Baby Skin Care Tips: Shishu Ki Twacha Ke Dekhbhal Ke Tarike

Har maa chahti hai ki uska baccha gora lage. Baccho ki twacha bahut komal hoti hai, isliye uski dekhbhaal mai vishesh dhyan dene ki jarurat hoti hai. Baccho ki twacha ko swasth rakhne ka matlab kewal chehre se nahi balki pure sharir ki twacha se hai. Lekin use samajh mai nahi aata hai ki yeh kese kiya jaye. To aaiye jante hai Baby Skin Care Tips in Hindi.

Bahut najuk hoti hai baccho ki twacha. Nadani se baccho ko kafi pareshani ho sakti hai. Aise mai aapko chahiye apne chhote se bacche ki twacha ka pura khayal rakhe. Uske nahane ke sabun se lekar, use pehnaye jane wale kapdo tak aapko puri tarah dekhna hoga. Uske lotion aur powder se lekar malish ke liye istemaal kiye jane wale tel tak sab kuch acchi tarah chunana hoga.

Baccho ko nehlate waqt aise sabun ka prayog na kare jo hard ho, aise cosmetic cream ka prayog bhi na kare jisse bacche ki twacha mai infection ho. Sukhe mousam mai nahane se pehle tel malish karne se inki bacche ki twacha narm aur saaf rehti hai. Chikitsak ki salah par baccho ki twacha ki nami barkarar rakhne ke liye halka mosturizer ka prayog kar sakti hai. Iske alawa bacche ki twacha ko rashes aur infection se bhi bachaye.

Baccho ki najuk twacha ko gora aur mulayam banaye rakhne ke liye inn tips ki madad le aur apne bacche ko de ek prakritik roop se nikhar.

You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Daag Rahit Chehre ka Raaz

Inn 7 Tips ki Madad se Aap Bacche ka Chehra Nikhar Sakte Hai

Tip 1:-

Halke gungune tel s bacch ke sharir ki malish kare. Malish karne se pehle tel ko janch le ki kahi jyada gunguna na ho jaye. Isse twacha ko pura poshan milta hai aur narmi barkarar rehti hai.

Tip 2:-

Baccho ko thoda thoda orange juice, apple juice aur grape juice pilaye. Isse uski twacha mai nikhar aayega aur unki twacha komal banegi.

Tip 3:-

Gulab jal, dudh aur besan ko mila le aur isse bacche ki twacha ko scrub kare. Isse twacha mai glow aayega.

Tip 4:-

Baccho ko halki dhup dikhaye. Iss bare mai doctor se puch le ki use kis samay dhup dikhana chahiye. Isse bacche ke sharir ko vitamin d milta hai.

Tip 5:-

Baccho ko har tarike se sabun se na nehlaye. Use sirf dudh ya gulab jal se hi nehlana chahiye. Agar aisa na kar paye to baby soap ka istemaal kare.

Tip 6:-

Ek chammach chandan powder le aur usme kuch dudh ki bunde milakar paste bana le. Uss paste mai haldi bhi aadha chammach dal de. Iss pack ko bacche ki body par lagaye. Isse bacche ke sharir par hone wale dane dur ho jayege aur twacha saaf ho jayegi.

Tip 7:-

Bacche ko kabhi bhi garam pani se nahi nehlana chahiye. Isse bacche ki twacha dry ho jati hai. Gungune pani ka istemaal kare aur ise pani se unko nehlana chahiye taki wo swasth rahe.

Bacche ki Twacha Swasth Rakhne ke Anya Nuskhe

  • Nehlate Wakt Dhyan Rakhe:-

Janm ke 10 din baad bacche ko halke garam pani se nehla sakte hai. Jese jese baccha bada ho jata hai wah farsh par chalne ki practise karta hai aise mai uski twacha gandi ho jati hai aur aise mai twacha mai sankraman failne ki sambhavna bhi rehti hai. Isliye bacche ko nehlaye, nehlane se pehle sharir ki baby oil se malish jarur kare. Twacha ko humesha nami deti rahe kyuki sabun ki wajah se bacche ki twacha rukhi ho sakti hai. Get Benefits of Cold Showers from here.

  • Sabun ke Prayog ke Waqt Savdhani Rakhe:-

Baccho ko sabun lagane se parhej kare, kyuki iske karan bacche ki twacha par sankraman ho sakta hai. Halaki, kuch baccho ki twacha strong ho sakti hai lekin adhikanshtah baccho ki twacha bahut hi najuk aur sanvedanshil hoti hai. Aise mai sabun mai moujud detergent uski twacha mai khujali aur sankraman paida kar sakte hai. Isliye bacche ko nehlate waqt miled soap ka hi istemaal kare.

  • Twacha ko Rakhe Sukhi:-

Bacche ki twacha ko sukhi rakhne ki koshish kare, nahi to diaper rashes ho sakte hai. Diapers badalte samay twacha ko acchi tarah se sukhane ke baad hi dusra diaper bacche ko pehnaye. Agar jaldbaji mai aap aisa karna bhul jati hai to twacha mai reh gayi nami se use bacche ko rashes ho sakte hai jo sankraman ka karan bante hai.

You may also like:- Home Remedies for Diaper Rash: Aapka Baccha Rahe Swasth

  • Scretch se Bachaye:-

Bacche ki twacha ko suraksha ki jarurat hoti hai. Bacche haato ke nakhuno se khud ko scretch laga sakte hai. Isse bachav ke liye uske haato ko baby gloves se pehnakar rakhe. Isse aapka baby anguthe aur ungliyo ko muh mai nahi lega. Isse bacche ko anguthe chabane ki aadat bhi nahi padegi.


Kya Kare Kya Na kare
Baby Oil Ka Istemal Kare Rasayanik Tel Ka Istemal Na Kare
Baby Soap Ka Istemal Kare Chemical Soap Ka Istemal Na Kare
Bacche Ko Diaper Pehnaye Lagatar Diaper Na Pehnaye
Din mai 3 Bar Kapde Badle Ek Hi Kapde Ko Din Bhar Na Rakhe
Twacha Par Baby Lotion Lagaye Bado Ka Lotion Na Lagaye

 

  • Malish ke Waqt Dhyan Rakhe:-

Baccho ko malish bahut jaruri hai, baccho ki malish kijiye. Lekin malish ke waqt tel ka chayan karte waqt dhyan rakhe. Bahut jyada sugandhit telo ka istemaal na kare, kyuki kuch sugandho se twacha mai allergy ya khujali ho sakti hai. 1 saal tak ke baccho ko sarson ke tel se malish na kare.

  • Baccho Ki Twacha Ko Chemical Se Bachaye:

Bacche ki twacha bahut soft aur najuk hoti hai tatha unki twacha par kisi bhi tarah ke chemical ka prayog nahi karna chahiye. Chemical ke istemal karne se bacche ki twacha murjha jati hai aur khurdari bhi ho jati hai. Kai baar chemical ke istemal se bacche ki twacha mai sankraman ho jata hai.

  • Saaf Safai Ka Rakhe Khayal:

Bacche pharsh par baithte hai ya doudte hai aur kai baar to niche padi hui vastu bhi kha lete hai, inke karan unhe kai tarah ki bimariya ho jati hai. Isliye baccho ko hamesha saaf rakhe aur gandi chijo ko khane se roke.

  • Nehlane Ke Bad Lagaye Cream:

Jab aap baccho ko nehlate hai uske bad baby lotion jarur lagaye isse bacche ki twacha mulayam bani rahegi. Bado ko lagaye jane wale lotion ka istemal naa kare.

Bacche ki twacha bahut najuk hoti hai isliye uspar kisi bhi prakar ka prayog na kare. Yadi aapke bacche ki twacha mai kisi bhi prakar ka sankraman ho gaya hai to aap turant apne doctor se sampark kare.

Loading...

This website uses cookies.