour par bhi madad karna chahti hai. Lakde mai iss baat ko lekar kitni understanding hai iss baat ko janne ki koshish kare.

Ladka aapke parents aur aapki aapke parents ke prati jo responsibilities hai unki kadar kare yeh bahut jaruri hai. Isliye iss baat ko pehle hi discuss kar le.

Nuclear Family Ya Fir Joint

Kuch ladkiyo ke liye joint family mai adopt ho pana thoda mushkil hota hai. Aese mai wo nuclear family mai jana hi pasand karti hai. Wahi kuch ladkiya bachpan se joint family mai rehti hai to unke liye nuclear family mai rehna thoda mushkil hai.

Isliye ladke ko ladki se yeh sawal jarur puch lena chahiye ki ladki nuclear family mai rehna pasand karti hai ya joint.

Questions to Avoid in the First Meeting: Yeh question Na Puche

Aapne upar bataye gaye sare question puch liye hai aapko sare jawab sunkar santushti bhi mil gayi. Samne wala person aapko pasand bhi aa gaya hai. Lekin aapke kuch sawalo ne sari situation kharab kar di. Aesi paristithi yadi aap nahi chahte hai to galti se bhi yeh question pehli meeting mai na kare:-

  1. Ladko se unki salary aur ladkiyo se unki umra nahi puchni chahiye. Aur yadi ladki bhi job karti hai to usse salary na puche.
  2. Family planning karna acchi baat hai. Lekin pehli meeting mai yeh sawal bilkul na puche ki samne wala kitne bacche chahta hai.
  3. Tumhare pass kitna bank balance hai yeh sawal pehli mulakat mai karte, please income tax officer banne ki koshish na kare. Isse aesa pratit hota hai ki life mai aapki first priority paisa hai.
  4. Ladki se kabhi bhi yeh na puche ki uske past mai kitne boyfriend rahe hai. Iss sawal se aapki image acchi nahi banegi. Ladkiyo bhi iss baat ka khayal rakhe.
  5. Ladki se uski virginity ke bare mai katai na puche. Warna iss kya agle janam mai bhi wo ladki aapko haa nahi kahegi.
  6. Ladkiya kabhi bhi yeh na puche ki wo kaisi lag rahi hai. lakde iss matter mai aasani se zuth bol sakte hai to wo ha bhi keh sakte hai ya fir na bolkar aapka dil bhi tod sakte hai.

Upar aapne jana Arranged Marriage First Meeting Tips in Hindi. Yadi aap bhi shadi karne ki planning kar rahe hai aur kisi se milne wale hai to upar batai gayi baato ko dhyan mai jarur rakhiyega.

Loading...

This website uses cookies.