Balasana Yoga in Hindi – Jane Child Pose Ki Vidhi aur Labh

Aajkal kai log bade huye motape ko lekar bahut pareshan hai. Yeh motapa galat jeevansheli ki den hai, jisme galat khan pan to hai hi sath hi vyayam ka bhi abhav hai.

Ek bar motapa badhne ke baad aasani se nahi ghatata hai, aur pet ki charbi ghatana to bahut hi mushkil kaam hai. Sharir se iss atirikt vasa ko kam karne ke liye vyayam ki aavshykta hoti hai.

Kai log sharir se mote to hote hai parantu unme jyada urja nahi hoti hai aur vo vyayam karte huye bahut jaldi thak jate hai. Isi karan we vyayam karna kuch dino me hi chhod dete hai aur sharir ki charbi jaha ki taha hi reh jati hai yani sharir se charbi nahi ghatati hai.

Aese mai yog aapki madad kar sakta hai. Yog ke antargat aane wala Child Pose karne mai aasan hai. Yeh aapki sharir ki charbi ko jalata hai khaskar aesi jagah jaha se charbi jalana mushkil hai jaise ki pet, jangh aadi. Aaiye jante hai Balasana Yoga in Hindi.
 

Balasana Yoga in Hindi: Sharir Ki Charbi Ghatane mai Sahayak

 
Balasana Yoga in Hindi
 

Jane Balasan Yoga Kya Hai?

Balasan shabd ko Sanskrit shabd se liya gaya hai. Yeh do shabdo ka mail hai  “bala yani baccha” aur “asana”. Iss asana ko kathin yog mudrao ke bich mai bhi kiya ja sakta hai taaki aapka sharir kuch der aaramdayak avstha mai rahe.

Aesa kaha jata hai ki maa ke garbh se jyada aaramdayak jagah koi nahi hoti hai aur balasan wo hi avshtha hoti hai, jis prakar aap maa ke garbh mai lete rehte hai. Iss avastha mai bethne par aapka sharir aur dimag dono ko aaram milta hai.

Iss asana ko karne se aapke merudand koshika mai mojud tanav dur hota hai tatha pet par jami atirikt charbi bhi dur hoti hai. Iss asana ko niyamit rup se karne par aapko kai prakar ke labh milte hai.
 

Child Pose Steps – Jane Iski Vidhi

  1. Child’s Pose Yoga asana ko karne ke liye sabse pehle chatai ya met ko jameen par bichaye tatha dono pairo ko guthne se modte huye aediyo par baith jaye.
  2. Fir aapke sharir ka upari bhag jangho par tika de.
  3. Ab niche ki taraf jhukte huye sar ko jameen par tikaye.
  4. Iske baad aapke dono hatho ko sar ke sameep rakhte huye sidha rakhe tatha hatheliyo ko jameen par lagaye.
  5. Iss prakriya ko karte samay gehri saans le.
  6. Apne kulho ko aediyo ki taraf rakhe aur saans ko bahar ki taraf chhode.
  7. Iss avstha mai karib 15 se 20 second tak rahe.

 

Child Pose Benefits: Balasan Yoga Ke Labh

  • Sabhi aantarik ango ki acche se malish ho jati hai.
  • Balasan mudra ko karne se pachan tantra majboot banta hai.
  • Yeh dimag ko shant kar tanav tatha avsad ko dur bhagata hai.
  • Iss asana ko karne se kandhe aur gardan ke dard mai rahat milti hai.
  • Pet par jami atirikt charbi ko chumantar karne mai sahayak hota hai.
  • Balasan ko karne se kulhe, janghe, guthno, aediyo ki manspeshiyo mai khichav banta hai.
  • Iss asana ko karne se merudand mai khichav aata hai aur isme bana hua tanav dur hota hai.
  • Yeh rakt sanchar ko badane mai madad karta hai jab aap sar ko jameen par lagate hai rakt niche se sar ki taraf behne lagta hai.
  • Iss asana mai lambi aur gehri saans li jati hai jisse aapko nai sakaratmak urja ka pravah mehsus hota hai.

 

Balasan Karte Samay Rakhe Kuch Savdhaniya:-

  • Apni kshamta se jyada iss mudra ka abhyas na kare.
  • Ulti dast jaisi bimari hone par balasan nahi karna chahiye.
  • Aapke ghutne mai chhot ya koi ghav hai to iss mudra ko na kare.
  • Jin vyaktiyo ko raktchaap se sambandhi koi samasya hai wo iss asana ko na kare.
  • Aapke aankho ya kano mai sankraman hai to yeh mudra aapke liye karna varjit hai.
  • Yadi aap jyada der tak iss asana ko karna chahte hai to kulhe ke niche takiya rakhe.
  • Agar aapko kisi tarah ka sar dard ya migraine ki samssya hai to iss asana ko na kare.
  • Agar aapki aediyo mai kisi prakar ki koi samasya hai to asana ko karne ka prayas na kare.
  • Gabhavati mahilaye yadi iss asana ko karti hai to unhe apne pet tatha jangho par jyada jor nahi dena chahiye.

 
Upar aapne jana Balasana Yoga in Hindi. Aap bhi iss aasan ke abhyas se uprokt labh paa sakte hai. Yadi aapko sharir mai kisi prakar ki pareshani hai to iss mudra ko karne se pehle doctor ka paramarsh jarur le.

Loading...

You may also like...