Bleeding during Pregnancy: Garbhavastha ki Mukhya Pareshani

Pregnancy ke douran aakhri samay mai bleeding ki samasya hone par use bilkul bhi ignore na kare. Iss samay mai halki bleeding hona samanya hai.  10 mai se 1 mahila ko aisi dikkat hoti hai, jab wah pure 9 mahine ki garbhavastha mai hoti hai. Agar bleeding hoti hai to uska matlab yeh nahi ki miscarriage yani garbh paat ho gaya. Janiye Bleeding during Pregnancy se jude kuch jaruri baate.

Kisi bhi prakar ki asamanya ghatna hone par apne doctor se sampark kare. Isme dar jesi koi baat nahi hoti hai lekin phir bhi jaruri hota hai ki aap apne aur apne bacche ka parikshan karwa le. Agar aapki youni se pani ya chipchipa padarth jesa kuch nikal raha hai, to uski janch jarur karwaye. Kai baar aisa discharge mare huye prasav ka karan ban jata hai ya bacche ki jaan ka khatra ho jata hai.

Pregnancy ke douran normal mucus lubrication bad jata hai kyuki us douran sharir mai blood ka flow jyada hota hai. Lekin agar badbudar, pareshan karne wala aur profuse discharge nikalta hai to uska test karne ke jarurat hai.

Agar aapko garbhavastha ke douran khoon aata hai to parershan na ho, shant rahe. Dhyan de ki kya apako jyada dard hai ya phir blood jyada nikal raha hai. Iss baat ko apne doctor ko sahi-sahi bataye, jisse wah aapko sahi ray aur upchar de sake.

Bleeding during Pregnancy

Bleeding during Pregnancy Symptoms: Iske Lakshan ko Pahchaniye

Youni se nikalne wala khoon ya discharge ka rang aur mahak par dhyan jarur dena chahiye, saath wah kitni tezi se bahta hai, gaadha hai ya patla aadi ko dhyan mai rakhna chahiye. Iske lakshan kuch iss prakar hai:

  • Halke gulabi/laal ya bhure rang ka discharge
  • Periods ki tarah dard hona
  • Pet mai tez dard hona
  • Tezi se gaadhe laal rang ka khoon nikalna
  • Khoon ke gaadhe thakke nikalna
  • Anya dino se jyada dard ya khoon bahna

Bleeding during Pregnancy Cause: Janiye Iske Piche ka Karan

Sabse pahale to yeh janana bahut jaruri hai ki Pregnancy ke douran bleeding ek samanya baat hai. Doctors ke anusar pregnancy ki pehli timahi mai 40% mahilao mai hoti hai. Lekin iss blood ka rang, gadhapan aur iski matra se pata chalta hai ki samasya kitni gambhir hai.

Pregnancy Tips in Hindi: Banaye Maa aur Bacche ko Swasth

Aaiye jante hai Bleeding during Pregnancy ke piche chupe kuch karan aur karte hai iss samasya ko dur.

  • Implantation Bleeding:

    Yeh bhi samanya hai jab nisechit anda garbhashay kiparat se lagta hai to yeh aksar hoti hai. Yeh bleeding khaas tour par garbhdharan ke 10 se 14 din ke baad hoti hai.

  • Samay se Pahale Prasav:

    Isse pre term labour bhi kahte hai. Yeh body baccha jaldi hone ka sanket deti hai. Ye delivery se 3 weeks pehle hoti hai.

  • Sankraman:

    Garbhashay aur vagina par infection STD ke karan hoti hai. Gonorrhea (Sujak) aur herps jesi samasyaye delivery ke samay bacche mai hoti hai. Dhyan rahe ki aapke doctor ko iss istithi ka pata rahe taaki failav ko roka ja sake.

  • Cervical Polyps:

    Aamtour par pelvic janch ke douran iska pata chalta hai. Estrogen level mai vraddhi, sujan garbhashay nalikha mai band rakt vahiniyo ki adhikta ke karan hota hai. Polips bacche ke liye khatarnak nahi hai. Ek samanya ilaj se yeh thik ho jata hai. Isse shuruaat mai bleeding ho sakti hai lekin jyada reh to pehli timahi baad garbhpaat bhi ho sakta hai.

  • Garbh Paat:

    Iska sabse mukhya karan pahali timahi mai gun sutro ka asantulan hai. Iske alawa anuvanshik asamanyataye, sankaram, dawa ka reaction, hormonal prabhav aur sanrachnatmak aur rog pratirodhak asamanyataye aadi bhi iska karan bante hai. Ise rokne ke tarike ya purvanuman lagana sambhav nahi hai lekin bleeding ke samay bed rest aur sambhog na karne ki salah di jati hai. Iske alawa blood kesa nikal raha hai, iss baat par dhyan de. Tez dard, kamjori, bukhar, chakkar aana aadi bhi iske lakshan hai.

Miscarriage Symptoms: Janiye Garbh Paat Ke Lakshan

  • Placenta Previa:

    3rd month mai bleeding ka yeh mukhya karan hai. Yeh samasya tab hoti hai jab placenta garbhashay ke nichli hisse mai badti hai aur cervical canal ko cover kar leti hai. Iss samay par mahila ko bed rest karne, sambhog na karne aur bhari kaam na karne ki salah di jati hai. Yadi yeh samasya pregnancy se pahale thik nahi hoti hai to phir operation hi karna hota hai.

  • Placental Abruption:

    1% pregnancy ke mamalo mai placenta garbhashay ki deewar se alag ho jati hai aur placenta aur garbhashay ke bich blood ikkatha ho jata hai. Iss par jaldi dhyan dena jaruri hai nahi to oxygen aur blood nahi milne ke karan bacche ki akal mratyu bhi ho sakti hai. Isse maa ka khoon bahane ka bhi darr rehta hai.

Bleeding during Pregnancy in Hindi

  • Garbhashay ko Nuksaan Hona:

    Yadi pehle ke kisi operation ke karan mashpeshiya kamjor hoti ahi to pregnancy ke douran baccha maa ke pet mai chala jata hai jo ki bahut khatarnak situation hoti hai. Aise halat mai maa aur bacche ko bachane ke liye haato haath operation karna padta hai.

  • Ectopic Pregnancy:

    Iss stithi mai garbhashay ke bahar fallopian tube mai ek aparipakwa bhruna paida hota hai. Yadi yeh lagatar badta rahe to yeh tube fat bhi sakti hai. Maa ke liye yeh stithi bahut khatarnak hoti hai.

  • Molar Pregnancy:

    Yeh ek durlabh stithi hai. Isme nischit anda bacche ki bajay ek til ye masse ke roop mai develop hota hai. Yeh jiv ko paida karne wali pregnancy nahi hone ke bavjud bhi isme pregnancy jese lakshan dikhai dete hai.

  • Vasa Previa:

    Yeh ek durlabh stithi hai. Isme badte huye bacche ki nabhi naal ya placenta ki rudhir wahiniya birth canal ko cross kar jati hai. Yeh khatarnak stithi hai kyuki yeh badi huyi rudhir wahiniya bacche mai bleeding ka karan ban sakti hai aur oxygen supply ko bhi rok sakti hai. Placenta Previa ki tarah isme bhi operation hi karna padta hai.

Upar aapne jane Bleeding during Pregnancy ke bare mai kuch jaruti tathya. To agar aap bhi aisi hi koi pareshani se grasit hai to aaj hi apne doctor se sampark kare aur apne hone wala bacche ka khayal rakhe.

Pregnancy Bleeding se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...