Yoga Divas 2015: Acchi Sehat ke Liye Vyayam ke Fayde

Vishva Yoga Divas (International Yoga Day) 21 June, 2015 ko manaya jayege. Yoga ek prachin kala hai jisme sharir, mann aur aatma ko ek saath lane ka kaam hota hai. Yoga ko na kewal bade hi balki bacche aur budhe bhi badi aasani se kar sakte hai. Aaiye jante hai Benefits of Yoga in Hindi.

Aaj yoga ko kisi parichay ki jarurat nahi hai. Yeh pure vishva mai fail chukka hai aur log ise badi tezi ki sankhya mai apna rahe hai. Yoga hazaro saal se bhartiyo ki jivan shaily ka hissa raha hai.

Lekin iss baar Antarashtriya Yoga Divas 2015 ke avasar par hum aapko kuch aise asano aur mudrayo ke bare mai jankari denge, jisko kar ke aap humesha swasth bane rahege.

Yogasana ka sabse bada gun yeh hai ki wah sahaj sadhya aur sarvasulabh hai. Yogasana aisi vayayam paddhati hai jisme na to kuch vishesh vyay hota hai aur na itni sadhya-samagri ki avashyakta hoti hai.

Benefits of Yoga

Benefits of Yoga in Hindi: Sehat ke Liye Behatrin Yogasana

Yoga ek aisi prakriya hai jo aapko swasth aur nirog rakhne mai puri tarah se madad karti hai. Niyamit Yoga karne se kai prakar ki bimariya nahi hoti hai aur sharir nirog rehta hai. Saath hi yeh aapko sharirik aur mansik tour par prakriti ke saath santulan baithakar swasth rehne mai madad karta hai.

Aaiye jante hai kuch Yoga Asana jisse aap motapa, kamar dard aur hazar prakar ki bimariyo ka naash kar sakte hai.

  • Dimag Badane ke Liye Kare Vikrasana:

Iss Asana ko karne ke liye apna seedha pair utha kar dusre pair ki jangh par tikaye. Apne haato ko upar ki aur rakeh aur aanke band kar le.

  • Mayurasana:

Iss asana ko karne se sharir ke vibhinn aantrik ango par asar padta hai. Isse pachan prakriya aur khoon ka doura thik rehta hai.

  • Immunity Badaye Yeh Asana:

Din mai aap ise kisi bhi samay kar sakte hai. Yeh aankho ki roshni badata hai aur thakan ko mitata hai. Yeh aapke sharir ki immunity ko badata hai.

  • Surya Namaskar Banaye Aapke Swasth:

Iss yoga mai 12 asana hote hai, jise kar lene se pure sharir ka vayayam ho jata hai. Isse sharir ke rog mitate hai aur sharir mai lachilapan aata hai.

You may also like:- Surya Namaskar Benefits in Hindi: Janiye Iske Fayde aur Steps

  • Baal Badane ke Liye Vajrasana:

Agar aap baal na badne ya jhadne ki wajah se pareshan hai to aap iss yoga asana ko kar sakti hai. Vajrasana ko karne se aapke bal badi tezi ke saath badte hai.

  • Gas ke Liye Pawanmuktasana:

Yoga Benefits mai gas ki samasya ka hal aapko bahut hi acchi tarike se mil sakta hai. Gas ki samasya hone par aap iss asana ko kare. Isse aapko turant bhi laabh milega. Rozana aisa niyamit karne se pet mai gas ka naamo nishaan nahi rahega.

Benefits of Yoga in Hindi

  • Tanav Dur Bhagane ke Liye kare Balasana:

Yeh asana aapke dimaag ko andar se shant karne ki shakti rakhta hai. Iss pose ko karne se sharir ko bhi kafi aaram milta hai.

  • Sudol Hips ke Liye Dancing Shiva Asana:

Yeh pose aapke bade huye hips ko kam karne ke liye hai. Ise karne ke liye aapko apne sharir ko ek pair bar balance karna hoga. Iss pose ko ek pair par 60 second ke liye kare.

  • Acchi Neend ke Liye Halasana:

Yeh pose aapki ridh aur pairo ki mashpeshiyo ko relax karta hai. Ise raat ko sone se pahale rozana kare. Isko karne se aapko kafi had tak aaram milega.

  • Pet ki Gadbadi Thik Kare Matsyasana:

Iss asana ka matlab hai machli, iss pose ko karne se sharir ka aakar machli ki tarah ban jata hai. Yeh asana ek baar mai 5 minutes tak kiya ja sakta hai.

  • Back Pain ke Liye Cow Pose:

Back Pain ko dur karne ka isse accha asana ho hi nahi sakta hai. Apne sharir ko dono haato aur ghutno par tika kar muh samne ki aur rakhe. Iss tarah se aapka pose ek gay ki bhaati ban jayega. Ab apni pith ko upar aur niche kai baar kare.

  • Motapa Kam Karne ke Liye Kundalini:

Kya aap apne sharir ka motapa kam karna chahte hai. Agar haa to aaj se hi iss asana ko kare aur aapke pet ke motape ko kam kare.

  • Sudol Breast ke Liye Kare Sirsasana:

Iss pose ko karne ke liye aapko ndusre insaan ka sahara chahiye. Isko karne ke liye sar ke niche aur pair uppar hona chahiye. Isse aapke breast sahi posture mai jayege.

  • Pregnancy Weight Loss ke Liye Marichyasana:

Agar aapka pet aage ki aur nikal aaya hai to aapko yeh asana bahut laabh pahuchayega. Iss position ko 30 second ke liye hold rakhne ke baad apni mudra badle.

  • Sar Dard ke Liye Prasarita Padottanasana:

Ise karne ke liye sharir ke upari bhaag ko puri tarah se niche kar lena chahiye. Isse sharir ka blood circulation acchi tarah se ho jata hai aur sar dard gayab ho jata hai.

  • Garbhavastha ke Douran Kiya Jane Wala Ujjayi Pranayama:

Garbhavastha ka dusra aur tisra mahina aaram karne ke liye hota hai. Isliye iss douran jitna ho sake sharir mai utni urja bhar leni chahiye.

Dekhiye Ye Video Aur Kijiye Inn Yoga ko Apni Daily Life Mai

Upar aapne jane Benefits of Yoga in Hindi. To agar aap upar di gayi koi bhi bimari se grasit hai to inn asana ko apnaiye aur swath rahiye. Yeh aapke sharir ke liye bahut hi faydemand sabit hogi.

Get more updates about Yogasana from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...