Home Remedies for Bad Breath: Saanso Ki Badbu Se Chutkara

Saanso se badbu aane ki samasya ko halitosis kaha jata hai. Jin logo ko yeh dikkat hoti hai unhe kai bar sharmindagi mehsus hoti hai. Iske wajah se aapke dost aapse dur bhagne lagte hai.

Saanso se aane wali iss gandi badbu ke piche kai karan ho sakte hai jaise mahak wale khane ka sevan karna, dhumrapan karna, koi bimari, masudo mai samasya aadi.

Yadi ham iske mukhya karan ki baat kare to jeebh ke niche aur daanto ke bich mai bacteria ka banna hai. Isliye yadi aap saanso ki badbu se chutkara pana chahte hai to aapko apne muh ki uchit dekhbhal karna jaruri hai.

Aapko iske liye tooth brushing aur flossing to karna hi hai. Sath hi ham aapko kuch Home Remedies for Bad Breath bata rahe hai, taki aap iss samasya se nijat paa sake.
 

Home Remedies for Bad Breath in Hindi: Prabhavi Gharelu Upay

 

 
Saanso se badbu aana accha nahi lagta hai. Isliye aaj ke lekh mai ham share kar rahe hai How to Get Rid of Bad Breath.
 

Khane Ke Bad Har Bar Kulla Kare

Yadi aapko saaso se badbu aane ki samasya hai to keval brushing karne se kuch ni hoga. Aapko din bhar apne muh ko kitanuo se protect karna hai.

  1. Isliye jab bhi aap khana khate hai ya nashta karte hai uske bad aap kulla jarur kare.
  2. Isse aapke danto par plaque nahi jamega aur aapki saase taja rahegi.
  3. Iske alawa flossing aur tongue scraping ko bhi muh ki dekhbhal mai shamil kare.

 

Saunf Khaye

Aapne dekha hoga ki bahut se log kuch bhi khane ke bad saunf khate hai. Yadi aapko muh se badbu aane ki shikayat hai to aap bhi saunf ka istemal shuru kar de.

  1. Kyoki yeh accha mouth freshnar to hai hi sath hi isme moujud antimicrobial gun aapke muh mai moujud bacteria ka nash karti hai.
  2. Chai peene ke bad, khana khane ke bad saunf khaye. Iske alawa aap din mai ise aese hi bhi kha sakte hai.
  3. Ya fir aap chahe to saunf ki chai banakar bhi pee sakte hai.
  4. Saunf ki chai banane ke liye do chammach saunf ko ek cup garm pani mai 10 minute ke liye soak karne ke liye. Bad mai chhan kar ise peele.

 

Probiotics Le

Kya aap muh ki badbu ko dur karne ke liye mouth wash ka istemal karte hai? To ham aapko bata de ki yeh gargle karne se aapke muh ke bad bacteria marne ke sath sath acche bacteria bhi mar jate hai.

  1. Isliye yadi aap acche bacteria wale aahar lete hai to aap acche bacteria ko badha sakte hai, jo ki behtar saans ke liye jaruri hai.
  2. Iske liye dahi, gobhi ya anya probiotic khadya padartho ka sevan kare.
  3. Jab aap dahi khate hai to yeh aapke pure muh mai failta hai, jisse pure muh mai acche bacteria jate hai.

 

Baking Soda Ka Upay

  1. Apne daanto ko saaf karne aur taja saase pane ke liye baking soda bhi behad hi madadgar hai. Ise istemal karna behad hi aasan hai.
  2. Bus apni hatheli par thoda sa baking soda le aur usme brush dubokar apne danto ko saaf kare.
  3. Fir saaf pani se kulla kar le, kuch hi dino mai aap fark mehsus karne lagenge. Yeh ek prabhavi Bad Breath Solution hai.

 

Laung Ki Chai

Laung mai antibacterial gun moujud hote hai, isliye saaso se badbu hatane ke liye aap iska bhi istemal kar sakte hai.

  1. Iske liye ek cup pani mai ek chammach laung ka powder dalkar ubale. Isi pani se din mai do bar kulla kare.
  2. Aap chahe to iss pani ko pi bhi sakte hai. Din mai ek bar hi ise piye wo bhi kam matra mai.
  3. Yadi yeh sab nahi karna chahte hai to muh mai laung ko rakhkar choose bhi sakte hai.

 

Nimbu Pani

Nimbu pani ka naam sunte hai aapke dimag mai vajan ghatane wali baat aa gayi hogi. Par ham aapko bata de ki nimbu itna faydemand hai ki yeh kai bimari ke ilaaj mai faydemand hai.

  1. Muh se aane wali badbu ka ilaaj bhi nimbu pani se kiya ja sakta hai. Iski acchi khusbu, badbu ko dur karti hai.
  2. Nimbu mai moujud acidic gun muh mai bacteria ki growth hone se rokte hai.
  3. Aap nimbu pani ko aese nahi pee pa rahe hai to aap isme thoda sa namak mila sakte hai.
  4. Nimbu pani dry mouth ki samasya ko bhi dur karta hai, jo ki buri badbu aane ke kai samasyao mai se ek hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Bad Breath in Hindi. Ham aapko bata de ki taji saanse, ek swasth muh ki nishani hai, aur ek swasth muh aapke swasthya ke liye jaruri hai. Isliye inn gharelu upcharo dwara aur niyanit do bar brush karke aap na keval apne daanto ka balki apni sehat ka bhi khyal rakh sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.