Beauty Tips in Hindi for Hair: Paye Sundar Lehrate Majbut Baal

Har vyakti chahe fir wo stri ho ya purush apne baalo ko kala aur chamakdar dekhna chahta hai. Swasth kale aur chamakdar baal aapki khubsurati mai char chand laga dete hai. Purane samay mai jo tarike mahilaye apne baalo ke liye apnanti thi. Unse unke baal such mai kale ghane lambe aur swasth hote the.

Aajkal bajar mai kai prakar ke sabun shampoo milte hai. Jinse kuch product acche aur kuch baalo ke liye nuksan dayak hote hai. Isliye baalo ki dekhbaal karna bahut jaruri hai. Alag alag mosam mai baalo ki dekhbhal  alag alag tarah se hoti hai.

Iss bhagdor bhari jindgi mai khan pan ki kami ke karan baalo ko acchi tarah poshan nahi mil pata hai. Jisse wo bejan hokar jhadne lagte hai. Aur Iske atirikt dhul mitti aur prdushan se bhi baal kharab ho jate hai. Yahi wajah hai ki aajkal kam umra mai hi baalo ke kharab hone ke samasya dekhne ko mil rahi hai.

Agar baal swasth hai to wo sal mai lagbhag 15 cm tak badte hai.  Aur har mahine inke badne ki stathi 2.5 cm tak hoti hai. Lekin baalo ko puri tarah poshan na milne ke karan wo rukhe aur bejaan hote hai. Jinse unki lambai nahi bad pati hai. Yadi aapke baal bhi kharab ho chuke hai to pareshan mat hoiye ham aapko batate hai ki baalo ko swasth aur majbut rakhne ke liye kya kya jaruri hai. Aaiye janiye Beauty Tips in Hindi for Hair.
 

Beauty Tips in Hindi for Hair: Baalo Ki Sundarta Badhaye

 
Beauty Tips in Hindi for Hair
 

Tel Se Massage Kare

Baalo ko swasth banane ya fir kahe poshan dene ke liye tel ki malish bahut jaruri hai. Agar aap baalo mai rojana tel lagayenge to bahut hi accha hai. Lekin fashion ke iss dour mai logo ne tel lagana chhod diya hai, jisse baal jhadne lagte hai. Isliye yadi aap roj tel nahi bhi lagana chahte hai to hafte mai ek ya do baar tel jarur lagaye.
 

You May Also Like: Hair Tattoo Designs- Banaiye Apna Alag Style Statement

 
Castor Oil: Arandi tel baalo ke liye bahut faydemand hai. Kyuki isme ricinoleic acid aur omega-6 essential fatty acids hota hai. Jo ki blood circulation ko badane mai sahayak hota hai. arandi ke tel ko baalo mai lagane se yeh baalo ko nutrition dekar unke jado ko majbuat banata hai.
 
Coconut Oil: Nariyal ka tel baalo ke liye sabse accha hota hai. Isse rat bhar laga kar subah dhone se baalo ki acche se conditioning ho jati hai. Nariyal ka tel ghunghrale tatha uljhe huye baalo ki aasani se suljha leta hai. Nariyal ke tel mai castor oil ko milakar lagane se bhi baal swasth bane rehte hai.
 
Badal Tel: Badam ko khane se pure sharir ko poshan aur takat milti hai. Wese hi badam ke tel ko sar mai lagane se baal lambe aur ghane hote hai. Badam ka tel baalo ko acchi tarah se poshan deta hai aur unhe majboot banane mai madad karta hai. Kyuki badam mai kai vitamin jaise ki A, E, B hote hai. Jisse baal kale aur silky ho jate hai.
 
Jaitun Ka Tel: Jaitun ke tel se hafte mai ek bar malish karne se aapke baal safed nahi hote aur kale bane rehte hai. Aap upar diye haye tel mai se kisi bhi tel ko chhunkar malish kar sakte hai. Yeh behtarin Hair Care Tips hai.
 

Baalo Ke Liye Jaruri Hai Conditioning

Kuch logo ke baal bahut rukhe hote hai. Aese baalo ke liye conditioning bahut jaruri hai. Baalo ko acche se shampoo karne ke bad acche se dho le. Taki apke baalo mai shampoo ki matra na rahe. Uske bad bajar mai uplabdh conditioning product ka upyog baalo par sakte hai. Conditioning karte samay conditioner ko niche tip se lagaye scalp se nahi.

Conditioner karne se aapke baal ekdam naram aur chamkdar ho jayenge. Lekin dhyaan rakhe ki alag alag baalo ke liye unke anusaar conditioner bajar mai uplabdh hai to apne baalo ke anusaar sahi conditioner ka chunaav kare. Jisse aapke baalo par uska asar dikhe. Conditioner lagane ke bad usse 3 minute tak rakhe taki apke baalo ki acche se conditioning ho jaye. Aap chahe to prakratik conditioner ka bhi isktemal kar sakti hai.
 
Dahi Lagaye: Aap conditioning karne ke liye gharelu tarike bhi apna sakti hai. Dahi mai ande ko milakar lagane se baal majbut tatha chamakdar bante hai. Isse baalo ki bahut acchi tarah se natural conditioning hoti hai.
 
Mehndi Ka Prayog: Mehndi baalo ke liye sabse acche conditioner ka kaam karti hai. Aap chahe to mehndi ke ghol mai amla, ritha aur shikakai ke powder milakar laga sakte hai. Iss pack ko lagane se baal majbut ghane aur chamdar bante hai
 
Castor Oil: Arandi ke tel ko baalo mai acchi tarah jado mai lagane se yeh baalo ko moisturize karne mai madad karta hai. Iss tel ko shampoo karne ke 15 minute pehle laga kar sar dhoyenge to baalo ki bahut acche se conditioning ho jayegi.
 
Beauty Tips for Hair
 

Hair Mask – Baalo Ke Liye Faydemand

Baalo ke liye hair mask baalo ki puri tarah se dekhbhal karne ka kaam karta hai. Jaisa ki sabhi jante hai anda sehat ke sath sath baalo ke liye bhi bahut accha hota hai. Kyuki isme sulfur, zinc, iron, calcium, iodine, phosphorus hota hai. Jo baalo ki vardhhi mai bahut sahayaka hota hai.
 
Egg Mask: Aap ande ka mask banae ke liye ande ka safed bhag ko ek katori mai lekar fet le. Usme 1 chhota chammach jaitun ka tel aur shahad dalkar paste bana le. Tatha apne baalo par 20 minute tak laga kar rakhe aur shampoo aur thande pani se dheere dheere dho le. Aapke baal mulayam aur chamakadar ho jayenge.
 
Methi Ka Mask: Methi mai protein aur nicotine acid hot hai, jo baalo ke liye bahut accha hota hai. Methi ka hair pack banane ke liye methi ko mixi mai pees le. Aur isme thoda sa nariyal tel dalkar ise 30 minute tak apne baalo mai laga rehne de. Uske baad sar ko thande pani aur shampoo se dho le. Yeh prarkiya aapke baalo ke prakratik rang ko banaye rakhta hai. Agar aapke baal safed ho gaye hai to usse fir se kala karne mai bhi yeh madad karta hai.
 
Hari Chai: Aap green tea ke tea begs ko chai banane ke bad fek dente hai. Lekin green tea mai atyadhik anti-oxidant hota hai. Green tea ko apni scalp par 1ghanta laga kar rakhe. Aur thande pani se dho le. Aapke baalo ka tutna kam ho jayega.
 
Amla: Hum sabhi jante hai ki amla mai vitamin C bahut adhik matra mai hota hai. Amla ko khane se baal kale aur khubsurat hote hai. Yadi aap amla nahi khana chahte hai to amla ke powder mai 2 chhote chamaach aur nimbu ka ras milakar paste bana le. Uske bad baalo par laga kar sukhne tak rehne de. Aur sar ko acche se dho le. Aapke baal swasth sundar bane rahenge.
 

You may also like:- Hair Spa at Home in Hindi: Ghar Par hi Kare Baalo ki Dekhbal

 

Steaming – Baalo Ko Bhap De

Waise to baalo ki steaming parlour mai jakar aasani se karva sakte hai. Lekin aap bina kisi bajar ke product ke ghar par bhi iss prakriya ko kar sakte hai. Hair Steaming ko karne ke lieu sabse pehle to tel se sar ki malish kar le. Fir garam pani mai towel ko bheega kar sar se bandh le. Aisa karne se aapke sar ke rom chihdra khul jayenge. Sath hi aapke baalo ki conditioning bhi ho jayegi. Aur aapke baal moisturize ho jayenge.

Aapke baalo ki khubsurati badane ke liye aap niche diye nuskho ka bhi istemal kar sakte hai:-

  1. Hafte mai kam se kam do bar aapke baalo mai tel ki malish jarur kare. Isse sar mai rakt sanchar accha hoga aur aapke baal vradhhi karne lagte hai.
  2. Loki ke ras ko pure baalo mai acche se laga le. Tatha 30 minute bad sar dho le. Aapke baal bahut acche ho jayenge.
  3. Pyaj ke ras ko hafte mai do bar lagane se baal kale, majbut or ghane bante hai. Yadi kisi ko ganjapan ho raha hai to pyaj ke ras ko niymit lagane se naye baal aane lagte hai. Aur ganjapan bhag jata hai.
  4. Upyog ki hui chai patti ko kuch pani mai ubaal le. Fir iske thanda hone par ise baalo mai lagaye. Ise hafte mai kam se kam 2 bar kare. Aisa karne se baal majbut ho jayenge.

Upar aapne jana Beauty Tips in Hindi for Hair. Yadi aap bhi khubsoorat baal chahte hai to upar diye gaye tariko ko jarur apnaye.
 

Loading...

You may also like...