Ayurvedic Beauty Tips in Hindi, Sondarya ko Nikhare

Twacha ki dekhbhal ke liye log kya kya nahi karte. Makeup karne se lekar surgery aadhi sab karva lete hai. Lekin kya aap jante hai ki twacha ke liye ayurveda ko apnana bahut faydemand ho sakta hai. Par log iss baare mai theek tarike se nahi jate hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Ayurvedic Beauty Tips in Hindi.

Ayurveda ke nuskhe apna kar aap apni twacha mai nami barkarar rakh sakte hai. Saath hi isse aap apni skin ko mulayam  aur fresh bhi bana sakte hai. Twacha mai nikhar lane ke liye iska use khas tor par sondahar varadhak sadhano ke roop mai saalo se kiya aa raha hai.

Lekin dekha gaya hai ki apni skin ki khubsoorati ke liye log bahut sare mahnge product use karte hai lekin vo log natural  cheezo ka use bhul jate hai. Twacha aapke andurini swasth ke baare mai bahut kuch baate  bolti hai.

Ayurveda aapki tawcha ki kharab isthithi  ke ilaj ke liye bahut prabhavi hota hai, jese ki skin ki kisi bhi infection  ko khatam  karne ke liye iska naam sabse pahle aata hai. Par sabse badi baat hai ki inn tariko se aapki skin koi nuksaan kabhi bhi nahi hota hai.

Neem chandan aadhi kuch aam jadi buti hai. Jo kai prakaar ki twacha ki isthiti ko sudharne aur swasth twacha ko banye rakhane ke liye upyogi hota hai. To aaiye fir jante hai, Ayurveda se khubsoorati pane ke raaz.
 

 

Ayurvedic Beauty Tips Se Janiye  Asali Sundarta Ka Raaz

 

Ayurveda mai Twacha ka Prakar

Twach ki dekhbhal ke liye ayurveda  ke nuskhe apnane se pahle aapko ptaa hona chhaiye ki, aapki skin ka prakaar kya hai? Tabhi aap ayurved ke nuskhe ka shi laabh utha sakte hai. Isme mai twacha ke mukhaye teen prkaar aate hai  jese Vata, Pitta, Kapha.
 

Vata Twacha

Vata twach matbal jisme vata ki adhikta hoti hai. Tawach rukhi ho jati hai aur thand ke samay mai twacha par jhuriya pad jati hai. Saath hi umra ke saath jaldi dheeli pad jati hai.
 

Pitt Twacha

Pitt twacha yani jisme pitt ki adhikta hoti hai. Jisse twacha mai laal spot pad jate hai. Muhase, sunburn  jese pareshani iss type ki skin valo ko hoti hai. Saath hi iss tye ki twach pa rashe bhi ho jate hai. Vese Ayurvedic Beauty Tips in Hindi mai har prakaar ki twacha ke liye ilaj hai.
 

Kapha Twacha

Kapha  twacha yani jisme kapha ki matra bhi adhik hoti hai.Yeh twacha bahut adhik oily aur moti hoti hai. Yeh twacha mulayam to hoti hai lekin isme bharipan barkarar rahta hai. Aisi twacha par adhik gandgi jama hone ki sambhavna rahti hai, jiske chalte muhase ki shikayat adhik rahti hai.
 

Ayurvedic Beauty Tips in Hindi, Prakratik Tarike se Paiye Khubsoorati

 

Jadi butiya

Neem chandan aadi aisi bahut si jadi butiya hoti hai. Jo ki aapki twacha ki istithi aur swasth twacha ko banaye rakhne ke liye upyogi hoti hai.
 

Ayurveda Supplement

Neem, sanwwod, raktrosodhak aadi aise bahut si herb hoti hai jiska sevan karke aap apni skin ko khubsoorat bana sakte hai.
 

Ayurveda mai Aushdhi

Twacha ki samasya se nijaat pane ke liye ayurveda mai haridrakhand, triphala churna, amla powder, panchatikta guggulu aur haridrakhand aadi  aise oushadhi hai, jo ki aapko ek chamkdar twacha pradaan karte hai.
 

Aahar

Swasth twacha ko banaye rakhne ke liye santulit aahar le. Iske liye aap bharpur pani, potein, fats ki matra ka sevan kare. Saath hi dhyaan rahe ki, khana pachane  mai kathin aur bhojan pachane ke prakaar jo aapki twacha mai jalan paida karte hai, unse hamesha bache. Ayurvedic Beauty Tips mai aapka aahar ek bahut mukhaye bhumika rakhta hai.
 

Aapki Lifestyle

Swasth twacha ko banaye rakhne ke liye jivan sheily mai privartan, apne sharir ki acche se safaai aur niyamit roop se vyayam aadi ko hamesha kare. Saath hi atirik surye kirndo se bache, rasaynik aadharit cream ka use kabhi bhi na kare.
 

 Ayurveda ke Nuskho se Paiye Swasth Twacha


 

Glowing Skin

Kheera ek aisi gun vardhak cheez hai, jiskaki aapko bahut se swsath laabh hote hai. Ise khane se sharir ki  garami khatam ho jati hai. Saath hi yeh skin ke liye bhi bahut labhdayak mana jata hai. Skin ke glow ke  liye apne chehre par kheera lagaye. Aap chahe to kheere ka juice bhi pee skate hai.
 
You may also like:- Fruits for Glowing Skin, Phalo ke Fayde Aapki Twacha ke Liye
 

Aalu

Aalu sirf khane ke liye nahi, balki twacha par lagan e ke liye kaam aata hai. Yadi aapke chehre par kale dhabbe hai to aalu ki slice lekar halke halke haatho se massage kare. Ya aalu ka juice chehre par lagaye. Roz ise chehre par lagane se chehre par nikhaar aata hai.
 

Nariyal Pani

Nariyal pani bahut gunkari hota hai. Isliye rozana iss pani ko pine se chehre chamkdar ho jata hai. Saath hi expert ka kahna hai ki, nariyal pani se chehre se daag dhabbe dur ho jate hai. Nariyal ka  paste bankar chehre par lagane se rang  nikhar jata hai. Ayurveda ka yeh asardar nuskhe  aap jarur apnaye.
 

Tomato

Tomato sirf aapki sabji ka hi swad nahi badhta hai, balki yeh aapki twacha ka rang bhi badhata hai. Do chammach tomato ka ras aur aadha chammach shahad milaye. Iss mishran ko chehre par lagaye aur 20 minutes ke baad apne chehre  ko dho lijiye. Isse aapko chehre ke daag dhabbe bhi hamesha ke liye khatam ho jayenge.
 

Honey

Kai ilako mai traditional herbal apothecary shahad ke saath face pack taiyar karte hai. Inn jankaro ke anusaar besan, shahad, jaitun, dudh aur malai ko milakar chehre par lagaiye. Iss mishran ko taiyar karne ke liye  teen chammach besan, shahad, dudh malai aur ek chammach  jaitun ke tel milaiye. Fir iss paste ko chehre par lagaye aur kareeb 20 minutes ke baad ise saaf kijiye.
 

Paka Hua Kela

Kela twacha ke liye bahut aacha hota hai. Pake kele ko acchi tarah se mix kijiye. Use apne chehre par lagaiye tatha kareeb 15 minutes ke baad iss mask ko wash kar lijiye. Aisa karne se aapke chehre par bahut alag glow najar aayega.
 

 Nimbu

Ayurvedic Beauty Tips in Hindi  ki baat kare to nimbu ka naam sabse pahle aata hai. Nimbu skin ke liye ek chamtkari dawa ki tarah kaam karta hai. Rang nikhaarne ke liye nimbu ka ras chehre par lagaiye. Kuch der ke baad chehre ko dho lijiye.Nimbu ke ras mai tomato ka ras milkar lagane se bhi twacha ki safai ho jati hai aur rang gora hone lagta hai.
 

Gende Ka Face Pack

Iska face pack banane ke liye kuch gende ke phul le aur unhe pees le, jab yeh pees jaye to isme thoda sa kaccha dudh tatha shahad milakar paste bana le. Ab iss bane huye paste ko chehre par lagaye aur bad mai gungune pani se chehre ko dho le.
 

Chandan Ka Face Pack

Chandan ke powder mai gulabjal dale aur ise acche se mix kar le tatha aapke pure chehre aur gardan par lagaye. Ab iss pack ko chehre par sukhne de aur kuch der bad saaf pani se chehre ko dho le. Aapki twacha ek dam damak jayegi.
 

Pudina Ka Face Pack

Teliya twacha ko dur karne ke liye pudina ka face pack faydemand hai. Iska face pack banane ke liye sabse pehle pudina ki pattiyo ko pees kar unka ras nikal le. Ab ise pure chehre par lagaye isse aapke muhanse bhi hat jayenge.
 


Name Vitamin Nutrients
Aalu Vitamin C Carotenoids
Nariyal pani Vitamin C Electrolytes
Honey Vitamin B6 Magnesium
Pyaj Vitamin C Beta Carotene
Pudina Vitamin A Riboflavin

 

Savdhani

Ayurveda upchar prabhavi ho sakte hai, lekin kisi bhi lambe samay ke liye twacha ki samasya ki aavrati ke liye, ek upyukt upchar ke liye  ek peshevar ayurveda chikitsak ke pramarsh jarur le. Taki vo aapki twacha ki samasya ko dur kar sake.
 
Apni twacha ko chamkane ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.

Loading...

This website uses cookies.