Bamboo Plants in Hindi – Aushdhiya Guno se Paripurn Bans

Prakrati dwara diye gaye vardano mai ped-poudho ka vishesh mahatv hai. Ped-poudhe manviya jivan chakra mai apni mahtv purn bhumika nibhate hai. Inse na keval bhojan sambandhit avashyaktao ki purti hoti hai. Inki upyogita ko dekhte huye inhe anek samvargo mai bata gaya hai. Inme aushdhiya poudhe na keval apna aushdhiya mahatv rakhte hai balki aay ka bhi ek jariya ban jate hai.

Humare sharir ko rog mukt banaye rakhne mai aushdhiya ped-poudho ka bahut yogdan hai. Yahi karan hai ki bhartiya purano, upnishadho jaise grantho mai bhi inke upyog ke sakshya milte hai. Inn vriksho se prapt jadi-butiyo ko aaj bhi ayurved chikitsako dwara manav rogo ke upchar hetu apnaya jata hai.

Yahi nahi, jangalo mai apne aap ugne wale aushdhiya poudho ke adbhud guno ke karan log inhe pujne lage hai jaise tulsi, neem, bargad neem aadi. Aaj hum aapko ek aise ped ke bare mai batane wale hai. Jisse log jante to hai magar iske aushdhiya guno ko shayad hi jante honge. Aaj hum aapko Bamboo Plants in Hindi ke aushdhiya prayog aur unse hone walse swasthya labho ke bare mai batane wale hai.

 

Bamboo Plants in Hindi: Janiye Iska Parichay, Gun aur Aushdhiya Labh

 


 

Bamboo Plant: Samanya Parichay

Bharat mai bans ke pedo ko aasani se dekha ja sakta hai. Khaskar Maharashtra ke konkan mai yeh bahutayat matra mai paye jate hai. Yeh 20 se 30 meter tak lamba aur ucha hota hai. Iske patte lambe aur tana majboot hota hai. Jab Bamboo Plant, 60 varsh ka ho jata hai, to isme beej aane lagte hai. Pratek bans mai thodi-thodi duri par beejo ke jhund lage hote hai. Jab yeh beej pak jate hai to bans sukh jata hai aur ek bans ke sukh jane par kai bans sukh jate hai. 20 se 25 varsh ke baad isme naye beej aana shuru hote hai. Iske beej gehu ke saman hote hai. Gaav ke log ya garib log inn beejo ka prayog roti banana mai karte hai. Bans se anek prakar ki vastuye banai jati hai jaise tokri, chatai, pankhe aadi. Isme se kapur ki tarah ek padarth nikalta hai jise vishlochan kaha jata hai.

Niras kahe jane wale iss bans ko ayurved mai kafi mahatv diya jata hai. Aushdhiya guno se paripurn bans mai yadi phool aa jaye to iska upyog tay hai. Inn phulo ko tod lene par hi vishlochan nikalta hai. Ise behad gunkari aushdhi mana jata hai.

Yeh manushya ke liye bahut upyogi ped hai. Iske phool, patli tahni, patte avam tana sabhi aushdhiya guno se paripurn hote hai.

 

You may also like:- Uses and Benefits of Tulsi – Swasthya ke Liye Vardaan Hai Tulsi

 

Vibhinn Bhashao Mai Iske Naam

Sanskrit – Vansh, Venu

Bangali – Vansh, Venu

Hindi – Bans

Gujrati – Bans

Marathi – Velu, chiva, Banvu

Karnataka – Bidiru

Telegu – Kachkai

Tamil – Mungil

Malyalam – Mungil

Latin – Bambu sawalgeris

English – Bamboo

 

Bamboo Tree Ke Gun

Vano, jangalo aur parvatiya bhago mai bans paya jata hai. Ism eek prakar ke chawal bhi paye jate hai. Iske pratyek avyav mai vishesh gun hota hai. Aaiye jante hai iske guno ke bare mai.

 

Sukha Bans

Sukha bans khatta, fika, thand tatha swadisht hota hai. Yeh cough, pitt, safed daag, sujan, mutra rog, bavasir aur sharir ki garmi ko dur karne mai faydemand sabit hota hai.

 

Gila Bans

Yeh tikha, khatta, mitha, fika aur ruchikar hota hai. Yeh pitt, khoon ki kharabi, mutra rog, aadi ko nasht karta hai.

 

Pola Bans

Yeh ruchikar aur pachak hota hai. Yeh ajirn, dard aur pet ki gas ko dur karne wala hota hai.

 

Bans Ke Beej

Yeh fika, mitha aur poshtik hota hai, virya ko badata hai tatha shaktishali banata hai. Cough, pitt aur prameh ko nasht karta hai.

 

 

Vanshlochan

Yeh swad mai fika, mitha, raktshodhak aur dhatu-vardhak hota hai. Yeh vaat, pitt, TB, safed daag, bukhar tatha pilia rog ko dur karta hai.

 

Bamboo Tree Benefits: Janiye Iske Labh

Bans aur iske avyavo ka upyog anek prakar se bimario aur rogo ko dur karne mai kiya jata hai. Aaiye jante hai Bamboo Tree Benefits

Bans ki jade humare sharir ko swach aur shudh banati hai. Iski jado ko jalakar barik piskar chameli ke tel mai milakar ganje sar par lagate hai to sar mai bahut aaram milta hai. Iske patto ka ras shahad ke sath milakar sevan karne se khansi thik ho jati hai. Sath hi iske patto ka kaada banakar lene se mahilao mai ruka huya masik dharm phir se shuru ho jata hai. Iski jado ka achar bhi banaya ja sakta hai, jisse vaat, pitt, khoon ke vikar tatha sharir ke gjav bhi bhar jate hai.

Bans ke chawal bhi hote hai, jo swad mai kashele, swadisht aur mithe hote hai. Yeh sharir ki dhatu ko pusht karte hai tatha sharir ko shaktishali banate hai.

 

 

Bans Ke Aushdhiya Prayog

Bamboo Shoots ko hum uski lambai ki wajah se jante hai, jo kai prakar se upyog mail aye jate hai. Isme aushdhiya guno ki bharmar bhi hai. Ise khane ke roop mai bhi prayog kiya jata hai. Iska achar bhi banaya ja sakta hai jo thand ke samay mai sharir ke liye kafi labhprad hota hai. Iske alawa jin logo ki hight choti hai aur agar wo apna kad badana chahte hai to unhe bhi iska upyog karna chahiye.

Kanpur ke vanya anusandhan Kendra ki research mai yeh baat samne aayi hai ki, lambai badane mai bhi yeh kargar sabit hota hai. Iss Kendra mai khane wale bans ki prajato ko viksit kiya gaya hai. Inn bans ki koplo ke sevan se baccho ki lambai mai ejafa hota hai. Sath hi isme calcium bhi adik hota hai, jo haddiyo ko majboot banata hai.

 

Baccho Mai Khansi Ya Dama

  1. Baccho ko adhik khansi ya dama hone par, vanshlochan ka churn shahad ke sath milakr dene se aaram milta hai.
  2. Bans ki ganth ko pani mai milakar dene se bhi labh milta hai.
  3. Bans ka ras, adrak ka ras aur shahad ko 6 ml ki matra mai milakar lene se bhi khansi aur dama rog se rahat milti hai.

 

You may also like:- Home Remedies for Asthma: Dama ka Ilaj Hua Ab Bahut Asaan

 

Shakti Ke Liye

Dalchini, ilaychi, choti papal, vanshlochan aur mishri inn sabko kramanusar ek dusre se duguni matra mai lekar acchi tarah pis le. Ise sitopladi churn kaha jata hai. Yeh shaktivardha hota hai tatha khansi, bukhar aur TB mai bhi asarkarak hota hai.

 

Peshab Sambandhit Pareshani

  1. Mutraghat ya peshab mai dhatu aane par, chawal ke pani mai bans ki rakh aur chini milakar rogi ko pilane se bahut labh milta hai.
  2. Bans ke hare aur sukhe patto ka kaada subah-shaam lene se baar-baar peshab aane ki samasya se aaram milta hai. Rogi ko pyas lagne par bhi yahi pilana chahiye.
  3. Vanshlochan, shital chini (Kankol) aur ilayachi ko milakar churn bana le aur saaf kapde se chaan le. Iss churn ki teen chutki dudh aur mishri ke sath lene se peshab saaf hota hai.

 

Sarv-Prameh

Vanshlochan, shital chini, Naagkeshar aur ilaychi inn sabko baramar matra mai lekar pis lete hai. Iske baad ise kapde se chaankar chandan ke tel mai milakar supari ki tarah goliya bana lete hai. Iske baad subah-shaam 40 ml thande pani mai 5 gm chini aur ek goli dalkar pani pine se sarv-prameh rog thik ho jata hai.

 

Anya Labh

  1. Bans ke patto ke ras ko chini mai chini milakar pis le aur para kha lene wale vyakti ko dene se jaldi labh milta hai.
  2. Sharir mai ghav ke sthan par khoon aane se rokne ke liye, bans ki chaal ke kaade ko thanda karke lena chahiye.
  3. Iski patli tahni ko datum ke roop mai prayog karne se pairiya, muh se khoon aur durgandh aane ki samasya dur hoti hai. Iske jad evam tana ke sevan se pet sambandhit rog bhi thik hote hai.
  4. Iske phoolo se shakti-vardhak dawa banai jati hai. Jinke sevan se hriday, asthma aur anya sans ke rog thik hote hai.
  5. Vanshlochan ke prayog se Chandra-prabhavati, shitopladi, kayakalp vati, vanshlochawali aadi ayuvedik dawao ka nirmaan hota hai. Iske sevan se baccho ki haddiya majboot hoti hai. Ise amla churn ke sath lene se dimag aur sharir ka vikas hota hai.
  6. Bans ke patte tatha bans ki komal ganth ka kaada pilane se grbhashay ka sankochan aur masik dharm ki shudhi hoti hai. Ise 40 gm ki matra mai pratyek 6 ghante par sukhe pani mai ghule purane gud ke sath dena chahiye.

Upper aapne jana Bamboo Plants in Hindi, ke aushdhiya guno ke bare mai. Aap bhi iske gun aur labho ko samjhe aur apne dainik jivan mai iska istemal kar apne sharir ko swasthya aur chust-durust banaiye. Yeh ek aisa vrikshay hai jo anek prakar se humare kaam aata hai. Bans ki shakhao se banane wale anek aisi vastuye hai jinka upyog hum apne ghar ko sajane mai karte hai.

Loading...

This website uses cookies.