Back Pain during Pregnancy: Paye Kamar Dard se Aaram

Garbhavastha ke douran garbhavati ko kai prakar ki samasyao ka samna karna padta hai. Garbhavastha ke douran hone wali samasyaye mai sabse aam kamar mai dard, aur vishesh roop se kamar mai aithan hai. Pregnancy mai niyamit exercise aur kuch upayo ko apnakar kamar dard ki samasya ko kam kiya ja sakta hai. Aaiye jante hai Back Pain during Pregnancy ke bare mai kuch jaruri baaate.

Maa banana wali mahilao ke liye garbhavastha ek romanchak samay hota hai, lekin bacche ko duniya mai lane ke liye maa ko kabhi-kabhi asahaj uttejana ka samna karna padta hai. Garbhavastha ke douran hone wali samasyao mei sabse aam  kamar mai dard aur kamar mai aithan hai.

Rockville, Maryland mai stith gynecologist Dr. Steve Behram, batate hai ki:

“Garbhavastha mai pith ke nichle hisse mai dard aur aithan kisi tufaan ki tarah hoti hai”, “Samanyatah, garbhavastha mahilao ko samanyakrat kai parakar mashpeshiyo mai aithan sahit pith mai aithan ke prati aur adhik asurakshit bana deti hai”.

Back Pain during Pregnancy: Kamar Mai Aithan Ke Aneko Karan

Aamtour par garbhavastha ke samay mai mahilao ka vajan badta hai. Bade huye vajan ka prabhav mashpeshiyo aur mukhya roop se kamar ki haddiyo par hota hai. Pregnancy ke douran har garbhavati mahila ko pith ke dard se jhujhna hi padta hai.

Back Pain during Pregnancy in Hindi

Unka sharir apne andar ek shishu ko liye hota hai jiske bhaar se unhe yeh dard jhelna padta hai. Dard hone ka matra yahi karan nahi hai balki mahila ke andar har samay ho rahe hormone mai badlav bhi dard ka karan bante hai. Aaiye niche janiye Back Pain during Pregnancy ke bare mai kuch jaruri baate jo aapko iss dard mai aaram denge.

  • Garbhashay Sankuchan ke Karan Dard

Halaki kai baar kamar mai aithan mai aksar haanirahit jalan hoti hai, aur yeh kuch atirikt jatiltao ka pratik bhi ho sakta hai. Behram kehte hai ki kabhi-kabhi garbhashay ki sankuchan bhi dard ka karan banta hai isse kamar mai dard hone lagta hai.

  • Garbhashay Sankuchan ke Sanket

Yeh nirdharit karna bahut hi mahatvapurna hota hai ki yeh kamar mai dard garbhashay ki sankuchan ke karan ho nahi hai. Garbhashay ke sankuchan samay se pahale prasav ka sanket ho sakta hai. University of California ke San Francisco garbhashay ka sankuchan atirikt chetawani sanket ke bina ek ghante mai 6 ya usse adhik baar hota hai to wah garbhvati ko chikitsa ki sahayata lene ki salah di jati hai.

  • Sciatica ke Karan Hone Wala Dard

Sciatica, sciatica nerves ke karan hota hai. Yeh dard hops ke madhyam se pith ke nichle hisse se pair ko jodta hai. Garbhavastha mai mahilao ka ek chota pratishat sciatica se pidit hota hai. Isme pith ke shoth ya dabav jke karan nitantra-tantrika dard karne lagti hai. Kabhi-kabhi, iss tantrika ka karya karna badhit ho sakta hai, natijan kamjori aati hai ya sunnpan ya jhunjhunahat mahsoos hoti hai.

You may also like:- Pregnancy Care Tips in Hindi: Maa aur Bacche ki Dekhbhaal

  • Kamar Dard ko Kam Karne ke Upay

Garbhavastha mai niyamit vyayam karke kamar dard hone ki apni sambhavna ko kam sakti hai. Pregnancy ke douran mahilao ko halke fluke vyayam karne chahiye. Tahalne aur stretching karne se niche ka sharir kada hone se bach jata hai. Par dhyan rahe ki isse karte waqt aapke ligaments mai jyada khichav na ho. Iss douran swimming ek acchi exercise hai, kyuki isse aapka vajan kam hoga aur haath-pair bhi stretch honge. Iske saath hi yoga bhi kafi faydemand hoga.

  • Massage ard Dur Kare

Garbhavastha ke douran agar kamar mai dard ho raha ho to garam thl ya balm se massage karne se fayda hota hai. Pith ke nichle hisse mai malish karne se blood circulation tez hota hai jisse aksar thaki huyi mashpeshiyo ko aaram milta hai aur dard nahi hota hai. Saath hi garam pani se nahana, hot pack ya shower se oani ka garam jet, ye sabhi pith dard mai madad kar sakte hai.

  • Sahi Posture Ho

Garbhavastha ke douran pet ka bhaar lagatar niche ki aur hota hai. Pet ke niche hone ka karan garbhavastha mai mashpeshiyo par dabav jyada hota hai. Aise mai garbhavati mahila ko apna posture humesha banaye rakhna chahiye. Sidhe baithna, tahalna, pairo ko khichna aur niche ki taraf na jhukna aapki kamar par bilkul bhi dabav nahi dalega aur kamar dartd ko kam kar dega. Lekin agar dard aur aithan lagatar bani rahe to apne doctor se checkup karwaye.

Back Pain Types: Garbhavastha mai Kamar Dard ke Prakar

Back Pain during Pregnancy

Garbhavastha mai garbhavati mahila ko kai utar-chadavo se gujarna padta hai. Iss douran hone wale badlav ke karan aur badte vajan se sharir mai dard ki shikayat bhi hone lagti hai. Kya aap jante hai iss douran ye dard hona aam baat hai. Aaiye jante hai Back Pain during Pregnancy ke bare mai kuch baate.

You may also like:- Home Remedies for Back Pain: Kamar Dard ke Gharelu Nuskhe

  • Garbhavastha ke douran badte vajan ka asar mashpeshiyo aur khaaskar kamar ki mashpeshiyo aur ridh ki haddi par padta hai.
  • Halaki garbhavastha ke douran kai baar kamar dard ki mukhya wajah sharir mai calcium, protein aur tamam poshtik tatvo ki kami bhi ho sakta hai.
  • Doctor garbhavastha ke douran garbhavti mahila ko humesha hi healthy aur poshtik khana khane ki salah dete hai, jisse kisi bhi tarah ki calcium aur protein ki kami na aaye.
  • Iss douran sakriya na hone ya phir halke-fulke vyayam na karne se bhi kamar dard ho sakta hai. Isliye bahut adhik vajan badne yani pregnancy ke douran motapa badne par vajan ko niyantrit karne ke liye vyayam karna bahut jaruri hai.
  • Bahut his mahilaye aisi hoti hai jinka adhiktar kaam jhukkar hota hai. Yadi pregnancy ke douran mahilaye jhukkar adhik kaam karti hai to bhi unko kamar mai dard ho sakta hai.
  • Raat ko sote samay dhyan rakhe ki suti ke dhile-dhile kapde hi pahane aur yadi kamar mai bahut dard ho to doctor se paramarsh par chote takiye ka sahara le.

Dekhiye Video aur Janiye Back Pain se Judi Kuch Jaruri Baate

Upar aapne jane Back Pain during Pregnancy. To agar aap bhi pregnant hai aur kamar dard ki samasya se jhujh rahe hai to aapko bhi inn upay ko apnana chahiye aur iss dard se chutkara pana chahiye. Aur agar aap jyada hi iss dard se pidit hai to aapko apne doctor se sampark karna chahiye aur unko iss bare mai batana chahiye.

Back Pain se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...