Janiye Apne Skin Ke Anurup Best Foundation in Hindi

Khubsurat dikhna har ek aurat ki chah hoti hai. Aur jab hum khubsurti ki baat karte to sabse pehle shruat face yane ki chehre se hoti hai. Agar chehre ka rang gora aur saaf ho to khubsurti mai char chand lag jate hai. Lekin aksar samay ki kami ke chalte aap apni twacha ki dekhbal thik dhang se nahi kar pate. Aise mai dark circles aur acne jaise samasya hona aam baat hai.

Lekin iske bawjud bhi acche makeup se chehre ki khubsurti ko badhaya ja sakta hai. Aur Foundation aapke chehre ko khubsurat dikhane mai madad kar sakta hai. Lekin mahilao ko yeh galat fehmi rehti hai ki koi bhi foundation lagakar wo khubsurat dikhane lagengi. Lekin aisa nahi hai, cosmetic ka chunav chehre ke rang aur aakar ke according karna hota hai, Tabhi wo aapko khubsurat dikhne mai madad kar sakta hai. Iss articles mai hum aapko Best Foundation in Hindi yani sahi foundation apke chere ke anusar chunne ke liye sujhav denge, taki aap apni skin ke annusar iska istemal kar paye.

Janiye Aapke Liye Konsa Foundation Hai Sahi

Shushk Twacha (Dry Skin): Dry skin yane ki rukhi twacha ke liye liquid foundation ka istemal karna chahiye. kyoki liquid form mai hone ke karan ye aasani se lag jata hai. Iske alawa dry skin yani ki shushk twacha par foundation lagane se pehle chehre par moisturization lagana na bhule.

Teliy Twacha (Oily Skin): Oily Skin yane ki teliya twacha wali mahilao ko hamesha yahi sikayat rehti hai ki wo apni twacha ki rangat ko nahi nikhar pati. Aur kabhi kabhi wo issi wajah se heen bhavna ka shikar bhi ho jati hai. Lekin oily skin wali aurte bhi khubsurat lag sakti hai. Aisi twacha wali mahilao ko ‘Powder Foundation’ ka istemal karna chahiye.

Shushk + Teliy Twacha (Combined Skin): Combined Skin yane ki aisi twacha jo ki na bahut jyada oily hoti hai, aur na hi dry. Aur iss tarah ke skin wali mahilao ko apne foundation ka chunav bahut satarkta se karna chahiye. Galat chunav se chehra ya to kala dikhega ya to bhura. Iss tarah ke twacha wali mahilao ko aisa foundation choose karna chahiye jisme 50% tak ka pani (water content) ki matra ho.

Base Makeup Se Badaye Doguni Khubsurti

Foundation aapke twacha ko khubsurat dikhata hai, isme to koi shak nahi hai, lekin aur bhi aisi chize hai jis par thoda sa dhyan dekar aap aur bhi khubsurat lag sakti hai. To aapko jyada kuch nahi karna hai, bus base ka color aapke skin ke according choose karna hai.

  • Twacha bejan hai to natural glow wala foundation lagaye.
  • Pili rangat wali skin ho to orange tint wala foundation chunna behatar hoga.
  • Agar aapka tone dark hai to halka base ka istemal na kare.
  • Gori twacha hai to chamkile aur halke shades ka istemal kar sakte hai.

Aapne yeh to dekh liya ki kis tarah ki twacha par kis tarah ka foundation lagana chahiye. Lekin agar aapka makeup lagane ka tarika galat hai to sahi tarah ke cosmetics ka chunav karne ke baad bhi aap acchi nahi dikhengi. Ab woh jamana gaya jab foundation se pute chehre najar aate the. Ab foundation ke jariye bhi natural look diya jata hai.

You may also like:- Eye Makeup Tips in Hindi: Aankho ko Sundar Banane ke Tarike

Yaha dekhiye aisi kuch Best Foundation in Hindi tips jisse aap foundation lagane ke tarike se parichit ho jayengi.

  • Foundation lagane se pehle apne haath aur chehre ko acchi tarah dho le. Agar aapki twacha oily ho to neem ke guno aur salicylic acid se bane facewash ka istemal kare. Aisa karne se twacha rukhi huye bina hi saaf ho jati hai.
  • Ungaliyo ke madad se foundation na lagaye. Foundation lagane ke liye brush ka istemal kare. Yeh aapki twacha ko kitanu mukt rakhne mai madad karega.
  • Foundation lagane se pehle sunscreen ya primer ka istemal jarur kare. Aisa karne se foundation der tak chehre par tika rehta hai. Primer chehre ko chemical ke sampark mai aane se bhi bachata hai. Jisse ki aapka chehra swasth aur glowing lagta hai.
  • Agar aapko lagta hai ki sunscreen lagane se aapke chehra teliy najar aa raha hai. To chehre ko wet tissue se saaf kare. Aapko yeh halke haatho se karna hoga, agar aap chehre ko ragdengi to aapka base puri tarah se chehre se utar jayega aur aapko dubara puri tarah mehnat karni padegi. Aapko keval sokhne ke andaj mai hi tissue papar ko chehre par rakhna hai.
  • Chehre ke kale dhabbo ko chipane ke liye consiler ka isstemal kar sakte he, lekin yaad rahe, isse sirf prabhavit areas par hi lagaye.
  • Foundation ko hamesha dot process mai lagaye. Aapko gal, mathe aur thodi par foundation ke dots lagana hai, uske baad brush ke sahayata se isse pure chehre par eksar failana hai. Aapko iss baat ka khayal rakhna hai ki aapko chehre ko foundation se dhakna nahi hai, balki iski madad se chehre ko nikharna hai.
  • Foundation lagane ke baad apne face ko halke powder se set kare. Aisa karne se chehre ko natural look milega. Pure chehre par powder lagane ki jarurat nahi hai.

Khayal Rakhe:

Aap foundation lagane ke liye jis bhi spung ya brush ka istemal kar rahi ho wo sahise dhula huwa ho, aur foundation hamesha twacha se match karta ho.

Loading...

This website uses cookies.