Homemade Beauty Tips in Hindi ek aisa upay hai jo aapki bejan, rukhi twacha ko nayi rangat deta he. Yeh niche diye gaye tips ko sirf rojana 5 minutes ke liye apnaiye aur paiye young looking Glowing Skin wo bhi bina kisi comical side effects ke.
Agar aapke chehre par kisi prakar ki tanning ho gayi ho ya phir muhaso se daag dhabbe aur black heads ne pareshan kar rakha ho to, bazaru cream chod kar aapko kitchen me rakhi samagri istemaal karni shuru kar deni chahiye.
Aksar dekha gaya hai ki logo ko gori rangat pane ki badi chah hoti hai, isliye wah apne chehre par na jane kon kon si cream aur powder malte rehte hai, jisse kabhi kabhi aapko side effect bhi ho sakte hai. Parantu inn gharelu upay ki madad se aap bina kisi negative effect ke khoi hui rangat wapas paa sakte hai.
Aaj hum aapko bade hi aasan gharelu nuskhe batane ja rahe hai jisse aap apni rangat ko wapas pa sakte hai. Lekin inn gharelu upcharo ko istemaal karte huye aapko kuch baato ka bhi khayal rakhna hoga, jese kadi dhup me chehra khol kar na chale tatha chehre par dhup me nikalne se pehle suncream lotion laga kar hi chale.
To chaliye jante hai rangat nikharne ke liye kuch aasan upchar.
Chamakdar Twacha ke Liye Aasan Skin Care Tips in Hindi
Glowing Skin ke Liye Shahad ka Lep
Shahad ka lep banaye, aur apne chehre aur gardan par lagaye. Jab yeh sukhkar kuch chipchipa sa lagne lage to aapki fingures se aap apne face ki massage kare. Puri tarah se dry hone par aap ise garam pani se clean karke thande paani se dho le. Isse aapki skin tight aur glowing rahegi aur aapki oily and dry skin bhi thik ho jaygi.
You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Daag Rahit Chehre ka Raaz
Soyabean ka Atta, Dahi Aur Shahad
2 spoon soyabean ka atta le, isme ek bada spoon dahi aur shahad milaiye aur uska lep banakar apne chehre par lagaye. Aisa karne se aapki twacha me kasawat aayegi aur aapki bejaan twacha me jaan aa jaygi.
Badam, Gulab ke Phool, Chironji aur Jaiphal, Dudh ke Sath
Badam, gulab ke Phool, chironji aur jaiphal ko raat me dudh ke saath bhigo kar rakh de. Subah ise piskar iska mixture lagaye. Isse aapke chehre ke daag dhabbe puri tarah se gayab ho jayenge aur aapki twacha kaantimay ho jayegi.
Homemade Beauty Tips in Hindi, Dhoop Se Jhulasi Twacha ke Liye
Dhoop se hamari twacha jhulas jaati hai, aur kaali pad jaati hai. Twacha ke rang ko firse pane ke liye aapko inn vidhiyo ka upyog karna padega. Aam ke patte, jamun, daaru, gudd, aur haldi ki barabar matra milakar uska paste puri body par lagaye. Kuch time rakhne ke baad nahale. Yeh aapko apni twacha ki purani rangat lane me madad karega.
Pimples se Nijat Pane ke Liye Pack
Neem ki pattiya, gulab ki pattiya, gende ka fool sabhi ko ek katori pani mai ubale aur uske ras ko chehre par lagaye. Isse pimples aana band ho jayenge.
Jhurriya Mitaye Chandan Lagaye
Chandan, gulab jal, pudine ka ras aur angoor ka ras milakar iska paste banaye, aur use chehre par lagaye. Kuch der baad thande paani se chehra dho le. Iss face pack se aap ki jhurriya khatam ho jayegi.
Homemade Beauty Tips in Hindi: Inn Upay se Kar Lijiye Khubsoorti ko Capture
Saaf aur damakti twacha aksar ladkiyo ka khawb hota hai. Aise kai skin tips jise aap apna kar saaf, bina daag-dhabbho wali chamkili twacha pa sakti hai. Accha hoga ki chamakdar twacha pane ke liye home made beauty product ka istemaal kare aur apne chehre ko banaiye daag-dhabbe rahit twacha.
Yaha hum kuch aise upay batane ja rahe jinn par amal karte huye thode waqt me tatkalik tour par tan-mann ki ronak badayi ja sakti hai. Aaiye jante hai aise hi Homemade Beauty Tips in Hindi ke baare me:
You may also like:- Homemade Body Scrub- Midas Touch For Your Skin
1) Khoob Pani Piye
Dehydration matlab pani ki kami se aapki twacha rookhi aur bejaan lagne lagti hai. Isliye jitna ho sake jyada se jyada pani piye aur jaldi apne aap ko tarotaaza banaye.
2) Anti-Oxidants se Bharpur Bhojan
Jese jese aapki age badti hai aksar dekha gaya hai ki sharir me Kabhi Kabhi sujan hone lagti hai. Isse bachne ke liye jitna ho sake apne khane me anti-oxidant le. Isse sharir jaldi budha nahi hota hai aur aap jawan dikh sakte hai.
3) Twacha ke Liye Prakritik Utpado ka Istemaal Kare
Bahut si skin care utpad nuksaan pahuchne wale rasayan hote hai. Isliye jitna ho sake prakritik utpado ka istemaal kare jinme kisi bhi tarah ka koi bhi rasayan na ho.
4) Acchi Neend Le
Agar aap office ke kaam ki vajah se der raat tak jagti hai aur subah aapki neend puri nahi ho pati hai to isse aapki skin par asar pad sakta hai. Din mai kam se kam 7-8 ghante ki neend aapki body ke liye bahut jaruri hai.
5) Akhrot
Isme omega 3 fatty acid paya jata hai jo ki skin ke liye bahut accha mana jata hai. Iske alawa aap iske tel se apni twacha ko massage bhi kar sakti hai. Isse aap jawan dikhne lagegi.
6) Orange Khaye
Orange aapki twacha ko chamkane me bahut madad kar sakta hai. Iska juice pijiye chahe iske chilke ko sukha kar iska paste bana kar apne chehre par lagaiye. Yeh har tarah se skin ko chamakdaar banana me madad karega.
7) Butter Fruit
Twacha me name bharne ke liye aapko butter fruit ka juice pina chahiye. Yeh twacha me andar se hi chamak lata hai.
8) Scrub Kare
Twacha ko scrubber karne se nayi twacha aati hai aur purane daag-dhabbe halke padne lag jate hai. Aapko hafte me 2 baar scrub karna chahiye taki aapki skin me glow aa sake.
9) Facial
Mahine me 1 ya 2 baar aapko apne chehre ka facial karwana chahiye. Agar ise regular kiya jayga to aapki twacha fresh, healthy aur young dikhegi.
Gori Chamakdar Twacha Ke Liye Kuch Aasan Upay
Jhurriyo ke liye lep | Papita ko mash karke lagaye |
Muhanso se paye nijat | Neem ka face pack lagaye |
Sunburn ko hataye | Kaccha dudh lagaye |
Kya kare | Khub pani piye, Hari sabjiya khaye |
Kya na kare | Junk food na khaye, Der rat tak na jage |
Jane Kuch Anya Tarike
- Jab bhi aap bahar se ghar jate hai to saaf pani se chehre ko dhoye taki chehre ki dhul mitti acche se saaf ho jaye.
- Khubsurat aur chamakdar twacha pane ke liye roj raat ko sone se pehle thanda aur kaccha dudh piye, isse aapko bahut jaldi fayda milega. Yadi thand ke din hai to garm dudh pina hi behtar hoga.
- Twacha ko prakratik rup se saaf karne ke liye jo ka aata, gulabjal, aur nimbu ka ras milakar paste banaye aur chehre par lagaye.
- Chehre ki rangat nikharne ke liye badam ko ratbhar bhigo kar rakhe aur subah pani se nikal kar isko mixer mai pees le. Ab peese huye powder mai kaccha dudh dalkar paste bana kar chehre par lagaye.
- Pake huye papite ko acche se masal le aur iska paste bana le. Ab ise chehre par lagakar 1 ghanta rakha rehne de aur saaf pani se chehra dho le.
- Chehre ko tarotaja banane ke liye tamatar ke gude ko chehre par lagaye yeh twacha ke liye bahut asarkari hota hai.
Homemade Beauty Tips in Hindi ke Bare me Adhik Jankari ke Liye Dekhe ye Video
Upar aapne jane kuch simple Homemade Beauty Tips in Hindi. To aaj se hi inn upay ko apnakar apni twacha ko nikhariye aur khubsoorat dikhiye.