Jab bhi kabhi ham raat mai der se sote hai ya fir ek din pehle ki dincharya bahut hi kam kaj se bahri hui hoti hai. To hame agle din sokar uthne ke bad bhi bahut thakan mehsus hoti hai. Iske alava yadi ham ek din pehle apne swasth par sahi tarah se dhyan nahi dete hai tab bhi hamara sharir thakan bhara mehsus karta hai.
Isliye hame apne din bhar ke bhojan ke sath –sath taja phal aur salaaj ka sevan karna chahiye aur adhik se adhik pani peena chahiye. Jisse hamari thakan dur ho sake aur twacha ki prakratik chamak bani rahe.
Twacha ko tarotaja banane aur sundarta ka khyal ham kai tariko se rakh sakte hai jaise swasth khana khakar, acchi dincharya apnakar jaise rat mai jaldi sona, sharab kam pine aadi.
Chehre ki prakratik chamak ko banaye rakhne ke liye yeh sabse aasan tarika hota hai. Din bhar sahi se pani na pine se hamari twacha sukhi aur murjhai si ho jati hai. Iske alava kai aur tarike hote hai jiski madad se ham apni thaki hui twacha ko fresh aur chamakdar bana sakte hai. To aaiye janne ke liye padhe Beauty Tips in Hindi for fresh skin.
Beauty Tips in Hindi: Inn Tariko Se Twacha Mai Laye Jaan
Apni twacha ko sundar aur tarotaja dikhane ke liye log bahut se tarike apnate hai. To aaiye yaha padhe aese hi kuch Beauty Tips for glowing skin ke bare mai.
Apne Chehre Ko Kare Exfoliate
Chehre ki thakan dur karne ka sabse accha tarika chehre ko exfoliate karna hai. Iske liye sabse pehle apne chehre ko thande pani se dhoye aur fir kisi bhi fruits se bane scrubs se chehre ki massage kare. Iske alava aap oats ko bhi scrubber ki tarah istemal kar sakti hai.
Chehre ki scrubbing karne se chehre ke sabhi dead cells chale jate hai aur twacha gori dikhai dene lagti hai.
Chehre Par Halka Blush Kare Lagaye
Apne chehre ki twacha ki thakan ko dur karne ke liye aur chehre par jan lane ke liye gal par rosi cream blush lagaye. Aesa karne se aapki thaki hui aankho se dhyan hat jata hai.
Aankho Ke Niche Concealer lagaye
Jab bhi ham thake huye hote hai to hamari thakan sabse pehle aankho se samajh aane lagti hai. Aese mai thakan ko dur karne aur apne aap ko tarotaja dikhane ke liye aankho ke niche Concealer lagana chahiye. Ise kabhi bhi apne pure chehre par nahi lagana chahiye. Sirf aankho ke niche lagaye jisse aap jage aur taroraja dikhe. Ise lagane se aanko ke niche ki murjhayi hui twacha barabar ho jayegi aur aankhe badi, fresh aur jagi hui dikhayi dene lagengi.
You May Also Like:- Papaya Face Pack in Hindi: Papite Se Nikhare Khubsoorati
Aankho Ke Niche Barf Lagaye
Aankho ki thakan ko dur karne ke liye kuch barf ke tukado ko lekar aankho ko band kar barf ke tukado ko upar 5 minute tak rakhe. Aesa karne se aankho ki thakan dur hogi sath hi aankho ki sujan bhi dur ho jayegi. Iske alava aap barf ko chehre par ghis bhi sakte hai jisse chehre ki sujan mai kami aayegi.
Aankho Ki Cream Ko Freeze mai Rakhe
Thakan aur nind puri na hone se aankho ke niche ki twacha sukhad jati hai aur kabhi-kabhi sujan bhi aa jati hai. Aese mai aap aankho par lagayi jane wali cream ko ek din pehle rat mai freeze mai rakh sakte hai aur subah uthkar laga sakte hai. Aesa karne se cream barf ki tarah thandi ho jati hai jisse aankho ki sujan dur ho jayegi sath hi twacha mai kasav bhi aayega.
Aankho Ki Massage Kare
Jab bhi kabhi aankho par cream ko lagaya jata hai to cream ko aankho ke upar aur niche massage karte huye lagana chahiye. Aesa karne se aankhe ke upar aur niche khun ka sahi tarah se pravah hoga. Aur din bhar tarotaja mehsus hoga.
Palko Ko Upar Ke Taraf Mode
Aankho ko thaka hua na dikhane aur unhe sundar dikhane ke liye baroni(eye lashes) ko mod lena sabse aasan aur kargar upay hota hai. Aesa karne se aankhe tarotaja dikhai dene lagti hai. Baroni ko modne ke bad usme mascara laga lena chahiye isse aankhe sundar dikhai dene lagti hai.
Makeup Kit Ke Upkaran Ko Saf Rakhe
Chehre ki thakan ko dur karne ke liye upyog kiye jane wale upkarno ko hamesha saaf rakhna bahut jaruri hota hai. Saaf suthare uparano ke istemal karne se chehre par muhanse nahi hote. Yadi aap bina saaf kiye kisi bhi upkaran ka istemal karti hai to aankho aur twacha par infection hone ka khatra bhi ban sakta hai aue chehra bhi accha nahi dikhta. Isliye apne makeup ke liye upyog kiye jane wale upkarno ko detergent ya garam pani ki sahayata se acche se dhoye.
Upar aapne jana Beauty Tips in Hindi for Fresh Look. Yadi aapki twacha bhi dinbhar ki thakan aur anidra ki wajeh se dusare din thakan mehsus kar rahi hai to diye gaye tariko ko apnaye aur dikhe tarortaja.