Gram Flour for Skin: Besan se Chamkaiye Twacha

Besan har ghar me use kiya jane vala aata hai, jo khane ke bhi kaam aata hai aur soundarya nikharne ke bhi kaam aata hai. Purane jamane me mahilaye ise apne chehre aur baalo par lagati thi.

Agar chehre par muhase hai aur skin dry ya oily hai. To bhi besan ka upyog kar sakte hai. Lekin bahut se log mahnge-mahnge product ka hi use karte hai. Kyoki ve log besan ke faydo ke bare me nahi jante hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Gram Flour for Skin. Jisse aap apni beauty ko aasani se nikhar sakte hai.

Besan for Skin: Gram Flour Face Pack ke Dwara Nikhare Apni Skin

Face Pack

• Agar aapki skin oily hai to aap dahi ya rose water ka paste laga sakti hai.
• Isse twacha se sari gandagi saaf ho jaygi aur vah komal ho jaygi. Agar skin dry hai to besan face pack aapki skin ko nami pradaan karta hai.
• Besan, shahad, ek chutki haldi aur thoda sa dudh milakar paste face mask banaiye phir is mask ko chehre par 20 minutes tak laga rahne de aur thodi der baad face wash kar lijiye.

You may also like: Salt Scrub Benefits: Nikhariye Apni Twacha Namak Se

Skin Tanning Remover

• Is face pack ko banane ke liye badam powder, ek chammch dudh, nimbu ras aur Gram Flour milaiye aur chehre par 30 minutes ke lagaiye. Aur baad me chehre ko dho lijiye.
• Yeh bahut accha natural skin tanning remover hai.

Muhase se Chutkara

Gram Flour for Skin ki baat kare to besan ka skin ke liye sabsa accha fayda hai ki, yeh aapki skin se muhase hatata hai.
• Agar aapki twacha par pimple bahut jyada hai, to chinta mat kijiye. Besan ke saath chandan powder, haldi aur dudh milakar chehre par lagaiye. Tatha 20 minutes ke baad apne chehre ko dho lijiye.
• Isse week me 3 bar jarur lagaiye aur muhase se aasani se chutkara paaiye.

Dark Underarm aur Kali Gardan ke Liye

• Kai mahilao apni underarm aur gardan ko saaf karne par dhyan nahi deti hai. Lekin use saaf aur gora rakhne ke liye besan, dahi aur haldi saath me milkar us jagah par lagaiye jaha kalapan hai. Iss pack ko 30 minutes tak laga rahne ke baad dho lijiye.
• Is prayog ko week me kam se kam 3 baar jarur kijiye.

Kharab Baalo ke Liye

• Besan baalo ke liye bhi accha hota hai. Besan aur dahi milakar baalo me lagaiye tatha chamakdar aur majboot baal paiye.
• Isse aapke baalo ki dandruff bhi chali jaygi.

Skin Cleaning ke Liye

• Twacha saaf rakhne ke liye tatha skin polls ko tight karne ke liye bhi besan faydemand hota hai.
• Besan ko khire ke ras ke saath milakar face pack banaiye aur phir is mask ko apni skin par apply kijiye. Isse aapki skin saaf ho jaygi.

Gori Twacha ke Liye

• Besan, haldi, dudh tatha kesar mila kar face pack banaiye. Phir is mask ko 20 minutes ke liye apne face par lagaiye. Phir sade pani se apne chehre ko dho lijiye.
• Is face pack ko kam se kam week me 2 baar jarur lagaiye. Isse aapki skin gori ho jaygi.

Upar aapne Besan for Skin ke bare me jankari hasil ki hai. To bas in face pack ko laga kar aap apni skin ko sundar aur chamkdar baniye.

Get more details about Gram Flour for Skin from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

This website uses cookies.