Avoid Stretch Marks During Pregnancy: Paye Nishan se Nijat

Pregnancy ke pahale se har maa apne hone wale bacche ke liye khush rehti hai. Par jab delivery hoti hai tab uske baad jo sharir par nishaan padte hai, khaas tour par Stretch Marks, isko le kar adhiktar mahilaye dukhi rehti hai.

Halaki samay ke saath yeh nishaan bhi mit jate hai, lekin ise hatane ke liye aapko thodi mehnat karni pad sakti hai. Aaiye aaj hum aapko batate hai ki kese aap Avoid Stretch Marks During Pregnancy.

Wese to ye nishaan kisi bhi umra me ho sakta hai par dekha gaya hai ki yeh aam tour par garbhavastha ke baad mahilao me ho sakta hai. Lekin jara si mehnat aur khud par thoda sa dhyan dekar aap iss samasya se nijaat paa sakti hai.

Prasav ke baad mahilayo ko samanyatah Stretch Marks ki samasya se jhujhna padta hai. Garbhavati hone ke baad mahila ki twacha mai khichav aata hai aur iske karan hi yeh samasya mit jati hai.

You may also like:- After Delivery Tips, Prasav ke Baad Makeover

Celebrities ke maa banane ke baad jab aap unhe film mai dekhti hai aur yeh dekh kar shock ho jati hai ki unki kamar parek bhi mark nahi hai to khud ke liye yeh baat nirasha hone lagti hai. Saadi pahanane par bhi nishaan dikhai dene lagte hai. Iss baat ko samajhna hoga ki yadi aap prasav pida se gujarti hai. To aapko inn kai tarah ke nishaan ka samna karna pad sakta hai.

Lekin iss baat se aapko khush hona chahiye ki Stretch Marks ko dhire-dhire kam kiya ja sakta hai. Inn nishaan ko aap kai tarah ke upay ke dwara kam kar sakti hai jese concealer, tanning lotion ya pure dhake huye kapde pahan kar. Aaiye jante hai aise aur kai upay jinki madad se aap inn nishaan ko kam kar sakte hai.

Avoid Stretch Marks During Pregnancy: Aise Chupaye Apne Marks Ko

  • Concealer:

    Yadi aap muh par pade pimple ke nishaan ko aasani se concealer se chupa leti hai to apne mark ko kyu nahi? Apni skin tone se match karta huya concealer use kijiye aur use stretch mark par laga lijiye.

  • Tanning Lotion:

    Tanning Lotion aur Tanning Sprey bazaar me aasani se prapt ho jate hai. Isko lagatar prayog karne par aapke sharir par pade nishaan dhire-dhire kam hone lagege. Isko lagane se aapko bahut hadd tak fayda milega.

  • Tatoo Banwa Lijiye:

    Jaha kahi bhi nishaan ho waha aap tatoo bhi banawa sakti hai. Ye bhi inn tarah ke nishaan ko chupane ka accha tarika hai. Aap ya to temprory ya phir permanent tatoo ki madad se apne Stretch nishaan ko chupa sakti hai.

  • Kapdo se Dhak Lijiye:

    Iss marks ko chupane ka sabse saral aur aasan tarika ye hi hai ki aap apne nishaan ko apne kapdo se dhak lijiye. Ye aapke liye jaldi se tayar hone wala upay hai.

Avoid Stretch Marks During Pregnancy

  • Twacha ki Dekhbhaal:

    Pani pine se dhire-dhire sharir par pade stretch mark dur ho jate hai. Isliye aapko din me 8 gilaas pani pina chahiye. Iske alawa nami pradan karne wale tel ya cream jese cocoa butter malne se bhi aapke sharir ke nishaan gayab hone lagte hai.

  • Vyayam Kare:

    Avoid Stretch Marks During Pregnancy ki baat kare to vyayam sabse asardar upay hai. Aap vyayam karke apne khichav ke nishaan ko dur kar sakti hai aur sundar dikh sakti hai. Kasrat aapki mashpeshiyo ko majboot karta hai jisse khichav ke nishaan kam hote hai.

  • Protein aur Vitamin:

    Protein aur Vitamin humesha twacha ke liye accha mana jata hai. Vitamin C aur Vitamin yukt bhojan khichav ke nishaan ke upchar mai bahut upyogi hote hai. Khichav ke nishaan ke ilaj me dudh aur anya dairy utpado ka sevan bhi jyada karna chahiye.

  • Hari Sabjiya:

    Bhojan mai hari sabjiya khichav ke nishaan kei sthai roop se chutkara pane mai madad karta hai. Iron jo hari pattedar sabjiyo mai hote hai wo aapke sharir par pade marks ko hatane mai rubber ka kaam karte hai. Ye aapke liye bahut faydemand hota hai.

  • Scrub:

    Khubani aur akhrot jese scrub ragadne se bhi stretch ke nishaan ko kam karne mai madad karta hai. Yadi ek mahila jab wah garbhvati hai, atb ragadne se inn scrub ka istemaal karti hai, to stretch ke nishaan garbhavastha ke baad kabhi viksit nahi honge.

Stretch Marks Hatane ke Liye Aap inn Tel ka Bhi Istemaal Kar Sakte Hai

Avoid Stretch Marks During Pregnancy

  • 2 spoon badam tel ke saath 1 chammach veet germ tel milaye. Ab usme 5 bunde gulab ke tel aur mehandi ke tel ki daal de. Iss mishran se 15-20 minutes malish karne se kafi laabh milta hai.
  • 10 bunde mehandi aur 2 chammach badam ke tel ko milakar halke haato se stretch nishaan par tab tak malish kare jab tak twacha sara tel na sokh le.
  • Stretch Nishaan ke ilaj ke liye ek prakritik upay yeh bhi hai ki jaitun ke tel ki kuch bundo ke saath lavender ke tel ki mila de aur phir malish kare.
  • 3 chammach jojoba tel, 10 bunde pacholi tel aur 5 bunde lavender ke le kar 15 tak malish kare. Isse aapko kafi had tak nishaan mitane me aaram milega.
  • Khubani, jisko apricot bhi kaha jata hai. Isko lavender ke tel ke saath mila kar malish karne se bhi fayda hota hai.

Inn upay ke alawa aap bazaar me milne wale Stretch Marks cream jo Vitamin E yukt hai, inn ka prayog kar sakte hai. Retinoic acid pill, pixel layer, dermaroller aur carboxytherapy jese anya upchar bhi kar sakte hai.

Upar aapne jane Avoid Stretch Marks During Pregnancy ke behatrin tips. To aaj se inn tips ko apnaiye aur kai tarah ke nishaan se chutkara paiye. Inn nishaan ko mitane ke sahi upchar ke liye aapko twacha rog visheshagya se bhi paramarsh le lena chahiye.

After Stretch Marks se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...