Beauty Tips for Men in Hindi: Purusho Ke Soundarya Ke Liye

Gori aur saaf-suthari twacha ki chahat aajkal sirf ladkiyo aur mahilayo ko hi nahi hai balki purusho ko bhi hai. Aajkal ke ladke aur purush bhi apne chehre ki sundarta aur chamak par dhyan dene lage hai.

Purusho ki twacha mahilao ki twacha ki apeksha thodi thos hoti hai iss wajeh se unki sundarta ke liye bhi mahilao se alag cream, gharelu nuskhe aur alag dekhbhal ki jarurat hoti hai.

Purusho ki twacha ko sundar aur mulayam banana ke liye bajar mai aese kai products aur creams uplabdh hoti hai. Lekin yeh products mai kai prakar ke chemicals mile hote hai jo ki twacha ke liye harmful hote hai.

Kai prurush accha dikhne ke liye keval shaving karte hai. Lekin ham aapko batana chahte hai ki sirf shaving se twacha acchi nahi banti uske liye kai prakar ki cleansing aur manicure ki jarurat hoti hai. Isliye purusho ko bhi mahilao ki tarah gharelu upacharo ko apanana chahiye jisse unki twacha bedag aur sundar ban sake. Iske liye aaiye jane Beauty Tips for Men in Hindi, jiski madad se purush bhi apni twacha ko aur bhi komal aur chamakdar bana sakte hai.

Beauty Tips for Men in Hindi: Inn Tariko Se Banaye Twacha Ko Sundar

Beauty Tips for Men in Hindi

Diye gaye tipso ko apnakar purush bhi apni twacha ko aur bhi behtar bana sakte hai. To aaiye yaha padhe Skin Care Tips In Hindi for Men.

Twacha Ki Safai Ke Dwara

Prusho ko apne chehre ki twacha ko hamesha saaf-suthari rakhna chahiye. Din bhar ki mitti aur dhul ki wajhe se twacha par mail aur kale daag banne lagte hai jisse poora chehra kala dikhane lagta hai. Aese mai twacha ki acchi tarah se safai karne ke liye cleanser ka prayog karna chahiye.

Sabun ke prayog se twacha sirf bahar bahar saf hoi hai. Lekin cleanser ka prayog karke twacha ko accha banaya ja sakta hai. Cleanser se chehre ko saf karne se chehre mai yadi koi pimple ho to use saaf kiya ja sakta hai. Iske alava twacha ko saaf rakhne ke liye smoking karne aur uske dhue se bachna chahiye, kyonki iska dhua swasth aur twacha dono ke liye hanikarak hota hai.

Manicure

Yadi kisi purush ki twacha rukhi hui hai to unhe apni twacha ki adhik dekhbhal ki jarurat hoti hai. Iske sath hi achhe aur attractive look ke liye nakhuno aur pairo ki bhi acchi tarah se saaf-safai karna chahiye.

Toning

Toning ki wajeh se twacha mai kasava rehta hai jisse twacha nayi si dikhayi dene lagti hai. Toning karne se twacha mai nami bani rehti hai aur twacha ke romchhidra bharne lagte hai. Jisse twacha mai kasavat aati hai aur chehra khubsoorat dikhai dene lagti hai.

You May Also Like:- Acne Scar Removal in Hindi: Chehre Ke Daag Dhabbe Hataye

 

Moisturizing

Face Care Tips in Hindi for Men bhi jaruri hai. Twacha ki sahi tarah se dekhbhal ke liye moisturizing bahut hi jaruri hota hai. Aesa karne se twacha ko aur bhi sundar aur tarotaja banaya ja sakta hai. Purusho ko aese moisturizer ka upyog karna chahiye jo unki twacha par asardarak ho.

Moisturizer karne se twacha mai gorapan aata hai sath hi yeh twacha ko suraj ki kirno se bhi bachane ka kam karta hai. Yadi aapki twacha teliya yukt hai to oil free moisturizer ka upyog karna chahiye.

Skin Care

Purusho ko apne chehre aur sharir ki sundarta ke liye acche products ka istemaal karna chahiye. Yeh acche products sharir aur chehre ko surya ki kirno aur anya prakar se kharab hone se bachane ka kam karte hai.

Iske sath-sath aankho ki sundarta bhi purusho ke beauty tips mai aati hai. Kya aap jante hai ki apne chehre ke look ke ansusar goggle ka upyog karne se chehre aur aankh dono ki sundarta badh jati hai? Isliye aajkal purush khubsoorat dikhane ke liye fashionable chashme ka upyog bhi karte hai.

Danto Ki Dekhbhal

Ek chhoti si smile kisi bhi vyakti ke look aur smartness ko present karne ke liye kaafi hoti hai. Isliye apne chehre ki sundarta ke sath-sath apni smile ko acchi banane ke liye healthy aur chamakdar(safed) danto ki jarurat hoti hai. Iske liye rojana subah aur sham daanto ki acchi tarah se safai karna chahiye jisse dant bacteria se bach sake aur sundar dikh sake.

Balo Ki Dekhbhal

Beauty Tips for Hair ki baat kare to mahilao ki sundarta mai balo ka jitna mahatv hota hai utna hi balo ka mahatv purusho ki sundarta mai bhi hota hai. Purusho ke bal jitney ghane hote hai utne hi acche hote hai aur yeh ghane bal purusho ki sundarta bhi badhate hai.

Isliiye balo ki sahi tarah se dekhbhal ke liye acche shampoo aur conditions ka upyog karna chahiye.

Pani (Water)

Pani chehre aur twacha mai nami banaye rakhne ke sath-sath twacha ko komal aur chamakdar banane ka kam bhi karta hai. Isliye hamesha chikitsak rojana 8 se jyada pani pine ki salaah dete hai.

Kapde(Clothes)

Acche look aur personality ke liye sharir aur chehre ki sundarta ke sath-sath kapde bhi mahatwpurna bhumika nibhate hai. Isliye jab bhi kisi outing ke liye jaye to apne casual kapdo ko sahi tarah clean air press karke hi jaye.

Yadi aap bhi apne look aur personality ko accha dikhana chahte hai to yaha padhiye Beauty Tips for Men in Hindi aur dikhiye sundar.

Loading...

You may also like...