Breast Pain Reason in Hindi: Jane Stano Mai Dard Ke Karan

Breast Pain Reason in Hindi: Mahilao ke stan mai dard hona aam bat hai. Lagbhag 70% mahilao ko chati mai dard ki shikayat hoti hai. Mahilao ke stan mai yeh dard ek ya fir dono stano mai ho sakta hai.

Mahilao ke stan mai dard ke kai karan hote hai. Kabhi kabi periods aane ke samay homones imbalance ki wajeh se bhi stan mai dard ki shikayat rehti hai. Isss dard ko cyclic pain kaha jata hai. Cyclic pain, mahvari aane ke 1 ya 2 hafte pehle shuru hota hai aur mahvari aane ke bad yeh dard band ho jata hai. Iske alava non-cyclic karan bhi hai jo ki stan mai dard ka karan banta hai.

mahilao ke stan mai dard ka karan mahilao ke hormones aur unke swasth par bhi nirbhar karta hai. Aur iska lagbhag 20% ilaj bhi sambhav hai. Lakin stan mai dard ka matlab cancer nahi hai. Cancer hone par breast ki koshikaye aniymit rup se vibhajit hone lagti hai. Mahilao ke stan mai dard hone ke aur bhi karan aur uske upchar ke bare mai janne ke liye yaha padhe Breast Pain Reason in Hindi.

Breast Pain Reason in Hindi: Stan Mai Dard Ke Karan aur Upchar

Stano mai dard hone ko do prakaro mai vibhajit kiya gaya hai. To aaiye jane Types of Breast Pain,

Cyclic Pain:

Cyclic dard mahilao ko masik dharm shuru hone ke pehle hona shuru hota hai ise cyclical mastalgia kaha jata hai. Yeh dard hormones ke badalne se hota hai. Iss dard ke adhiktar mamlo mai stano ke bahari upari shetra mai hota hai. Yeh dard samanya hota hai aur isse ghabrane ki jarurat nahi hoti hai. Yeh dard masik chakra ke sath aata hai aur periods ke jate hi chala jata hai.

Non-Cyclic Pain:

Iss prakar ka dard aksar 30 se 50 varsh se adhik umra ki mahilao mai dekha jata hai. Isme bhaut triv dard hota hai mano stano mai chot lag gayi hu.
Stan mai dard hone se mahilao ki chati mai dard, bharipan, stano mai komalta, jakdan aur stano ke uttako mai jalan aadi ka anubhav hota hai. Yeh dard hone ke kai karan hote hai lekin har case mai koi bhi nirdharit karan nikal pana sambhav nahi hai. Fir bhi kuch aese karan hote hai jinki wajeh se stan mai dard hota hai to aaiye padhe Breast Pain Causes.

Hormones Mai Parivartan Se

Cyclic breat pain mahilao mai hone wale masik dharm aur hormones ke bich ki sabse majbut kadi hota hai.Yeh dard masik charkra aane ke pehle hona shuru hota hai aur masik chakra ke jane ke bad dard bhi chala jata hai.

Stan Ki Sanrachna

Mahilao mai non-cyclic breast pain bhi hota hai jo ki dugdh nalikao aur dugdh granthiyo mai parivartan ke karan hota hai. Yeh karan stano mai alsar ke vikas ko bhi badhava deta hai. Breast trauma ke kai karak hai jaise yadi pehle kabhi aapne stan ki surgery karwayi ho ya anya karan se. Stan ki sanrachna alag hone se chati ke aaspas, maspeshiyo, chati ke jodo aur dil par bhi dard hone ki shikayat rehti hai.

You May Also Like: Lymphoma Symptoms in Hindi – Iske Lakshnao Ko Pehchane

Fatty Acid ke Asantulan Ke Karan

Sharir ki koshikao ke andar fatty acid ke asantulan ya fir gadbadi hone se stan ke hormones ke pravah mai sahayak uttako ki sanvedanshilta ko prabhavit karta hai.

Dawao Ke Sevan Se

Kabhi kabi mahilaye apne banjhpan ke upchar ke liye dawaye leti hai. Unki wajeh se bhi stan mai dard hota hai. Iske alava garbhnirodhak goliyo ke sevan se ya fir hormonal dawao ke sevan se bhi chaati mai dard hona shuru ho jata hai. Iske sath hi rajonivratti ke samay upyog ki jane wali estrogen aur progesterone therapy bhi stano ki komalta aur uske dard ka karan bani hai.

Stan Ki Aakrati

Mahilao ki chati mai dard hone ka ek sabse bada karan stano ke aakar ka adhik bada hona bhi hota hai. Iske alava stano ke aakar ka bada hone se chati, peeth aur kamar dar ki shikayat bhi hone lagti hai.

Stano Ko Surgery

Stano mai pade gaanth ki wajeh se ya fir kisi aur karan se karwayi gayi stano ki surgery bhi stano mai hone wale dard ka karan banta hai.

Anya Karan Inhe Bhi Padhe Breast Pain Reason ke

  1. Tanav aur depression ki wajeh se stan mai dard hona
  2. Caffeine ke atyadhik sevan se
  3. Stano ke bahar dard ki wajeh se
  4. Yovan(Puberty)
  5. Pasli mai fracture hone se

Kuch tips ka sahara lekar mahilao mai hone wale stan ke dard ko dur kiya ja sakta hai jaise

  1. Rojana acchi fitting wali bra pehne.
  2. Apni bra ko rojana dhule jisse stano ko kisi bhi prakar ke sankraman se bachaya ja sake.
  3. Rat ko sote samay naram aur comfortable bra pehne.
  4. Vyayam ke doran sports bra ko pehnna chahiye.
  5. Apne aaharo mai healthy phalo aur sabjiyo ka sevan kare.

Upar aapne jana Breast Pain Reason in Hindi. Yadi aap bhi apne stan mai hone wale dard se pareshan hai to upar diye gaye karno ko padhe aur pehchane ki kis wajeh se yeh dard ho raha hai. Fir uchit upchar karke stan mai hone wale dard se paye chutkara.

lekin yadi aapko yeh dard adhik hone lage, ya fir stano mai jalan hone lage, ya nipple andar ki or ho jaye ya aur isse khun aane lage to yeh cancer ka karan ho sakta hai. Isliye jab dard adhik ho use halke mai na le aur chikitsak ki salah le.

Loading...

This website uses cookies.