Jane Bladder Mai Sankraman Hone ki Samasya Ko

Mahilao ko hone wali kai pramukh bimariyo mai se ek bimari hai bladder infection. Bladder infection ke kai karan ho sakte hai, kai baar yeh mutrashay mai pathri ke karan ho jata hai to kai baar bladder infection hone se kidney sambandhi bimariya bhi ho sakti hai.

Bladder infection yani mutrashay sankraman hona. Bladder infection ko gambhirta se le anyatha yeh sankraman cancer ka roop bhi dharan kar sakta hai. Mutrashay cancer kai baar chronic bimariyo ka karan bhi banta hai. To aaiye jante hai Bladder Infection ki samasya ke nare mai puri jankari.

You may also like:- Gallstones: Janiye Pathri Hone Ke Causes Aur Uske Treatment

Bladder Infection ki Puri Jankari

Bladder Infection

  1. Bladder cancer ke kai karan hai, prostate granthi ka badhna, mutramarg mai sankuchan hona, garbh ke samay aane wali samasya, mutrashay mai pathri ka hona, garbhpaat hona, kisi bimari ke karan ityadi bladder infection ke jimmedar hai.
  2. Bladder cancer ke lakshano mai peshab ke douran jalan hona, peshab karne mai dikkat hona, khulkar peshab na aana, baar-baar dard ka badh jana, raktsrav hona ityadi hai.
  3. Bladder infection ke nidaan ke liye peshab ki janch se pata lagaya ja sakta hai.
  4. Bladder sankraman mai paye gaye bacteria aur sankraman failne ke karano ko dhyan rakhkar hi iska treatment kiya jata hai.
  5. Yadi bladder mai infection ho jaye to uss halat mai pani adhik matra mai pina pad sakta hai, kyuki aise mai pani ki kami hone ki ashanka bani rehti hai.
  6. Agar urine mai blood aa raha hai, to ho sakta hai ki aapko bladder ki samasya ho. Ise gambhirta se le aur jald hi kisi doctor ko dikhaye.

Sabse Mukhya Karan- Peshab Rokna

Jor se peshab lagne par use kabhi nahi roke. Jab bhi urine mahsoos ho to turant jaye warna UTI hone ka khatra badh jayega. Urine rokne ke karan yeh sankraman failta hai. Urinary Tract Infection yani muta marg mai sankraman mahilao ko hone wali bimari hai, use UTI naam se bhi jana jata hai. Muta marg sankraman jivanu janya sankraman hai jisse mutra marg ka koi bhi bhaag prabhavit ho sakta hai.

Halaki mutra mai tarah-tarah ke dravya hote hai kintu isme jivanu nahi hote hai. UTI se grasit hone par mutra mai jivanu bhi moujud hote hai. Jab bhi mutrashay ya gurde mai jivanu pravesh kar jate hai aur badhne lagte hai to yeh stithi aati hai.

Bladder Syndrome

Urine ko baar-baar rokne ki aadat mai shumar karne par dardnak bladder syndrome hai, jiske karan urine bhandar yani blader mai sujan aur dard ho sakta hai. Intestinal Enteritis se grasit logo mai anya logo ki tulna mai urine baar-baar lekin kam matra mai aata hai. Abhi tak iske sahi karano ki jankari nahi mil payi hai lekin doctor ka manana hai ki yeh jivanu sankraman ke karan hota hai. Iss sankraman ke baad hi bladder cancer ki samasya paida hoti hai.

Upar aapne jane Bladder Infection ke bare mai kuch jaruri jankari jiski wajah se aapko kuch pareshani mai ghir sakte hai. To aaj hi se inko jante huye apne infection ko kam kare aur swasth rahe.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...