Artery Cleansing Food: Aahar Jo Dhamniyo Ko Rakhenge Saaf

Ham sabhi jante hai ki sharir ko swasth rakhne ke liye swasthvardhak bhojan lena jaruri hai. Yadi aap sahi tarah ka bhojan lete hai to aapka sharir bimariyo se dur rehta hai. Sahi tarah ke bhojan lene se hamara vajan niyantrit rehta hai, chehre par ronak rehti hai, ham active mehsus karte hai, sath hi dhamniya bhi avrudhha nahi hoti hai. Ji haan darahsal lakho logo ki mrityu ka karan sirf unki dhamniyon ka avaruddha hona hota hai. Isliye dhamniyo ka khayal rakhna bhi behad hi upyogi hai.

Hamari aayu badhne ke sath, sharir ke vibhinna hisso ki rakt vahikao mai, jisme ki coronary arteries bhi shamil hai, cholesterol jam jata hai. Aur rakt ke bahav mai dhire dhire baadha utpann kar deta hai. Iss rukawat ke kai karan hai jaise ki, kharab khan pan ya aniyamit jivan sheli aadi ho sakte hai. Dhamniyo mai rukawat se kaafi ghambhir parinaam ho sakte hai.

Halanki kuch vishesh aahar khane se ve aapki dhamniyo ko saaf karte hai. Aur inhe badhit nahi hone dete. Iss article mai aapko kuch is tarah ke foods ke baare mai bataenge jo dhamniyo ko chok hone se bachaega aur usme rakt ka pravah sucharu roop se hoga. Iss prakriya ko kai log plack build up karna bhi kehte hai. To aaiye jante hai Artery Cleansing Food ke bare mai.

Dhamniyo Ko Saaf Rakhne Wale Aahar

Artery Cleansing Food

Sukhe Meve

Sukhe meve mai Vitamin E, Omega 3 fatty acid aur Fiber hota hai. Jo sirf sharir ko majbut hi nahi banata balki dhamniyo ko saaf karne mai bhi sahayak hota hai. Nuts khane se dil ke rog aadhe se bhi kam ho jate hai. Sukhe mevo mai monounsaturated fatty acids aur suraksha flavonoids ka mishran hota hai. Jo dil ke liye vardan hai.

Avocado

Avocado, dhamniyo ko saaf rakhne wale khadya padharth mai sabse jyada accha hota hai. Har mahilaye pratidin iska sevan kare to unke sharir se bad cholesterol ki matra kam ho jayegi aur unke sharir mai rakt ka sanchar acchi tarah hoga. Maxico mai kiye gay ek sodh ke anusar jin logo ko  ek saptah avocado khilaya gaya, unke rakt mai cholesterol ke star mai ausatan 17 pratishat ki giravat hui hai. Sath hi unke LDL cholesterol ka star gira aur HDl cholesterol mai vriddhi hui.

Adrak aur Lehsun

Yeh sharir mai badhe hue cholesterol ko kam karte hai. Rojana ek ya do lehsun khane se hriday swasth rehta hai. Yeh dono hormonal kriya ko thik karte hai. Aur khoon mai gandagi ko bhi saaf karte hai.

Dalchini

Lagbhag har ghar mai dalchini ka istemal kiya jata hai. Iska istemal karne se khana ka swad badh jata hai. To ham aapko bata de ki yeh khana sirf tasty hi nahi balki healthy bhi banata hai. Darahsal iske pryog se 26 pratishat tak ka cholesterol ghat jata hai.

Hari Chai

Hari chai ke swasth laabh ke baare mai to ham sabhi jante hai. Shayad hi yaha kisi introduction ki jarurat ho. Green tea mai bharpur matra mai antioxidant hota hai. Din mai do cup green tea aapki body ko hamesha fit rakhti hai.

Palak

Jab hari pattedar sabjiyo ki baat ki jaye to palak ka naam sabse pehle aata hai. Yeh potassium se bharpur hoti hai. Aur isme iron bhi kaafi matra mai hota hai. Iron ki matra sharir mai paryapt matra mai hone se oxygen ka sanchran acchi tarah hota hai. Aur dil ke rogo mai bhi kami aati aati hai.

Jaitun Ka Tel

Aksar mahilaye unke shari mai badh rahe atirikt vasa ko lekar pareshan rehti hai. Mahilao ke liye jaitun ka tel bahut labhkari hota hai. Isse unke sharir mai vasa ki matra kaafi kam ho jati hai aur cholesterol bhi ghat jata hai.

Sabut Anaj

Sabut anaj mai bharpur matra mai fiber paya jata hai.  Iske alawa isme Vitamin E, Vitamin B aur anya tatva jaise jasta, selenium, tamba, loha aur magnesium moujud hote hai. Iska sevan dil ke liye behad hi faydemand rehta hai. Yeh sharir mai khoon se cholesterol ki binding rakhta hai aur rakt ko bhi suddha banaye rakhta hai.

You May Also Like:- Janiye Cancer Causing Foods se Jude Kuch Tathaye

Anar Ka Ras

Anar mai cytochemical aur antioxidant hota hai. Jo dil ko durust banaye rakhta hai aur dhamniyo ko healthy rakhta hai.

Broccoli

Broccoli mai bharpur matra mai Vitamin K hota hai jiske karan sharir mai cholesterol jyada nahi hota hai. Mahilao ko hafte mai kam se kam ek baar broccoli ka sevan jarur karna chahiye, isse sharir ka uchharaktchaap control mai rehta hai.’

Saman Machli

Saman machli mai omega 3 fatty acid prachur matra mai hota hai. Jo dil ki dhamniyo ko majbut banata hai aur dhamniyo ko saaf bhi rakhta hai. Yeh Hdl yane acche cholesterol ko bi badhata hai aur Artery Blockage hone se rokta hai. Ek shodh ke anusar jo log hafte mai do baar machali khate hai. Unki mout hriday rog se hone ki chances 3 guna kam ho jate hai.

Haldi

Haldi mai kurkumin namak tatva hota hai jo dhamniyo ki clean rakhta hai. Vaise haldi, aushdhiyo guno se bharpur mani jati hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...