Jab baccha 6 se 7 mahine ka ho jata hai tab uske dant nikalna shuru ho jate hai. Lekin kuch baccho ke dant der se bhi niklate hai.
Jab baccho ke dant nikalte hai tab yeh dour mata pita ke liye bahut pareshani ka samay hota hai, kyonki bacche iss samay bahut jyada ashant rehte hai.
Jab bacche ke dant nikalte hai to uske muh mai kai pareshani hoti hai, jis wajah se baccha kaafi chidchida aur kamjoor ho jata hai, wahi kai bacche lagatar rote rehte hai. Kai baar iss bare mai jankari na hone ke karan baccho mai sankramak bimariya bhi lag jati hai. Waise to bacho ke pehle dant (jise dudh ke dant kaha jata hai) kuch samay ke liye aate hai parantu inme kitanu lagne ki sambhavna jyada hoti hai.
Dudh ke dant 3 saal tak ki umra tak rehte hai, aur inke aane par bacche mai kai saare lakshan dekhne ko milte hai jiske dwara samjha jata hai ki bacche ke dudh ke dant aa rahe hai. Vistar se janne ke liye padhiye Baby Teething Symptoms in Hindi.
Baby Teething Symptoms in Hindi: Jane Isse Judi Jankari
Yadi aapka baccha pareshan hai aur aap when do babies start teething, iske laskhan aur anya baato ki jankari chahte hai to niche padhiye:-
Symptoms of Teething – Dant Aane Ke Lakshan
Baccho mai Chidchidahat: Jab baccho ke dant aane wale rehte hai tab baccho ke masudo mai dard tatha muh mai asuvidha hoti hai jiske karan bacche kaafi chidchide ho jate hai. Yeh pareshani sabse jyada tab hoti hai jab bacche ka pehla dant nikalta hai aur dadh dikhne lag jati hai.
Kisi Bhi Vastu Ko Katna: Jab bacche mai dant aane ki prakriya shuru ho jati hai tab wo jo bhi chij mile use katne lagte hai. Kyoki aesa karne se unke masudo mai hone wala dard aur asuvidha mai thoda sa aaram milta hai.
Bina Karanvash Rona: Teething in baby ki samasya hone par navjat shishu akaran hi jor-jor se rone lag jate hai aur unke mata pita iska karan samajh nahi pate hai.
Bukhar Aana: Dant aane ke dauran yeh dekha gaya hai ki bahut se baacho ko bukhar aa jata hai. Lekin yadi yeh bukhar do din se jyada ho aur bacche ke sharir ka tapman 38 C ho to doctor se janch karvaye.
Puri Nind Na Le Pana: Dard hone ke karan bacche sahi se so nahi pate hai, jiske karan unka rona aur chidchidapan lagatar bana rehta hai.
Anya Lakshan:-
- Yadi chhote bacche lagatar apne galo ko ragad rahe hai to iska matlab hai muh mai dard ho raha hai yeh bhi dant aane ka lakshan hai.
- Jaha jaha bhi dant aane wale hote hai uss jagah par mashudo mai sujan aa jati hai.
- Bacche ke pet mai dard bana rehta hai jisse unhe kabj tatha dast ki samasya bani rehti hai.
- Kai baccho mai dekha gaya hai ki unke aankho mai dard hota hai, jiske karan wo baar baar aankho ko masalne lagte hai.
You may also like:- Parenting Tips in Hindi: Baccho Ki Parvarish Kaise Kare
Inn Mahatvapurn Baato par Dhayan De
- Jab bache ke dant nikal rahe hai to unhe patli khichdi, ubla hua seb, santre ya kele ka ras aadi khane ki chij de.
- Gajar, biscuit jaisi chije baccho ko hath mai de de taaki jab wo unhe chabayenge to masude ki khujli mai rahat milegi kyoki yeh sakht aur mulayam dono hote hai.
- Hamesha ghar ki farsh saaf rakhe kyuki bacche jameen par padi hui chijo ko sidhe muh mai dalte hai aur unke lagne wale kitanu bacche ke muh mai jakar usse bimar kar sakte hai.
Baby Teething Remedies – Iss Dard Se Nijat Pane Ke Upchar
- Bacche ko gajar ka ras pilane se danto mai dard nahi hota aur dudh bhi jaldi se pach jata hai.
- Rojana 2 chammach angur ka ras bacche ko de sakti hai.
- Aap chahe to bacche ke masudo par halke hatho se shahad bhi male, yeh teething remedies aasani se har ghar mai mil jata hai.
- Tulsi ke patto ka ras nikale aur usme thoda sa shahad milakar bacche ko kuch dino tak lagatar pilaye jisse unke dant bina kisi pareshani se nikal jate hai.
- Amla ka ras danto ke masudo par halke hatho se ragad de, isse unke dant nikalne mai kisi bhi tarah ki koi samasya nahi aati.
- Do chammach sounf le aur use ek glass pani mai dale tatha pani ubal le aur bacche ko din mai char bar pilaye. Aap chahe to saunf ko dudh mai dalkar bhi de sakti hai, isse dard mai rahat milegi.
Upar aapne jana Baby Teething Symptoms in Hindi. Yadi aapke bacche mai uprokt lakshan dikhai de rahe hai to iska matlab hai uske dant aane wale hai. Yadi baccha jyada pareshan ho raha hai to chikitsak ki madad le.