Coffee Butter Benefits – Din Ki Shuruwat Ho Energy Se Bharpur

Bahut se log aese hote hai jo coffee mai butter milakar peete hai. Shayad unn logo ko dekhkar aap logo ko bahut hi shock lagta hoga ki koi coffee mai butter dalkar kaise peeta hoga? lekin ise aese peene ke kai sare fayde hai.

Coffee pine ke to aapne kai sare fayde sune honge lekin usi coffee mai butter milane se na keval aapko creamy texture milta hai balki isme moujud nutrients bhi badh jate hai. Jisse yeh aur bhi healthy ban jati hai.

Coffee mai ghee ya other kisi fat ko milakar isko healthy banana koi nayi baat nahi hai. Nepal aur Singapore jaisi jagaho par saalo se ise iss tarah piya ja raha hai. Aur aajkal iski popularity aur bhi jyada badh gayi hai.

Aaj ke lekh mai ham aapko Coffee Butter Benefits in Hindi bata rahe hai, shayad ise janne ke baad kal aapke din ki shuruwat bhi coffee mai 1 chammach butter milakar hogi.
 

Coffee Butter Benefits in Hindi: Janiye Iske Bemisal Fayde

 

 

Pet Bhara Hua Mehsus Hota Hai

  • Job karne walo ke liye subah ka wakt bahut busy hota hai. Kai bar aesa hota hai ki nashta karne ke liye bilkul bhi wakt nahi hota hai. Aese mai lunch karne ke samay tak aapki bhukh ke karan halat kharab ho jati hai.
  • Wahi yadi aap subah coffee mai butter milakar pee lete hai to aapko nashta karne ki jarurat nahi hoti hai. Ise lene se aapko bahut der tak apna pet bhara hua lagta hai.
  • Ise lekar aap apne lunch tak ka samay aasani se nikal sakte hai. Kyoki isse aapke sharir ko jaruri fat aur calorie mil jati hai.

 

Vajan Ghatane mai Madadgar

  • kuch overweight aurto par sodh kiya gaya to unka 1 saal me 9% vajan ghat gaya. Unka vajan CLA supplements lene ke karan ghata tha, inhone apni lifestyle mai bilkul bhi badlav nahi kiya tha.
  • Butter coffee pine se bhi aapko CLA milta hai jo ki vajan ghatane mai madadgar sabit hota hai.
  • CLA se aapka vajan hi nahi ghatta hai balki yeh aapko cancer se bhi bachata hai sath hi muscle ka vikas karta hai.

 

Urja Pradan Kare

  • Coffee akeli hi aapko urja deti hai. Jab aap ek cup coffee pite hai to aapko urja se bharpur lagne lagta hai.
  • Yadi aap coffee mai butter milate hai to aapko aur bhi jyada energy milne lagti hai kyoki fat mai macronutrient hote hai.

 

Aapko Mentally Strong Banaye

  • Aesa nahi hai ki coffee mai butter milakar peene se aapko physically takat milti hai balki isse aapko mentally bhi fayda milta hai.
  • Yadi kaam ki thakan ke chalte aapko thaka hua mehsus hota hai tab iska ek cup aapko energy se bhar deta hai.
  • Ise pine ke baad aap kaam mai dhyan laga pate hai. Aur aap 100 % nahi balki 110% jyada productively kaam kar pate hai.
  • Isse tanav bhi dur hota hai.

 

Taste mai Bhi Behtar

  • Coffee mai butter milane ka idea aapko thoda ajeeb jarur lag raha hoga lekin Butter Coffee ka swad accha lagta hai.
  • Coffee mai butter milakar peene par yeh aapko creamy coffee ki tarah taste dega. Bus aap coffee ki upri satah ko dekhna thoda avoid kare.

 

Jane Butter Coffee Banane Ka Tarika

  • Pani mai hot coffee dalkar use ubal le.
  • Fir usme kuch chammach unsalted grass fed butter dale aur thoda sa brain octane dale.
  • Ise mixer mai blend kar le aur ek cup mai serve karke enjoy kare.

 
Upar aapne jana Coffee Butter Benefits in Hindi. Aap bhi butter wali coffee ke fayde pa sakte hai. Kuch log kehte hai ki yeh swasthya ke liye acchi nahi hoti hai. Darahsal koi bhi chiz kitni healthy rehti hai yeh uski quantity par nirbhar  karta hai. Isliye energy ke liye iska sevan na kare.

Loading...

This website uses cookies.