बेकिंग सोडा के फायदे – सनबर्न और स्किन इन्फेक्शन से बचाये

Vese dekha gaya hai ki log Baking Soda ko bas swad badane ke roop me hi jante hai. Lekin aisa nahi hai. Aap rozmarh ke anya upay me bhi iska ka istemaal kar sakte hai. Lekin iske bahut se aise use bhi hote hai, jinke bare me aap ko sahi jankari nahi hoti hai.

Tho chaliye hum aapko batate hai Benefits of Baking Soda.

Uses of Baking Soda in Hindi, Iske Natural Upay

Baking Soda ka istemaal hamesha khane ka swad badne ke liye kiya jata hai, lekin kya aap jante hai ki iska istemaal se aap apni daily life ke anye upay ke liye bhi kar sakte hai. Saath iska sabse bada use yeh hai ki isse aapki khubsoorti nikharti hai.

Benefits of Baking Soda in Hindi, Iske Bemisaal Faydo Se Nikhare Apni Khubsoorti

Soda Face Wash ka Kamal

  • Baking soda ek accha face wash hai. Makeup hatane ke liye isko pani me milakar apne chehre ko dhoiye. Aap chahe to isse chehre ki scrubbing bhi kaskate hai.
  • Isko face wash ke roop me aap rojana use kar sakte hai.

Pairo ki Khubsoorti Badaye

  • Baking soda ka istemaal pairo ki dekhbhaal ke liye bahut upyogi hai.
  • Iska upyog aap pedicure ke roop me bhi kar sakte hai. Yeh pairo ki gandagi ko saaf karke pairo ki twacha ko mulayam banata hai. Iske liye ek tub me char liter pani lijiye phir usme aadha cup baking soda daliye.
  • Adhe ghante tak apne pairo ko pani me duboiye phir apne pair poch lijiye aur koi cream laga lijiye.

You may also like:- Face Hair Removal Tips in Hindi, Unchahe Baalo Ko Hataiye

Jane Kuch Anya Fayde

Cancer se bachaye Pachan mai sahayak
Sine mai jalan se rahat Vyakti ko urjavaan banaye
Ulcer ke dard mai rahat Blackheads hataye
Carpet ki safai kare Bartan ko chamkaye
Kidney ke karyo mai madad kare Baalo ke liye

Sunburn se Twacha ko Bachaye

  • Garmiyo ke mousam dhup ke karan aap sunburn ka shikar ho jate hai. Sunburn se bachne ke liye baking soda ka istemaal bahut faydemand hota hai. Iske liye baking soda aur pani ko milakar paste bana lijiye.
  • Ab is paste ko vaha lagaiye jaha sunburn hai. Isse aapko turant aaram milega.

 

Chandi ko Chamkaye

  • Baking Soda in Hindi ke faydo ki baat kare to yeh iska bahut bada laabh hai ki, yeh pasine ke karan chandi ke gahane kale ho jate hai. unhe se saaf kar deta hai.
  • Gahno ko saaf karne ke liye backing soda ko pani me milakar ghano par ragdiye aur phir pani se dhol lijiye.
  • Bas ab se aap apne gahno ko kabhi bhi chamka sakti hai aur inhe pahan kar apni beauty me charchand laga sakti hai.

Dark Underarm se Aaram

  • Underarm me jama hua dead skin hone par kalepan ka sabse bada karan hota hai. Isko dur karne ke liye us hisse ko scrub karna chahiye.
  • Iske liye baking soda aur pani ko milakar gada paste banale. Ab is paste se underarm par scrub kijiye. Isse aapko jaldi hi result milenga.

Twacha ke Black Head Dur Kare

  • Blackheads ki problem hone par baking soda ka istemaal kijiye.
  • Isse aapka chehrea saaf ho jayga saath hi aapki skin bahut komal ho jayegi. Soda mask banakar blackheads wale isthan par lagaiye aur 15 minutes ke liye chhod dijiye. Phir 15 minutes ke baad garam pani se dho lijiye.
  • Isse aapkoi skin par mojud blackheads ke saath saath muhase ki problem bhi dur ho jaygi.

Infection Se Bachaye

  • Nakhun par me hone vale infection me bhi backing soda bahut faydemand hota hai. Nakhuno me kisi bhi tarah ka sankramnd hone par 2 chammach baking soda pani me milakar paste bna lijiye.
  • Ab is paste ko sankramnd vali jagah par lagaiye. Isse aapko bahut jaldi aaram milenag. Is prakiya ko din me 2 bar jarur kijiye.

Baking Soda Facial Scrubber

  • Aap chahe to baking soda ko seedhe chehre par bhi laga sakte hai. Jisse yeh ek facial scrubber ki tarah kaam karta hai.
  • Isse hone vale scrubber se skin pores khul jte hai.

Deodorants Bhi Hai

  • Kya aap jante hai ki yeh ek deodorants ki tarah bhi kaam karta hai.
  • Baking soda ko pani me milakar nahane se twacha me paseene ki badbu nahi aati tatha khatarnaak chemical bhi nahi bnate hai. Jisse paseene ki badbu bhi nahi aati hai.
  • 2 chammcah dahi me backing soda milakar lagane se twacha ke hone vale hanikarak skin infection se bachata hai.

Bath oil

  • Baking Soda Skin Care ki baat kare to hum bol sakte hai ki, iska use aap bath oil ke roop me bhi kar sakte hai.
  • Iske liye aap 2 chammach vitamin E oil, 4 chammach shahad, 1 chammach cream, 1 chammach namak aur 1 chammcah soda ko lijiye.
  • In sab ko acche se milakar pure sharir par acche tarike se massage kar lijiye, phir garam pani se naha lijiye.
    Isse aapki skin me nami bani rahegi tatha aap skin chmakdar ho jayegi.

Barkar Rakhe Daato ki Safedi

  • Daato ke peelepan ko dur karne ke liye aap iska istemaal kar sakte hai. Iske liye aap baking Soda me pani milakr iska paste bna lijiye.
  • Ab is paste ko apni ungli par lekar danto par halke halke haath se ragdiye.Is process ko week me ek baar kare isse aapke daanto ka fark aa jayega.

Baking Soda Toothpaste

Aaiye ap jante hai ki kese aap backing soda ka paste banakar apne daato ko aur bhi sundar bna sakte hai.
Yeh ek natural toothpaste hai. Jo ki aapko hani nahi pahuchata hai.

  • Hydrogen peroxide ki help se aap tooth paste taiyar ka sakte hai.
  • Kisi bartan me ek chammach backing soda ko ¼ pani mila le. Aap chahe to saanso ki tajgi ke liye isme peppermint bhi mila sakte hai.
  • Ab is paste me glycerine mila lijiye. Is paste ko acche se mil lijiye. Saath hi sugand ke liye isme strawberry oil ki 5 bunde bhi mil sakte hai.
  • Ab is paste ko container me se ek chote jar me dal lijiye.
  • Ise thande aur sukhe isthan par rakh dijiye. Phir brush ko is mishran me duboiye aur apne daanto par ragdiye. Brush karne ke baad muh aache tarike se dho lijiye.
  • Backing soda me sodium carbonate paya jata hai. Jisse ki danto ki puri gandgi saaf ho jati hai.
  • Iska antibacterial gun muh me peda huye bacteria ko bhi khatam kar deta hai. Kyoki raat ko peda hone vale inhi bacteria ke karna muh me badbu aati hai.

Hatho Ko Komal Banaye

Hatho ki gandagi tatha badbu ko hatane ke liye baking soda bahut faydemand hai. Iska hatho par scrub karne par hatho ki dead skin puri tarah se hat jati hai yeh natural scrub ki tarah kaam karta hai jisse hath saaf aur sundar bante hai.

  • Iska scrub banane ke liye 3 chammach baking soda le aur usme thoda sa pani dale.
  • Ab ise milakar iska paste bana le aur hatho par scurb kare.
  • Kuch der hatho par scrub karne ke bad saaf pani se hatho ko dho le.

Baalo Se Gandagi Saaf Kare

Baking soda shampoo ke sath milkar baalo par lagane se aapke sar ki saari gandagi saaf ho jati hai. Iske alawa yadi aapko rusi ki pareshani hai to baking soda ke istemal se yeh bhi samapt ho jayegi.

  • 1 chhoti chammach baking soda ko shampoo ke sath milakar baalo mai lagaye.
  • Ab baalo ko acche se rub kar le aur saaf pani se baalo ko dho le.

Upar aapne jane Benefits of Baking Soda. To bas der kis baat ki iska use karke iske bemisaal faydo ka luft uthaye.

Loading...

This website uses cookies.