Jaanleva Bimari hai Blood Poisoning, Janiye Iske Baare Mai

Blood Poisoning ke bare me sunane par aapke jahan me blood me jahar aane ki kalpana ghumne lagti hai. Lekin vastavikta me iska jahar ke saath kuch lena dena nahi hota hai. Yeh ek khatarnak avastha hai jo tatkal upchar se bachne ki kunji hai, isliye ise puri tarah se samjhna bahuty mahatvapurna hai.

Blood Poisoning bacteria ke karan hone wala sankraman hai jo ek ghatak stithi hai. Bahut saare marij iss avastha ke nidaan me vifal rehte hai aur bahut lambe samay tak ise nazarandaaz karne ke karan yeh samasya jaanleva bhi ho sakti hai. Isliye iss samasya ke bare me pata hona Jaruri hai taki aap bimari ke bare me apne doctor ko sahi samay par sachet kar sake.

Jaanleva Sankraman Hai Blood Poisoning

Blood Poisoning ko samanyatah septicemia ya sepsis ke roop me bhi jana jata hai, aur yeh jaanleva sankraman khoon me bacteria ki upastithi ke karan hota hai. Bacteria ke khoon me pravesh karne par yeh sharir ke kisi bhi bhaag me sankraman paida kar blood poisoning ka karan ban sakta hai. Iss sankraman me vyakti ke rakt me white blood cell ki sankhya bahut adhik ho jati hai.

Blood Poisoning

Blood Poisoning Causes

Sepsis, virus, fungus, bacteria aur parjivi jese sankramak agento ke madhyam se hota hai. Sepsis paida karne wale sabse aam vyapak roopo me aamtor par pet, faifde ya mutra marg me moujud sankraman, schedule 4 (IV) drugs upyogkarta dwara dushit ki gayi sui ya series aur cancer ya madhumeh jese sankramak rogo se blood poisoning ka khatra bad sakta hai.

Blood poisoning se sankramit hone ka khatra inn karako ke karan jyada bad jata hai

• Chemotherapy ya cancer ke karan kamjor pratiraksha pranali.
• Madhumeh ke karan pratiraksha me kami.
• Bujurg logo me kamjor pratiraksha pranali ke karan
• Akramak device ke saath chikitsa upchar.
• Rahane ki aswasthkar stithi.

You may also like:- Home Remedies for Warts, Iss Skin Problem ke Liye Upay

Blood Poisoning (Sepsis) Symptoms

• Rogi ka raktchap tezi se ghatna-badna.
• Heart ki gati bad jana.
• Raktsrav hona.
• Anya kai mahatvapurna ango ka apna kaam band karna.
• Bukhar aana.
• Mansik gadbadi hona.
• Diarrhea, michli, ulti aur chakkar aana.
• Twacha ka pila ya chipchipa hona.
• Septicemia ke advance lakshan me chakkte ya sire sharir me gahare dhabbe shamil hona.
• Gambhir sepsis se pidit kuch rogiyo ko peshab ki kami ka anubhav bhi ho sakta hai.

Blood Poisoning Treatment

Blood Poisoning ka atma nidaan mushkil hota hai. Agar aapko sepsis hai to isko nirdhrit karne ka sabse accha tarika turant chikitsak se paramarsh lena hota hai. Aapko iss tarah ke lakshan dikhne par chikitsak ki salah se turant blood test, urine test, stool test, X ray, CT scan, MRI scan ya echocardiyogram karwana chahiye.
• Iske ilaaj ke liye sankraman ki shurvaat me anti biotic dawai di jati hai aur koshish ki jati hai ki sankramit ang ko aasani se sankraman yukt kiya ja sake. Iss sankraman ka sabse accha ilaaj hai ki shuruaati avastha me iska pata lagakar sankraman ko rok dena chahiye.
• Blood Poisoning se bachav ke liye tike, acche swasthya aur haanikarak bacteria ke pravesh se bachne ke liye aksar haath dhone ki salah di jati hai. Iske alawa bacteria ka sankraman daanto se bhi ho sakta hai. Isliye daanto ki acchi tarah safai karni chahiye aur puri tarah paka huya bhojan hi khana chahiye, kyuki sabjiyo ko acchi tarah pakane se iske bacteria khatam ho jate hai aur intestine tak nahi pahuch pate hai.

Upar aapne jane Blood Poisoning se judi kuch baate. To dhyan rahe agar aapko bhi aise hi kuch lakshan dikhai de rahe hai to is bimari se bach kar rahe aur turant doctor ki salah le.

Get more details about Blood Poisoning from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...