जानिए एक सप्ताह में गोरा होने के उपाय – यकीनन फायदा होगा

Aapki khubsoorati anmol hai. Jisko aur nikharne ke liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Beauty Tips for Fairness in Hindi. Jisse aap apni twacha ki rangat ko sudhar kar bahut sundar dikh sakti hai.

Vese aaj kal gora dikhna kon nahi chahta hai. Yeh har field ki dimand ban chukka hai. Agar aap gori hai to har koi aapko sar aankho par bethata par tab kya hota hai. Jab aapka rang thoda sa sabla ho.

Yeh baat bhi sach hai ki, apni rangat ko keval ek raat mai hi nahi badal sakte  hai. Lekin agar hamare dwara bataiye gai tips ko apna kar ek week mai aapni khubsoorati ko nikhr sakte hai.

Gori twacha pane ke liye hum aapko batate kuch khas tips, jisse aapki twacha ko bina koi nuksaan phuchaye aap prakartik tarike se apna roop nikhar sakte hai.

Vese agar apaki twacha ki rangat asman hoto aapka confidence bhi khtam ho jata hai. To accha hoga ki aap kuch aasan tariko ke dwara apni skin ko khusoorat ko baniye aur apne self-confidence ko banaye rakhe.Beauty Tips for Fairness in hindi

Vese dekha jata hai ki jese-jese hamari umra badhti jati hai, hamari skin ki rangat bhi khatam hoti jati hai. Aise mai aapko lagta hai ki aapki skin kali ho gai hai. Par aisa nahi hai, bas thodi si dekhbhal ke jariye aap apni khoi huye rangat vapass paa sakte hai.

Saath hi dhyan rahe ki aap aise prakritik product ka use kare jo ki, aapke liye faydemand ho saath hi aapki skin ko bina kisi side effect ke fayda pahucahye. Vese market mai kai aisi rasayan yukt cheeze milti hai. Jo ki aapki skin ke liye bahut kharab hoti hai. To aisme accha hoga ki aap natural cheezo ka sahar le.

 

13 Beauty Tips for Fairness in Hindi

  • Haldi

Beauty Tips for Fairness in Hindi ki baat kare to haldi ka naam sabs pahle aata hai. Twacha ki rangat nikharne ke liye haldi ka prayog bahut uttam hai. Iss paste ko banane ke liye haldi aur besan ya fir aata ka paryog kare. Hamesah dhyan rahe ki aap kadi haldi ka ko pis kar prayog kare.

Bazaru haldi mai bahut se rasayan mile hote hai. Jo aapki skin ko nuksaan pahuchate hai. Is paste ko banana ke liye ek mixer mai haldi ko pis lijiye aur thoda si taza malai mila kar isse acche se mix kijiye. Jab paste taiyar ho jaye tab usme dudh aur aata milaiye aur gadha paste banaiye. Iss paste ko apne chehre par 10 minutes ke liye lagaiye aur sukhane par thande pani se dho lijiye.

  • Honey aur  Almond Scrubber

Badam mai vah shakti hai, jo aapki twacha ka rang gora kar sakti hai. Raat bhar mai 10 badam ek pani bahre katore mai daal kar rakh de aur subah uath kar use pis kar chhan kar lijiye. Ab is pise huye badam mai thoda sa shahad milaiye aur ab iss scrub ko apni twacha par lagaiye aur acche massage kijiye.

  • Chandan

Har sundar bhartiya mahila ka beauty ko pane ka tarike mai chandan ka naam aata hai. Gori rangat dene ke alawa yeh allergy  aur pimple ko bhi dur karta hai. Chandan mai thoda sa gulab jal milaiye aur ab iss paste ko apne chehre aur garden par acchi tarah se lagaiye. Jisse aapko bahut fayda milega.

  • Kesar

Yeh paste banana ke liye aapko dahi aur cream mai thoda sa kesar mialne ki jarurat hai. Ab iss ko apne face par lagaiye aur sukhane ke baad garam pani mai dho lijiye. Isse aapki skin bahut jaldi gori dikhai degi.

  • Shahad aur Nimbu Ka Ras

Nimdu ek bahut accha bleach hota hai. Agar aap rozana nimbu ke ras mai shahad ko milkar lagayenge. To isse aapko bahut jaldi result milenge. Par bas dhayn rahe ki iss misharn ko sirf 15 minutes ke liye hi lagiye.

  • Soybean Aata aur Shahad

Soybean aata aur dahi ko acche tarike se milakar apne chehre par lagaiye. Tatha kuch der baad apne face ko acche se dho lijiye. Isse aapko bahut laabh milega saath-saath iske prayog se aapki twacha gori dikhai degi.

Beauty Tips for Fairness

  • Chironji, Badam, Jayfal

Badma chironji aur pisa huya jayfal tatha gulabh ki pattiyo ko raat bhar dudh bhigo kar chhod dijiye. Aur subah uthkar iska paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye.

  • Neem, Gulabh aur Gende Ka Phool

Neem ki pattiya, gulabh ki pattiya, genda ka phool sabhi ko pani mai ubaal lo. Ab rozana iss ras ko apne chehre par lagaiye. Isse muhase niklna bhi band ho jayenge. Saath hi aapki twacha gori bhi dikhai degi.

  • Kccha Dudh

Kacch dudh aapki twach ke liye bahut accha upy hai. Iske liye aap kcche dudh ko apne chehre par lagaiye aur fir sukhne par isse ragadke hata de tatha baad mai sade pani se apne muh ko dho lijiye. Isse appko bahut fayda hoga.

  • Tomato ka Ras

Tomato ke ras mai mai shahad mila kar accha paste bana lijiye. Ab iss paste ko rozana apne chehre par lagaiye. Sukhne par isse sade pani se dho lijiye. Isse aapko bahut acche result milenge. To huma bol sakte hai ki, Beauty Tips for Fairness  mai tamato ki mukhaye bhumika hai.

  • Pudina, Chanda aur Gulabh Jal

Pudina, chandan, gulabh jal tatha angur ka ras ko milkar paste banaiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye. Tatha 20 minutes ke baad halke gungune pani se pane chehre ko dho lijiye.

  • Santre ka Ras, Gulabh jal aur Shahad

Gori twacha pane ke liye ek chammach sante ke ras mai shahad aur gulab jal ko milaiye aur accha sa paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagiye. 30 minutes tak isse sukhne de. Fir sade pani apne chehre ko dho lijiye. Isse aapko bahut adhik laabh milega.

  • Aalu

Aalu mai prakrtik bleach hota hai. Iske liye aap aalu ko apne chehre par lagaiye aur 10 minutes ke baad apne chehre ko aache pani se dho lijiye. Isse aapki skin ke daag-dabbe khatam ho jaayenge. Saath hi aapki skin ki rangat bani rahegi.

Upar aapne jana Beauty Tips for Fairness in Hindi. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko ke dwara jaldi se apni skin ko gora banaiye aur hamesha sundar dikhiye.

Loading...

You may also like...