Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin: Paiye Twacha ka Nikhaar

Saaf aur damakti huyi twacha aksar ladkiyo ka khwab hota hai. Kai ladkiyo ki itni saaf twacha hoti hai ki aksar unhe dekhne wale log chok (shock)  jate hai.

Aap sochte hoge ki unhe ye twacha virasat mai hi mili hogi aur aap khud ke bare mai soch kar udaas ho jati hai.

Par aisa bilkul bhi nahi hai, kisi bhi ladki ki twacha chamakdar aur attractive ban sakti hai. To aaiye jante hai Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin aur apni bejaan twacha mai khoi ranagt ko wapas late hai.

Aise kai Skin Tips hai jise aap apna kar saaf, bina daag-dhabbo wali aur chamkili twachapa sakti hai. Tips mai diet, moisturization aur hydrating aadi shamil hai.

Kayi ladkiya parlor ja kar facial karwa leti hai lekin accha aahar khane par dhyan nahi deti hai. Jiss vajah se unhe chamakdar se unhe chamakdar twacha nahi mil pati hai.

Isi tarah se agar aap baazaru saman ka prayog karti hai to wah kuch dino tak apna asar dikhaygi par phir uske baad sab bekaar ho jati hai.

Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin: Daag Rahit Twacha ke Liye Apnaiye ye Tips

Accha hoga ki agar chamakdar twacha pana hai to homai made beauty product lagaiye. Aaj hum aapko batayge aise tarike batayege jisse aap chamakdar aur daag dhabbe rahit twacha pa sakegi. Aaiye jante hai inke bare mai

Jhurriyo ko Dur Kare

Ek spoon shahad ki kuch bunde nimbu ke ars mai milakar chehre par lagane se chehre ki jhurriya nahi padti hai.

Chamak Banye Rakhe

Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin ki baat kare to to hum bol sakte hai ki yeh ek bahut accha tarika hai ki, ek chammach gulab jal aur ek chammach dudh ke mishran mai 2 se teen bund nimbu ke ras ko milakar ise chehre par lagaiye. Isse aapki twacha ki komalta tatha chamak bani rahegi.

Scrubbing ke Liye

Tamator ka tukda lekar chehre par halke haatho se ragadiye isse aapke chehre ki sari gandagi khatam ho jayegi. Isse aap ek scrub ki tarah use kare. Kyoki scrub karne se aapki skin ki dead skin hamesha ke liye khatam hoti hai.

You may also like:- Homemade Body Scrub- Midas Touch For Your Skin

Oily Skin Se Chutkara

Ek chammach nimbu ka ras mai ek chammach gulab jal aur pisa huya pudina milakar paste bana lijiye fir ise 1 ghante apne face par laga kar rakhe. dijiye. Sukhane par thande pani se pani se chehre ko dho lijiye.

Dark Circle

Aankho ke niche jhurriya tatha dark circle se bachne ke liye badam ke tel mai shahad milakar lagaye aur ise halke hatho se massage kare.

Rukhi Twacha se Aaram

Nariyal ke tel mai shahad aur santre ka ras mila kar ise rukhi , fatti huye twacha par lagiye. Is misharn ke sukhne ke baad gungune pani se apne face ko dho lijiye aur fir koi cream laga lijiye.

Daag Dabbhe Hataye

Chehre ke kale daago ko hatane ke liye tamotar ke ras ko cotton mai bhigo kar daago kar par lagiye isse kale spot chale jayenge.

Muhase se Chutakara

Aalu ubal kar ise chhil lijiye aur ise apne chehre par ragdiye isse aapke muhase hamesha ke liye khatam ho jayenge. Saath hi aapki skin bhi saaf dikhai degi.

 

Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin Ke Liye Jaruri Face pack

Papita, Shahad aur Nimbu ka Pack

Papita mai papain namak enzyme hota hai, jo praktik tarike se dead twacha ki parat ko utarta hai. Shahad mai anti- bacterial gun se yukt hone se skin mulayam banti hai. Jabki satiric acid yukt nimbu tawcha ko chamkane mai help karta hai. Isliye aap inn teeno ka mishran banakar apne chehre par lagaiye.

Chandan aur Besan

Twacha ko chamkane ke liye, chandan powder, besan aur dudh ka pack banaiye. Aur apne chehre par lagaiye tatha 15 minutes ke baad apne chehre ko thande pani se dhol lijiye. Yeh bahut asardar upay hai kyoki chandan aur haldi mai anti oxidant ke gun paye jate hai. Saath hi besan mai dead skin ko hatane ke gun bhi paya jata aur dudh aapki skin ki rangat ko nikharat hai.

Chini ka Scrub

Chini, niumbu ka ras aur olive oil, sabko acche se mila lijiye. Ab iss scrub se bad aur chehre par scrub kijiye. Isse apaki skin bahut glow karegi aur sundar dikhai degi.

Natural Avocado Face Pack

Dahi avocado aur shahad ko mix kar chehre par lagaiye. Isse twacha mai nikhar aata hai. Kyoki dahi mai lactic acid hota hai, jo twacha ki chamak ko barkarar rakhta hai aur collagen ko bhi utpan karta hai. Avocado mai avshayak fatty acid hota hai, jo twacha ko majboot, naram aur adhik flexible banane mai madad karta hai.

Soyabin ka Aata aur Shahad aur Dahi

Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin mai iss face pack ka naam sabse pahle aata hai. 2 Chammcah soyabin ka aata, ek chammach dahi tatha shahad milkar paste bana lijiye. Ab iss paste ko kuch der ke liye chehre par laga kar chhod dijiye. Tatha 20 minutes ke baad apne chehre ko sade pani se dho lijiye.

Badam, Gulab ke Phul, Chirangi aur Jayphal

Badam, gulab jal, chirangi aur pisa huya jaiphal ko raat bhar dudh mai bhigo de. Subah inhe piskar paste bana lijiye. Tatha iss uptan ko apne chehre aur body par lagaiye tatha sukhane par sade pani se dho lijiye.

Neem aur Gulab ki Pattiya aur Gende ka Phool

Neem aur gulab ki Pattiya aur gende ka phool ko pani mai ubal lijiye tatha chhan kar isske ras ko chehre par lagaiye. Iss upaye se aapke chehre par adbhut chamk najar aayegi.

Aam Ke Patte, Jamun, Daru, Gud, Haldi

Aam Ke Paate, Jamun, Daru, gud, Haldi ko barabar matra mai lekar pis lijiye tatha uska accha se paste bana lijiye. Iss paste ko aap apne pure sharir par laga lijiye. Fir sukhne par naha lijiye. Isse aapki puri body ki skin mai bahut aacha nikhar aayega.

Upar apane jane Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin. To bas der kis baat ki aaj se inn tips ko apnakar apne chehre ko nikhariye tatha hamesha sundar rahiye.

Apni twacha ko chamkane ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe aur khubsoorat dikhiye.

Loading...

This website uses cookies.