Acchi neend pane ke liye aap kuch nahi karte lekin phir bhi aap raat ko befikra hokar nahi so pate hai. Iska mukhya karan sirf tanav hi nahi balki bharpur bhojan na mil pana bhi hai. Raat ko sone se pehle aise aahar ka sevan kare jisse aapki neend acchi ho jaye aur sharir ka metabolism bhi bana rahe.
Kai logo ne ab tak aapko raat ko kam khane ki hidayar di hogi. Lekin kya kabhi aapne iske iche ke karano ko janane ki koshish ki hai? Haal hi mai huye ek shodh se yeh baat samne huyi hai ki aap kab, kya aur kitni matra mai khate hai iska sidha asar swasth par padta hai. Kewal healthy khana jaruri nahi hai. Khane ki matra par bh kafi much nirbhar karta hai.
You may also like:- Daily Essential Nutrients, Jaruri Poshak Tatvo ke Laabh
Behtar Swasth ke Liye Raat ko Sone se Pehle Le Halka Fulka Aahar
Pachan Kriya Par Padta Hai Asar:-
Raat ko jyada kha lene se pachan kriya par asar padta hai. Raat ko sahi se neend bhi nahi aati aur khana nahi pachne ke karan subah pet sahi se halka bhi nahi ho pata hai. Isliye raat ko sambhalkar khaye.
Vajan Badhna:-
Raat ko jyada khana khane se vajan badhta hai. Kyuki raat ka khana khane ke baad amuman log turant hi sone chale jate hai jisse pachan kriya ke souran burn huyi calorie aur fat charbi ke roop mai sharir mai jama hone lagti hai.
Blood Sugar Rehta Hai Niyantrit:-
Raat ko halka khana khane se blood sugar control rehta hai. Koshish kare ki raat ka khana thodi jaldi khaye aur khane ke ek-do ghante baad hi soye.
Gas aur Kabj ki Samasya:-
Raat ko oily aur masaledar khana khane se khana acche se nahi pachta hai. Jisse gas aur kabj ki samasya hoti hai. Inn sakre pareshaniyo se bachne ke liye raat ko halka khane ki hidayat di jati hai.
You may also like:- Tips for Good Sleep in Hindi: Acchi Neend Aane ke Tarike
Acchi Neend aur Metabolism Badhane ke Khaye Yeh Aahar
Vitamin ka Sevan Kare:-
Ek report ke anusar kai baar vibhinn tarah ke vitamin aur khanij tatvo ki sharir mai kami ke karan bhi raat mai aankho mai neend koso dur hoti hai aur log bistar par bas karwate badalte reh jate hai.
Magnesium:-
Magnesium bhi sharir ki aisi avashyakta mai se ek hai jo neend ke liye jaruri hai. Iski kami se logo ko aksar aneendra ki shikayat hoti hai. Varsh 2006 ke ek adhyayan ke mutabit, iski kami se logo mai tanav paida ho sakta hai aur yeh mansik swasth ke liye samasya ban sakti hai. Hari sabjiya, louki, til tatha beans magnesium se bharpur khadya padarth hai.
Potassium:-
Sharir mai potassium ki kami bhi aneendra ki wajah se ho sakti hai. Varsh 1991 ke ek adhyayan ke mutabit, iski kami dur karne ke liye purak aahar liye ja sakte hai aur isse neeend na aane ki samasya kafi had tak dur ja sakti hai. Khaanpaan mai beans, hari sabjiyo tatha pake huye aalu ko shamil karke bhi iski kami kafi had tak dur ki ja sakti hai.
Vitamin D:-
Acchi neend ke liye sharir mai Vitamin D ka bhi bharpur matra mai hona avshayak hai. Ek adhyayan ke mutabit din ke samay humesha unindapan sharir mai vitamin d ki kami ke karan ho sakta hai. Surya ki roshani iss vitamin ka ek pramukh source hai.
Oats:-
American General of Clinical Nutrition ke anusar raat mai oats khane se bhi neend acchi aati hai aur junkfood khane ki iccha kam hoti hai. Oats mai calorie kam hoti hai aur carbohydrate aur tyrphton adhik hota hai jo neend aane mai madad karta hai.
Herbal Tea:-
Acchi neend ke liye herbs ka sevan bhi aaapke behad kaam aa sakta hai. Herbs system ko relax karne ke saath hi stress dur kar deti hai. Inme lavender, chamomile aur rosemerry aapke liye accha option rehege. Agar raat ko sone se pehle aapko chai pine ki aadati hai, to herbal tea bhi try kar sakte hai.
Upar aapne jane raat ko halka fulka khana khana chahiye aur swasth aahar khana chahiye. To aaj hi se raat ko aisa bhojan kare jisse aap swasth rahege.