Log Curd ka use pichle 4500 saalo se kar rahe hai. Aaj iska sevan duniya bhar me kiya jata hai. Yah swasthvardhak poshak aahar hai. Yeh Protein, calcium, riboflavin, Vitamin B6 and Vitamin B12 se bharpur hota hai.
Lekin curd na keval swasth ke liye balki aapke khubsoorti ko nikharne me bhi help karta hai. Iska use skin par karne se aapki skin chamkdar ho jati hai. Aapki skin par upasthit pimple, tanning, black head sab khatam ho jate hai.
Saath hi Dahi aapke balao ke liye bhi bahut faydemand hota hai. Aaj kal mahnge-mahnge product ka use karte hai, lekin in natural product ka use nahi karte kyoki hume iske benefits ke bare me sahi jankari nahi hoti hai. To sabse pahle hum Benefits of Curd on Hair ke bare me baat karte hai.
Curd Benefits on Hair: Dahi ke Fayde Aapke Baalo ke Liye
• Dandruff ko kam karta hai.
• Scalp par iching ko kam karata hai.
• Do muhe baalo ko kam karta hai .
• Hair fall ko kam karta hai.
• Dahi ek natural conditioner.
• Kisi bhi type scalp ke infection khatam karta hai.
Agar aap baalo ki problem se pareshan hai to chaliye aaj hum aapko batate hai, Curd Pack for Hair. Isse use karke aap baalo ki probelm se bach sakte hai.
You may also like: Curd Face Pack se Chehra Banae Chamakdar aur Swastha
Curd Pack for Hair: Dahi ko Baalo me Use Karne Ke Tarika
Dahi aur Nimbu
• Curd ko fait kar usme 2 bade nimbu milakar fack pack taiyar kar lijiye.
• Iss mishran ko baalo me 10 minutes ke liye laga rahne dijiye. Phir halke gungune pani se aapke baalo ko dho lijiye. Isse sari rusi gayab ho jaygi.
Dahi aur Pyaaj ka Ras
Pyaaj ko kat kar uska ras nikal lijiye phir isme dahi mila lijiye. Ab is pack ko sar me lagaiye aur 15 minutes ke baad kisi bhi shampoo se sar dho lijiye. Isse aapke baalo me jo infection hoga vo dur ho jayga.
Dahi aur Methi Dane Ki Patti
• Methi ki pattiyo ko piskar usme dahi mila lijiye.
• Phir is dahi ko 15 minutes ke liye apne sar me laga kar chhod dijiye. Phir kisi acche se shampoo se apne baalo ko dho lijiye.
Dahi aur Heena
• Dahi se baalo me conditioner hoti hai. Dahi ke saath bhigoi hui heena ki paatiya milaiye phir isse apne baalo me lagaiye, isse aapke baalo me rang chadega aur aapke baal mulayam ho jayge.
• Lekin dhyan rahe ki baalo me jayada der ke liye dahi nahi rakhana chahiye. Nahi to aapko sardi- jukham bhi ho sakte hai.
Upar apne jane Benefits of Curd on Hair. To bas agar aap bhi baalo ki problem se grasit hai to aaj se hi dahi ka use apne baalo me start kar do.
Get more details about Curd Pack for Hair from Beauty tips in Hindi.