Brown rice sabse poshtik khadya padartho me se ek hai. Brown chawal me kai poshak tatva hote hai jo sharir ko swasth aur majboot banate hai. Iss rice ki bahari parat nikalkar banaya jata hai jise hasak kaha jata hai.
Iss prakar chawal ke chilke me chupe kai poshak tatva bhi isme shamil rahte hai. Aaiye jante hai Brown Rice Health Benefits aur rakhiye apne aap ko swasth.
Brown Rice me fiber jyada matra me hota hai aur fiber jyada hone ki vajah se iske sevan se fat nahi badata hai. Aaj ke samay me diet chart me brown rice sabse pahle shamil kiya jata hai.Fiber yukt hone ke nate ye rice aajkal trend me sabse jyada hai aur isme energy bhi kafi matra me hoti hai.
Iske sevan se pet sahi rahata hai aur jyada khane ki aadat bhi kam ho jati hai. Brown Rice me carbohydrates aur proteins kafi matra me paya jata hai. Sabhi prakar ke chawalo me jaise: Basmati, jasmin aur sushi rice me bhi brown rice aata hai.
Jo log apne swasthya ke prati jagruk hai wah safed chawal ki jagah brown chawal apni daily diet me shamil kare, kyuki yah swasth ke liye bahut faydemand hota hai. Lekin kya aap iske fayde jante hai? To chaliye jante hai Brown Rice se jude kuch anmol fayde.
Bhure Chawal (Brown Rice) ke Bemisaal Fayde Aapki Health ke Liye
Manganese se Bharpur
Brown Rice me manganese ki bharpur matra hoti hai. Isme lagbhag 80 % matra manganese ki hoti hai jo body me fat ko ghatati (Kam karti) hai. Isse sharir me kafi urja aati hai aur over fat hone ka risk bhi kam ho jata hai. Agar aap apne sharir ko majboot banana chahate hai to brown rice ka hi sevan kare.
Vajan Ghatane Mai Shayak
ki baat kare to ye motapa ghatane ke liye sabse accha source hai. Agar aap apna vajan ghatane ki koshish me lage hai aur chawal khane ka mann hota hai to brown rice khaiye. Yah chawal aapke sharir ko nahi badne dega aur aapki chawal khane ki iccha bhi puri jo jayegi. Isme energy bhi bharpur matra me hoti hai jisse sharir me kamjoori bhi nahi aati hai. Isme paye jane wale fiber ki madad se pet ki pachan kriya bhi sahi rahti hai aur jyada khane ki aadat se bhi nijaat paya ja sakta hai.
Accha Tel Yukt
Aajkal aapne kai TV par ads me dekha hoga ki refined me bhi brown rice oil milta hai. Ji ha, brown rice me kafi achi matra me tel hota hai jo sharir ke liye labhdayak hota hai. Isme paya jane wala tel sharir me vasa ko nahi badata hai aur cholesterol bhi kam rakhta hai.
Dil ke Liye Behtarin
Brown rice ek prakar ka anaaj hota hai. Iske chilke me kai aise tatva moujod hote hai jo dil ko behtarin banate hai aur atrial plock ko banate hai. Ye cholesterol ko nahi badata hai jisse dil ki bimari hone ka khatra kam hota hai.
Anti – Oxidant
Kai study ke baad, yah pata chala hai ki brown rice me anti –oxidant ke bharpur matra hoti hai. Isme faitonutrynys hota hai jisme ek ann ke sare gun hote hai. Iske sevan se sharir ki pratirodhak Kshamta bhi badti hai.
Diabetes ka Dar Nahi
Brown rice me magnesium kafi matra me hota hai jiske karan agar sugar marij bhi iska sevan karte hai to unko nuksaan nahi hoga aur na hi sugar leval me improve hoga. Brown rice me lagbhag 300 enzymes paye jate hai jo body me glucose aur insulin ki matra ko banaye rakhte hai. Isme carbohydrates acchi matra me hota hai lekin sugar ke marij ko isse nuksaan nahi pahuchta hai. Agar aap diabetes se pidit hai to iska sevan alternative kar sakte hai.
Haddiyo ke Liye Accha
Brown rice me magnesium acchi matra me hota hai jo sharir me calcium ki matra ko banaye rakhta hai aur use sucharu roop se chalane ka kam karta hai. Isi karan iske sevan se haddiya majboot hoti hai. Manav sharir ka do tihai magnesium uski haddiyo me hota hai.
Baccho aur Yuvao ke Vikas me Shayak
Brown rice cereal ho ya brown rice, dono hi baccho aur yuvao ke vikaas me sahayak hote hai. Brown rice me fiber jyada hone ke karan sharir me growth acche se hoti hai. Baccho ke sharir ko vikaas karne ke liye jin bhi poushak tatvo ki avashyakta hoti hai unme se adhiktar brown rice me paye jate hai. Shodh ke anusar, Brown rice me baccho ke sharir me bimari ko rokne wale 50 % tatva paye jate hai.
Brown Rice Health Benefits Ke Baare Adhik Jankari Dekhiye Iss Video Mai
Upar aapne dekha Brown Rice Health Benefits. To aaj se hi inn chawal ko apne diet me shamil kare aur paiye behatrin swasth laabh aur hamesha rahiye fit aur healthy.
Brown Rice se sambhandhit swasth laabh ki jankari ke liye yaha jaye Food.