Beard Growth Tips: Dadhi ki Sahi Dekhbhal aur Vikaas

Beard aur moustache to mard ki mardangi ki pahchan hoti hai. Lekin samay ke saath-saath yeh purush ke chehre par se khatam hoti ja rahi hai. Jis ke karan purush khud ko clean shave rakhna jyada pasand karte hai. Halaki dadhi rakhna koi aasan kaam nahi hai. Hamare sharir ke anya hisso ki tarah hume iski dekh bhal karna jaruri hota hai. To chaliye aaj is article me hum aapko Beard Growth Tips ke bare me batate hai.

Vese ek study ke douran ptaa chala hi ki, mahilao ko clean shave purush ke mukable dadhi vale purush jyada pasand aata hai. Aaj dadhi kisi ko inspire karne ka bhi kaam aa sakti hai. Lekin dadhi rakhne ke bhi bahut se tarike hote hai. Jo hum aapko batane ja rahe hai.

lekin kuch log aise hote hai jinke dadhi ki growth nahi hoti hai. Lekin dariye mat agar aapko dadhi rakhna bahut pasand lekin aapki dadhi nahi badti hai to chaliye hum aapko batate hai, Beard Growing Tips in Hindi.

Beard Growth Tips: Dardhi ki Sahi Growth ke Tarike

Jaruri Poshak Tatva

• Jyada protein vala bhojan, tanav na le aur jyada sona Beard ko tezi se badane me help karta hai.
• Protein sharir ko aise poshok tatva deta hai, jo jyada baalo ko ugata hai aur jyada sona isliye jaruri hai kyoki yeh poshak tatva sote samay apne kaam karta hai.
• Saath hi din me 8 gilaas pani piye isse ghane tatha swasth baal utpan hote hai.
• Baalo ke jhadne se rokne ke liye jaha tak ho sake tension free rahe.

You may also like: Grooming Tips For Men-Gentlemen Dikhne Ke Tarike

Vitamin

• Apne Aahar me Vitamin B ko shamil kare. Jese Vitamin B1, Vitamin B aur Vitamin B12 bhi baalo ko jaldi badne me help karte hai.
• Saath hi rojana bojan ka sevan kare. Yeh baalo aur nakhun ko tezi se badane ke liye jana jata hai. Iske sevan se aap jaldi ek ghani dadhi pa sakte hai.

Exfoliate

• Dead skin cell ko hatane se naye baalo ke vikaas ko incentive milta hai.
• To aap chahe to purusho ki twacha le liye taiyar koi accha exfoliate mask bhi try kar sakte hai. Isse aapko jaldi hi result milega.

Upar aapko Beard Growth Tips se judi jankari mili, Lekin ab question yeh hai ki kya bas dadhi badane se kaam chal jayga? Nahi Iski dekh bhaal bhi utni hi Jaruri hai jitna isko ugana.

Agar aap apni dadhi ko tezi se badana aur majboot banana chahte hai. To aapko iski theek tarike se dekhbhaal karna chahiye.

Dadhi badana to aasan hota hi lekin uski dekhbhaal karna bhi utni jaruri hota hai. Par log dadhi to bada lete hai. Lekin ve log iski dekhbhaal nahi karte hai. Vese bahut se logo ko to iske dekhbhaal ke tarike ki puri jankari bhi nahi hoti hai.To chaliye hum aapko batate hai, Beard Care Tip.

Beard Care Tips: Dadhi ki Dekhbahl ke Aasan Tarike

Khujli Hone se Bache

• Agar aapne dadhi ka rakhne ka decision kiya hai, to starting ke din me aapko khujli ki problem hona aam baat hai.
• Pasine ke karan aapki dadhi me khujli hoti rahti hai, iss probem se nijat pane ke liye aapko apni dadhi ko saaf rakhna chahiye.
Sahi Samay ka Intjaar Kare
• Kuch logo ko dadhi rakhane ka bahut shouk hota hai, lekin jese hi unki dardhi thodi si badti hai. Vo use trim karte hai ya phir shave kar lete hai.
• Agar aap apne chehre ko dadhi se daka huya dekhne chahte ho to kam se kam ek mahine tak wait kijiye.

Shampoo

• Apne sar ke baalo ki tarah aapko apni dadhi par bhi pura dhyan rakhan chahiye. Iske liye aapni dadhi ko week me 2 baar shampoo kare.
• Ise saaf tatha paseene se mukt rakhe

Sabun ka Use na Kare

• Aksar chehre par istemaal kiye jane vale sabun se aapki dadhi ko dho lete hai.
• Par sabun me moujud tatva aapki dadhi ko khurdura tatha rukha bana dete hai. Isliye behtar hoga ki aap sabun ke bajaye shampoo ka use kare.

Conditioner ka Use Kare

• Shampoo ke saath saath conditioner ka bhi istemaal kijiye.
• Agar aapki dadhi bahut lambhi hai to use band kar rakhe.
• Aapki sahayta ke liye bajar me hair hair-fixer bhi available hai.

Trimming

• Apne chehre ko ek sahi akaar dene ke liye apni dadhi ki trimming kare.
• Dardhi ko mahine me keval ek bar hi trimming kijiye.

Beard Growth Tips in Hindi: Acchi Dadhi se Paiye Attractive Personality

Trimming ke Liye Tools

• Dadhi banane se pahle aapke paas proper tool rahna chahiye.
• Taki aapko bar bar parlor na jana pade.

Dhul Mitthi se Bache

• Dhul mitti tatha bacteria ke karan aapko khujli ki problem ho sakti hai.
• Isliye dadhi ko hamesha saaf rakhe.

Bhojan

• Dhyan rahe ki bhojan karte vakt aapki dadhi par khana na gira. Kyoki khadya padarth aapki dadhi par chipak jate hai
• jisse aapke baalo kamjor hote hai saath hi baalo jhate bhi hai. To dhyaan rahe ki khana khate samay dadhi par khana nahi girna chahiye.

Upar aapne jana Beard Growth Tips. To bas apni dadhi ki dekhbhal kijiye aur ek attractive personality paiye. Jisse aapka confidence bhi badega.

Get more details about Men Beard Tips from Beauty tips in Hindi.

Loading...

This website uses cookies.