Apple Benefits in Hindi: Seb Khane ke Behtrin Fayde

Aapne wo kahavat to suni hogi, ‘An Apple a Day, Keeps the Doctor Away’. Agar aap roj ek apple niyamit roop se khayenge, to aapke paas koi bhi bimari bhatkegi bhi nahi. Jinhe lagta hai ki wo mote ho rahe hai, wo bhi seb kha sakte hai, kyoki apple mai zero calorie hoti hai. Aaiye jante hai Apple Benefits in Hindi aur banate hai swasth ko behtar.

Jo log patle hote hai wo bhi apple kha sakte hai. Seb sharir ko majbooti pradan karta hai, jisse aapke sharir ka inner stamina badhta hai. Seb mai potassium, calcium, phosphorous, magnesium, iron, copper, aur zinc hota hai. Jo ki twacha ki rangat nikharta hai.

Seb sharir ke glucose matra ko samanya karta hai, jisse madhumeh ke rogiyo ko bahut fayda hota hai. Yeh ek bahut accha anti-oxidant hai jo bahut si bimari ko dur karta hai.

Iske fayde swasth ke liye to hai hi parantu ye aapki twacha ko nikharne ka bhi kaam karta hai. Isko khane se aapke chehre ke dhabbe dur ho jate hai. Seb ke jelly ko face par lagane se aapki twacha sundar aur mulayam ban jati hai. To aaj hi se apple ka niyamit roop se sevan kare aur swasth rahe.

Apple Benefits in Hindi: Seb Khaye Aneko Rogo ko Dur Bhagaye

Anemia:

Apple mai iron bahut jyada matra mai paye jate hai. Agar aap din mai 2 se 3 apple khate ho to yeh pure din ki iron ki kami ko dur kar deta hai. Anemia jaisi bimari ke liye seb ek bahut accha solution hai.

Cancer:

Apple mai kwarcitin paya jata hai, jisse cancer hone ka khatra bahut kam ho jata hai. Rojana apple khane wale logo ko cancer nahi hota aur wo log swasth rehte hai.

You may also like:- Apricot Health Benefits: Swasth ke Liye Khubani ke Laabh

Madhumeh se Bachaye:

Jin logo ko madhumeha ki problem hoti hai, unhe seb ka upyog karna chahiye. Apple mai paye jane wala pectin jo ki gluconic acid ki kami sharir mai puri karta hai aur insulin ke upyog ko kam karta hai.

Cholesterol:

Apple mai ghulan sheel fiber paya jata hai, jo cholesterol ko kam karta hai aur aapko swasth rakhta hai.


Nutrients Quantity
Vitamin E 0.18 mg
Vitamin C 4.6 mg
Vitamin A 3 mg
Potassium 107 mg
Iron 0.12 mg
[chart id=”16111″]

Dast aur Kabj
:

Chhote baccho mai aksar dast aur kabj ki problem payi jati hai. Aise samay mai apple khilane se aaram milta hai aur dast nahi hoti hai.

Vajan ko Niyantrit Kare:

Kai swasth samasya ki wajah motapa mana jata hai. Jese heart rog, ucch rakt chap, madhumeha jesi bimariya jyada vajan ke karan hi hoti hai. Apple khane se inn sab bimariyo se chutkara milta hi hai aur saath hi yeh motapa bhi kam karta hai.

You may also like:- Weight Loss Tips in Hindi: Vajan Kam Karne ke Upay

Liver ko Majboot Kare:

Aajkal logo ko liver bahut kamjor hota hai. Liver ko majboot rakhne ke liye roz 1 apple khana chahiye kyuki acchi matra mai anti-oxidant paye jate hai.

Energy Badhaye:

Seb urja ka ek bahut accha source hai chuki yeh faifado ke liye oxygen ki apurti mai madad karta hai. Isliye, aapko work out karne se pehle kuch seb khane ki salah di jati hai. Yeh aapki kshamta ko badhata hai aur urja ke level mai vraddhi karta hai.

Danto Ko Swasth Banaye:

Seb mai adhik matra mai fiber hota hai jisse aapke dant swasth bante hai. Iske atirikt isme antiviral gun hota hai jo bacteria aur virus ko dur rakhta hai tatha aapke muh mai thuk ki matra ko badata hai. Iske sevan se aapke dant safed hote hai.

Alzheimer Ki Bimari mai Faydemand:

Alzheimer mastishk se judi bimari hai. Ek research ke dwara pata chala hai ki niyamit rup se seb ka ras pine se Alzheimer ki bimari se nijat mil jata hai. Seb mastishk ki koshikao ki raksha karta hai aur iske sevan se Alzheimer rog hone ki sambhavna kam ho jati hai.

Pet Ke Rogo Ko Dur Kare

Kai bar hamara pachan tantra gadbada jata hai aur pet mai dard tatha kabj ki pareshani hone lag jati hai. Seb ka sevan karne se aapka yeh rog dur ho jayega aur kabj ki samasya se nijat mil jayegi. Yadi chhote bacche ko dast lage hai to seb ko peeskar khilaye.

Roz ek apple ka sevan kijiye aur ho jaiye swasth aur mast. Upar diye gaye sabhi Apple Benefits in Hindi aapki sehat mai bahut sudhar layenge aur aapko swasth rakhege.

Get more update about Apple from Food.

Loading...

This website uses cookies.