Arthritis Diet in Hindi – Gathiya Rogi Kya Khaye, Kya Na Khaye?

Gathiya rog jise amavat bhi kaha jata hai. Yeh ek bahut pidadayak bimari hai. Gathiya rog sharir ki haddiyo mai uric acid ki matra jyada bad jane se hota hai. Jab yeh uric acid haddiyo mai jamne lagta hai to gathiya rog ka rup le leta hai.

Uric acid kai tarah ke aahar ko khane se banta hai. Iss rog ke hone par pidit vyakti ke sharir ke kai hisse jaise jodo mai dard, akdan ya fir sujan aa jati hai aur kai bar jodo mai gathe bhi ban jati hai. Inn hisso par hath lagane par aur aese bhi dard bana rehta hai.

Gathiya ki samasya mahilao se jyada purusho mai adhik dekhne ko milti hai. Mahilao mai yeh samasya estrogen ki kami ke karan ya anya karano se hoti hai. Yeh bimari anuvanshik karano ke chalte bhi ho sakti hai arthat yadi aapke mata pita iss bimari se grasit hai to aapko bhi yeh bimari ho sakti hai.

Gathiya ke rogi ko yeh malum hona chahiye ki use kis prakar ka aahar lena hai. Kuch aaharo ka sevan gathiya rog se kai had tak rahat pahuchate hai. Aaiye jante hai Arthritis Diet in Hindi.
 

Arthritis Diet in Hindi: Gathiya Rog mai Jaruri Aahar

 

 

Haldi

Haldi sabse purana aur ayurvedik illaj hai. Jis tarah sharir ke kisi hisse mai sujan hone par dudh mai haldi dal kar pi jati hai ussi tarah jodo mai dard ya sujan hone par haldi aapke liye bahut labhkari hogi.

  • Haldi mai kai aushdhiya gun hote hai.
  • Iska sevan karne se gathiya sahit kai bimariyo se chutkara milta hai.

 

Kaddu Ka Sevan Kare

  • Kaddu mai kaafi matra mai carotene hota hai jo jodo mai sujan ko kam karta hai.
  • Kaddu ko sabji ke rup mai ya ubal kar bhi kha sakte hai.
  • Aapke jodo mai sujan nahi hogi to dard kam hoga.

 

Machli Khaye

  • Machli khana gathiya rog mai bahut faydemand hota hai.
  • Salmon, tuna sardines aur mackerel machliyo ko apne aahar mai shamil kare tatha hafte mai 3 se 4 bar khaye.
  • Fish mai omega 3 fatty acid hota hai jo jodo ki sujan tatha dard ko kam karne mai madad karta hai.

 

Phal Ka Sevan Kare

Phalo ka sevan sharir ke liye bahut faydemand hota hai. Kyoki phal mai kai antioxidant tatva, fiber, vitamin, minerals aur nutrients hote hai. Jo gathiya rog ke asar ko kam karne mai madad karte hai.

  • Apne aahar mai taze phalo ya unke ras ko jarur shamil karna chahiye.
  • Isse gathiya rog ke lakshan aapke sharir ko jyada prabhavit nahi kar pate.

 

Sabjiya

  • Yadi aap gathiya rog se pidit hai to sabjiyo khana aapke liye bahut accha hoga.
  • Sabjiyo mai bahut adhik matra mai antioxidant gun paye jate hai, jisse koshikaye majboot banati hai tatha jodo ke dard ko kam karti hai.
  • Gathiya rog hone par gajar, lal aur hari shimla mirch, aur sari hari sabjiya khana bahut labhkari hota hai.

 

Olive Oil

Oilve oil mai adhik matra mai omega 3 fatty acid tatha antioxidant tatva hote hai. Sodh ke anusar paya gaya hai ki olive oil mai sabse accha fatty acid hota hai jo swasth ke liye bahut accha hota hai.

  • Olive Oil mai polyphones, aleocanthal, hydroxytyrosol moujud hota hai.
  • Yeh sabhi tatva jodo ke dard se chutkara dilane mai madad karte hai.

 

Pyaj

  • Foods Good for Arthritis ki baat kare to, pyaj mai moujud aspirin namak tatva jodo ke dard se nijat dilane mai madad karta hai.
  • Iske alava isme bhi antioxidant tatva hote hai.

 

Sukhe Meve

Sukhe meve mai bahut adhik matra mai polyunsaturated and monounsaturated vasa paya jata hai jo acche cholesterol ke nirman mai sahayak hota hai.

  • Sukhe meve mai omega 3 fatty acid hota hai jo gathiya rog mai hone wale dard ko kam karne mai sahayata karta hai.
  • Kuch sukhe meve mai acchi matra mai magnesium, I- arginine and Vitamin E hota hai jo ki swasth ke liye bahut acche hote hai.
  • Kuch sukhe meve jaise akhroth, mungphali, badam, pista, chia beej aadi ka sevan karna gathiya rog mai faydemand hota hai.

 

Gathiya Rog mai inn Aaharo Ke Sevan Se Bache

  1. Kuch aaharo ka sevan karne se gathiya rog ke laskhan aur adhik triv ho jate hai. Isliye Foods to Avoid with Arthritis janiye.
  2. Mitha khane se aapke guthno mai dard ho sakta hai isliye mitha bahut kam khaye.
  3. Dudh mai bahut adhik matra mai purin hota hai jo uric acid ki matra ko badane ka kaam karta hai. Isliye dudh ka sevan bilkul na kare.
  4. Sabji banane wale tel jaise soya been, aur surajmukhi ke tel ka istemal na kare kyuki isme fat hota hai jo sujan paida karta hai.
  5. Sharab ka sevan bhulkar bhi nahi karna chahiye kyuki yeh haddiyo se calcium ko sokh leti hai jisse haddiyo ka rang bhura ho jata hai.
  6. Ghongha ka sevan na kare kyuki isme purin hota hai jo uric acid mai badal jata hai Jab aap ghongha khayenge to uric acid ki matra bad jayegi aur aapke jodo mai pidha bad jayegi.
  7. Caffeine sharir mai dehydrate banata hai jisse sharir ke kuch hisso mai dard bad jata hai. Iske alava kefin sharir se jaruri poshak tatvo ko sokh leti hai. Yahi karan hai dard bad jata hai.

 
Upar aapne jana Arthritis Diet in Hindi. Yadi aap bhi gathiya rog se pidit hai to aaharo ka chunav soch samajh kar kare. Aap chikitsiya ray bhi le sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.