Agar aap paan khane ke shokin hai to katthe ke bare mai bhi jarur jante hoge. Katthai rang ke dikhne wale iss katthe ke bina, paan kabhi swad nahi de sakta hai. Par kya aap jante hai ki paan mai lagaya jane wala kattha aushdhiya guno se bhara hota hai? To aaiye jante hai Benefits of Catechu (Kattha).
Kattha, khair vraksh ki lakdi se nikala jata hai. Ayurveda ke anusar kattha, thanda, kaduwa, tikha aur kasela hota hai. Yeh kusth rog, much rog, motapa, khansi, chhot, ghav, rakt pitt aadi ko dur karta hai.
Magar haa, katthe ka adhik sevan karne se napunsakta bhi ho sakti hai. Iske alawa katthe ke adhik sevan se kidney stone bhi banta hai. Isliye katthe ka churna 1 se 3 gm tak hi prayog kare. Ab aaiye jante hai kattha kiss tarah se roop-rang nikhar kar hume behtar swasth pradan kar sakta hai.
Benefits of Catechu: Kattha ka Sevan Swasth ke Liye Faydemand
-
Dhyan Rakhe:
Safed kattha aushdhi aur laal kattha paan mai prayog kiya jata hai. Paan mai lagaya jane wala kattha bimariyo ko dur karne ke liye prayog na kare.
-
Daanto ki Bimari:
Katthe ko manjan mai mila kar daanto aur masudo par roj subah sham malne se daant ke saare rog dur hote hai.
-
Daanto Mai Kide Dur Kare:
Katthe ko sarso ke tel mai ghol kar rozana 3 se 3 baar masude par male. Isse khoon aana tatha badbu aani dur ho jaygi.
-
Khatti Dakar:
300 se 700 mili gram kattha ka subah sham sevan karne se khatti Dakar band ho jati hai. Isse aapko bahut fayda hota hai.
-
Dust:
Katthe ko paka kar prayog karne se dust band hota hai. Saath hi iske prayog se pachan shakti bhi thik hoti hai. Iska 300 se 700 mili gram ki matra tak prayog kare.
You may also like:- Gharelu Nuskhe for Loose Motion: Dust Se Paiye Relief
-
Bavasir Dur Kare:
Safed kattha, badi supari aur nilatotha barabar matra mai le. Pehle supari aur nilatotha ko aag par bhun le aur phir isme katthe ko milakar piss kar churna bana le. Iss churna ko makkhan mai mila kar paste banaye. Iss paste ko roj subah-sham soch ke baad 8 se 10 din tak masso par lagane se masse sukh jate hai.
-
Gale ki Kharash:
300 mili gram katthe ka churna muh me rakhkar chusne se gala baithna, aawaj rukna, gale ki kharash aur chhale aadi dur ho jate hai. Iska din mai 5 se 6 baar prayog karna chahiye.
-
Khansi:
Din mai 3 baar kattha, haldi aur mishri 1-1 gram ki matra mai milakar chusne se khansi dur hoti hai.
-
Kaan Dard:
Safed Katthe ko piss kar gungune pani mai milakar kaano mai dalne se Kaan Dard dur hota hai.
-
Malaria ka Bukhar Kam Kare:
Malaria ke bukhar ke liye safed katthe ka sevan kare. Iski goli banakar aap iska sevan kare. Iski ek goli khane se aapko bukhar nahi aayega. Yeh goli baccho aur garbhvati striyo ko na de.
You may also like:- Malaria Symptoms in Hindi: Machhar se Hone Wali Bimari
-
Kusth Rog:
Katthe ke kadhe ko pani mai milakar prati din nahane se kusth rog thik hota hai.
-
Ghav Dur Kare:
Yadi aapko ghav ya pas nikal raha hai to katthe ko ghav par burakne se pas nikalna band ho jata hai tatha ghav sukhne lagta hai.
-
Youni ki Jalan aur Khujali:
5 gm ki matra mai kattha aur haldi le kar pani ke saath piss kar youni par lagaye. Isse khujali aur jalan dono thik ho jayegi.
Upar aapne jane Benefits of Catechu (Kattha). To agar aap bhi inme se kisi bhi samasya se grasit hai to aaj hi se iska sevan kare aur swasth rahe.