Benefits of Cold Showers: Thande Pani se Nahane ke Laabh

Iss chip-chipati garmi ne hum sabko behaal kar diya hai, aise me agar hum thande pani se nahate hai to hum phir se apne aapko tarotaaza mahsoos kar sakte hai. Iske liye Jaruri hai ki humare din ki shuruaat thande pani se ho, isse pure din taazgi bani rehti hai. Iske alawa isse sharirik soundarya bhi barkarar behta hai. Aaiye jante hai Benefits of Cold Showers.

Aapko yeh jankar hairani hogi ki garm pani se nahane par rakt sanchar pehle kuch uttejit hota hai kitnu baad me mand pad jata hai, lekin thande pani se nahane par rakt sanchar pehle mand padta hai aur baad me uttejit hota hai jo ki aapke sharir ke liye laabhdayak hota hai.

Yehi nahi thande pani se bath karne se aalas, thakan, dard mitata hai, neend acchi aati hai. Yeh har tarah ki jalan aur khujli khatam karta hai. Isse twacha me nikhaar aur rakt saaf hota hai. To chaliye dekhte hai ki thande-thande pani se kyu nahana chahiye.

Benefits of Cold Showers: Thande Thande Pani se Nahana Chahiye

1) Fat Burn Hota Hai

• Humare sharir me 2 tarah ke fat hota hai. 1st white fat, jo humare sharir ke liye bura hota hai aur 2nd hai brown fat, jo humare liye accha hota hai.
• White Fat vah fat hai jise hum apne bhojan me khate hai, aur yeh fat humari kamar, pith ke nichle hisse aur gardan me jama hone lagta hai. Aur jisse chhutkara pane ke liye hume efforts lagane padte hai.
• Brown Fat humare liye accha hota hai aur iska kaam hai humare sharir ko garam rakhna. Benefits of Cold Showers ko dhyan me rakhkar roz thande pani se nahana shuru kar de aur apni body ki calorie burn kare isse hum apna weight kam kar lete hai.

Benefits of Cold Showers

You may also like: Look Beautiful in Sunny Days with These excellent Summer Beauty Tips

2) Tarotaaza Rehte Hai

Athlete aksar vyayam ke baad ice Bathing lete hai, lekin aapko iski jarurat nahi hai. Aap agar vyayam karte hai to aap thande pani se naha sakte hai jisse aap apne aapko tarotaaza mahsoos karenge.

3) Mood Fresh Hota Hai

Aalas dur karne ke liye subah aap thande pani se nahaye. Kyuki jab aap thande pani se nahate hai, to halka sa shock lag sakta hai jisse aapki saans tez chalne lagti hai aur dil ki dhadkane bhi badne lagti hai. Isse aapke sharir ka blood circulation badh jata hai aur aap apne aapko tarotaaza mahsoos karne lagte hai.

4) Immunity aur Rakt Sanchar Accha Rehta Hai

Yeh to aapko pata hi hai ki thande pani se nahane se rakt sanchar accha rehta hai lekin kya aapko yeh pata hai ki thande pani aapki immunity ko bhi strong karta hai. Immunity yani pratiraksha pranali ke majboot hone se sharir me white blood cells ko badhata hai jo ki bahut si bimariyo se ladne me madad karta hai jisse aap kam bimar padte hai.

5) Baal Acche aur Twacha Chamakdar Hoti Hai

Agar aap muhase se pareshan hai to thande pani se nahaiye. Garam pani aapki twacha rookhi aur bejaan kar deta hai jisse twacha me gandagi jama hone lagti hai. Thanda pani aapki twacha ko chamakdar banata hai. Yehi nahi thande pani se sar dhone se baalo me jami gandagi saaf hoti hai aur baal bhi aakarshak lagne lagte hai.

Upar aapne jane Benefits of Cold Showers. To iss garmi season lijiye cold water bath aur rahiye swasth.

See more details of Cold Showers from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...