Hamare desh mai mehndi lagane ka bahut prachalan hai. Ladkiyo aur aurto ko mehndi lagane ka bahut shouk hota hai. Kisi bhi tyohar par aapke hatho aur pairo ki sundarata ko badhane ke liye mehndi lagai jati hai. Shadiyo mai to mehndi ke bina dulhan ka shringar hi adhura hai. Shadiyo mai kapdo aur gehno ki tarah dulhan ki mehndi ka bhi khas khayal rakha jata hai.
Jo bhi atithi shadi mai aate hai, sar se lekar pair tak dulhan ke shringaar ko dekhte hai. Isliye bahut jaruri hai ki aapke hatho aur pairo ki mehndi bahut khubsurat lage. Aur aesa ki mehndi lagan eke piche aane wale athiti hi hai. Darahsal ladkiya shadi ki kharidari ko lekar jitni excited hoti hai, utni hi mehndi ko lekar bhi hoti hai. Aur bhi kyu nahi kehate hai na jitna mehdi ka rang jitna gehara hoga unka hone wala pati ka pyar bhi utna hi gehra hoga.
Aajkal ki dulhano ko nayi nayi design wali mehndi lagai jati hai. Jisse unki khubsoorati aur bad jati hai. Waise to mehdi bahut log bana lete hai. Lekin dulhan ke liye khas aur acchi acchi designs ki jarurat hoti hai. Isliye khas din ke liye behtar hoga ki aap mehndi lagane wale logo ko hi bulaye.
Lekin yadi aesa hai ki aap khud mehndi lagana chahti hai ya apni saheli se mehndi lagwana chahti hai tab bhi jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai. Aaj ham aapko bataenge mehndi ki kuch khas aakratiya, jisse aap aur nikhar kar aayegi. To aaiye jane Bridal Mehndi Designs in Hindi.
Bridal Mehndi Designs in Hindi: Dulhan Ke Liye Khas
Samay ke sath mahilao ki pasand badal gai hai, parntu mehndi lagane ki pasand aaj bhi vesi hi hai jaise purane samay mai thi. Aajkal mehndi ko kai tarah ki design dekar kar lagaya jata hai. Dulhan ke liye khastor par kai mahino pehle se mehndi ke design ko pasand kar liya jata hai. Aaiye jante hai kuch khas designs.
Hatho mai Samaye Dulha Dulhan
Dono hatho mai dulha dulhan ki photo wali mehndi bhi aajkal bahut lagai jati hai. Ise marwadi mehndi kehte hai. Iss mehndi ki design ko adhiktar ladkiya apni shadi mai lagana pasand karti hai. Dulha dulhan ke alawa iss marwadi design mai dhol, nagade, phool, mor, baje, radha krishna, aur raja rani bhi banaye jate hai. Iss tarah ki paramparik design banvana ladkiyo ko jyada pasand aata hai. Aur iss prakar ki design ke liye wo mahino pehle se hi mehndi visheshgyo ko book kar leti hai.
Glitter Mehndi
Fashionable mehndi mai glitter mehndi ko bahut pasand kiya jata hai. Yeh chemical se nirmit hai. Yeh jyadatar yuva ladkiyo ko pasand aati hai. Kyoki isme traditional aur trendy dono look dikhai dete hai. Isma pura hath kai rango se milkar bhara hota hai.
Tatha iski sajavat ke liye upper se glitter aur stone ka upyog kiya jata hai. Iss mehndi ki design ke sath aap iske matching ke kagan bhi pehan sakte jo aapko aur accha look denge. Ya fir aapki dress ke hisab se mehndi bhi lagva sakte hai. Yeh aajkal ki Latest Mehndi Designs mai se ek hai.
You may also like:- Bridal Makeup Tips in Hindi: Dulhan ki Sundarta ko Nikhare
Dulhan Ke Pairo Ki Mehndi
Aajkal ki ladkiyo mai hatho ki mehndi designa ke sath pairo ki mehndi designs ka bhi bahut craze hai. Kisi ko kam mehndi se bhare huye pair acche lagte hai. Uske liye Arabic Mehndi Design ko aap apne pairo par laga sakti hai.
Aap isme koi bhi design bana sakte hai jo aapko pasnd ho. Iss mehndi mai phoolo ki design banai jati hai. Isme phool aur pattiya hi hoti hai. Arabic mehndi mai black chemical se outline kar bich mai mehndi ya black chemical se shade diya jate hai. Agar aap chahe to isme bhi apni dress se matching rang ke stone laga sakte hai.
Puri Bhari Hui Mehndi
Iss tarah ki mehndi hath aur pairo par bahut fabti hai. Yeh mehndi ko lagane ka sadabahar style hai. Dulhano ko to aapne hatho aur pairo ko mehndi se puri tarah bharna accha lagta hai. Isme banai hui design ka koi matlb nahi hota hai. Isme sirf line ko aakrti di jati hai. Jo banae ke bad bahut hi acchi lagti hai. Iss mehndi ko na keval dulhan balki uski saheliye aur rishtedar bhi lagana pasand karte hai. Puri bhari hui mehndi ka chalan kaafi purana hai. Yadi aap mehndi banana jayda acche se nahi bhi janti ho tab bhi aap ise laga sakti hai.
Rajasthani Mehndi
Rajasthani mehndi marwadi mehndi se kafi milti julti hoti hai. Rajasthani mehndi mai rajasthan ke culture ko dikhaya jata hai. Isme pan ka patta, aam ki pattiya, tatha keri ki design banai jati hai. Iss mehndi ki khasiyat yeh hai ki isme dono hatho mai ek saman mehndi lagai jati hai.
Aesa lagta hai mano hatho ke samne darpan rakha ho. Iss mehndi ko banane mai kafi dherya aur samay chahiye hota hai. Rajashthani mehndi ki design mangal ghada, ganesha drum, aakrti banai jati hai. Jaise ki niche di hui aakrti mai rangoli ki design banai hui hai. Inn aakrati mai aap trikon, dil ka aakar ya jali ki design bhar sakte hai. Yeh bhi ek prachalit Wedding Mehndi Design hai.
Simple aur Sweet Mehndi
Kuch logo ko jayda aakrti wali mehndi pasand nahi aati hai, na hi wo jayda der beth pate hai. Unke liye hai simple aur sweet mehndi. Jisme jayda mehnat bhi nahi karni padti tatha banane mai bhi bahut aasan hoti hai. Iss mehndi mai sirf hatheliyo ko hi bhara jata hai. Isme puri hatheliya bhari jati hai. Jo dekhne mai bahut hi acchi lagti hai. Jab aap mehndi lagana sikh rahe ho to iss mehndi se shuruwat karna chahiye. Kyuki yeh banane mai bahut saral hai. Aur jaldi se aap ise sikh bhi jayenge. Aap shuru mai sikhne ke liye hatheliyo par mehndi ke design mai suraj bhi bana sakte hai. Ya koi bhi phool pattiya ka design karke usme dil ki aakrti dekar usse bhar sakte hai.
You May Also Like: Lips Makeup Tips in Hindi – Khubsurat Hontho Ke Liye Salah
Pairo Ke Liye Classy Design
Jaise hatho ki mehndi ke liye kai design hoti hai waise hi pairo ko bhi classy look dene ke liye mehndi design ki jati hai. Dono hatho ki design alag ho sakti hai par dono pairo ki design ek jaisi hi hona chahiye. Aap pairo par kisi bhi tarah ki mehndi laga sakti hai.
Jaise pakisthani, arabic, rajasthani. Alag alag jaagh par alag alag tarah ki mehndi ka design hota hai. Aap pairo mai payal ki design se match karti hui mehndi bhi laga sakte hai. Jo aapke pairo ko bahut hi aakrshit look dega. Pairo ki mehndi ko agar aap chahe to ghutno tak bhi laga sakte hai.
Pakistani Mehndi
Pakistani mehndi bhartiya aur arabic mehndi ki design ka combination hai. Bhartiya mahilaye lal rang ki mehndi aur arabic mahilaye black rang ki mehndi lagati hai. Wahi Pakistani mehndi mai outline black mehndi se aur lal rang ki mehndi se design ko bhara jata hai. Iss mehndi ki design mai bhi more, pattiya, aam ke aakrti ko banaya jata hai. Tatha iske ander jali banai jati hai. Pakistani mehndi bhi aajkal bahut chalan mai hai. Iss mehndi ko shadiyo mai dulhno ke hatho mai bhut hi khubsurat tarike se lagaya jata hai.
Upar aapne jana Bridal Mehndi Designs in Hindi. Jis din bhi aapki shadi ho uske do din pehle mehndi lagaye. Tatha mehndi ke sukhne ke bad nimbu ka ras ya mehndi ka tel hath pairo par laga le. Isse mehndi ka rang accha ayega. Kai bar aapke pairo ki ediya fat jane par bhi aap mehndi ka istemal kar sakte hai. Mehndi ko har umar ki mahilye pasand karti hai.