Belly Fat Diet in Hindi – Pet Ki Charbi Ghatane Ke Liye

Aakarshak figure har koi chahta hai lekin bada huye pet ke karan kai logo ka yeh sapna adhura reh jata hai. Iss bade huye pet ko kam karne ke liye log gym jate hai ya aur bhi kai tarike apnate hai taki unka pet kam ho jaye.

Kintu pet ki charbi ghatana itna aasan nahi hai, isme kaafi samay lagta hai, jisse logo ka sanyam tut jata hai aur we gym jana chhod dete hai.

Darahsal aapke pet ki charbi badne ka ek karan aapki galat diet bhi hai. Yadi aapki diet sahi hogi to aapka pet na to badhega aur naa hi aapko gym mai kadi mehnat karni padegi. Aapko apne aahar mai aese khadya padartho ka shamil karna chahiye jo charbi ko ghatane mai madadgar hote hai.

Iske atirikt aapko bahut adhik khane se bhi bachna chahiye. Aapko apni diet mai utni hi calorie lena chahiye jitna aap rojana kaam karke use khrach kar sake. Jyada calorie lene se wah sharir mai jam jati hai aur charbi ka rup le leti hai. Pet ki charbi ko jalane ke liye aapko kya khana chahiye kya nahi janne ke liye padhe Belly Fat Diet in Hindi.
 

Belly Fat Diet in Hindi: Pet Ki Charbi Ghatane Wale Aahar

 

 

Seb Ka Sevan Kare

Yeh to sabhi ko pata hai rojana ek seb ka sevan karne se aapko doctor ke paas jane ki jarurat nahi hoti hai. Iske alava seb aapke sharir se atirikt charbi kam karne mai bhi sahayak hota hai.

  • Din mai aap 2 se 3 seb rojana kha sakte hai.
  • Seb pet ko patla karne mai sahayak hota hai.
  • Seb ke chilke mai ursolic acid hota hai jo brown fat ke utpad mai sahayak hota hai.

 

Subah Ke Nashte mai Ande

Ande khana sharir ke liye bahut faydemand hota hai kyonki isme protein ki bharpur matra payi jati hai. Jo bhi vyakti vajan kam karna chahte hai unhe rojana apne aahar mai ande ko jarur shamil karna chahiye.

  • Ande ke rojana sevan se aapke sharir mai atirikt calorie kam ho jati hai.
  • Iske sevan se sharir mai charbi ghatne ke sath vajan bhi kam hota hai.
  • Nahste mai anaaj ka sevan karne ke bajay ande ka sevan karna jyada faydemand hota hai.

 

Hari Sabjiya

Niyamit rup se hari sabjiyo ka sevan karna swasth ke liye to accha hota hai sath hi yadi pet ki charbi ko kam karna chahte hai to uske liye bhi yeh bahut faydemand hai.

  • Sabjiyo mai calorie ki matra bahut kam hoti hai.
  • Sabjiya fiber yukt hoti hai jo aapko swasth tatha urjawan banati hai.
  • Sabjiyo ke sevan se aapko iron, potassium, magnesium, minerals, aadi jaruri chije mil jati hai.

 

Daliye Ko Apne Aahar mai Shamil Kare

Vajan ko kam karne mai daliya aapki sahayata kar sakta hai. Aap chahe to isse sabjiyo ya fir dudh ke sath banakar kha sakte hai.

  • Daliya bahut poshtik aahar hai.
  • Yeh ek prabhavi Fat Burning Foods mai se ek hai.
  • Daliya mai carbohydrate, minerals aur fiber hota hai jo jaldi se pach jata hai.
  • Daliya ka sevan karne se raktchaap hone ki sambhavna kam ho jati hai.

 

Faydo Se Bharpur Oats

Oats ko aapke rojana ki diet mai shamil karenge to usse aapko urja milne ke sath sharir par atirikt charbi nahi jamegi. Kyonki oats khane mai halka hone ke sath jaldi se pach jata hai tatha sharir isse milne wali urja ki khapat jaldi kar leta hai.

  • Isme antioxidant gun hote hai jo aapko dil ki bimari se duri banaye rakhte hai.
  • Oats mai fiber bahut adhik matra mai hota hai jo swasth ke liye bahut accha hota hai.
  • Oats ko khane se aapka pet bahut der tak bhara rehta hai aur aap jyada der tak kuch aur nahi khate hai.

 

Kuch Anya Aahar Jinka Aapko Rojana Sevan Karna Chahiye

  • Adrak ki chai piye, isse aapke sharir ka tapman badta hai aur tapman badne par pet ki charbi kam hoti hai.
  • Ek glass pani mai thoda sa nimbu ka ras aur shahad dalkar rojana piye. Yeh charbi kam karne wale enzyme ko badata hai.
  • Pet ki jami hui atirikt charbi ko hatane ke liye machali ka tel pina faydemand hota hai kyonki isme omega 3 fatty acid hota hai jo charbi ko ghatane mai sahayak hota hai.
  • Yadi aap machali ke tel sevan nahi kar sakte to chiya ka bij ko kha sakte hai kyonki isme bhi bharpur mata mai omega 3 fatty acid hota hai.

 

Inn Mahatvapurn Baato Ka Rakhe Dhyan

  • Apni bhukh se thoda kam khaye.
  • Aapke khane mai namak ki matra kam kar de.
  • Mitha khane par niyantran rakhe, Lose Belly Fat Fast ke liye yeh jaruri hai.
  • Aapke khane mai chawal, aloo, ghee ka prayog bahut kam kar de.
  • Khane ke turant baad pani na piye balki 1 se 1 ½ ghante ke antral mai pani piye.

 
Upar aapne jana Belly Fat Diet in Hindi. Uprokt tariko ko apnakar aur vyayam ko apni jeevan sheli mai barkarar rakh aap aasani se apne pet ki charbi ko ghata sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.