Calcium Rich Foods ke Sevan se Paiye Swasth Sehat

Hamare liye yeh bahut mahatvpund hai ki, hume apne aahar mai calcium ki ek nishchit matra leni chahiye. Calcium aapki haddiyo ko swasth rakhne mai bahut sahayk hota hai aur rakt koshikao ki nirmand ke liye avashayk hai.

Lekin aaj kal aahar mai kami ke karan sharir mai sahi tarike se calcium nahi pahuch pata hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko yeh batate hai, Calcium Rich Foods. Jisse aap aasani se iska sevan karke swasth rah sakte hai

Vese dekha gaya hai ki, aaj kal kai logo ke jodo mai  dard aur kamjor haddiyo ki shikayat hone lag gai hai.To ho sakta hai ki aapke ghar mai bhi kisi na kisi ko iss cheez ki shikayat ho. Aisa isliye hota hai, kyoki hum hamare khane mai calcium  se paripund cheezo ko khana hi bhul jate hai ya janmuch kar nahi khate hai.

Lekin keval calcium yuk khadaye padarth lene se kaam nahi chalta hai. Hamari body mai calcium tabhi grahan hota hai. Jab hamari body mai vitamin D ho. Isliye aapko Vitamin D ki bharpur matara lena chahiye

Aisa mai mahilao ko calcium ki adhik jarurat hoti hai. Hum sochate hai ki, dudh aur paneer ka level calcium kisi aur cheez mai nahi mil pata hai. Par aise bilkul nahi hai. Aapki iss galat dharna ko sachai mai badle ke liye hum aaj aapko batate hai kuch aise aahar jinki madad se aap iski kami ko aasani se pura kar sakte hai.

Calcium Rich Foods

Calcium Rich Foods mai Chupe Hai ek Healthy Life ka Raaz

Dudh

Calcium Rich Foods mai dudh ka naam sabse pahle aata hai. Mahilao ko lagbhag 1 glaas dudh roz pena chahiye saath mai protein powder bhi milana chahiye, Jisse unko shakti milti hai aur calcium ki bhi jarurat puri ho jaye.

Dahi

Kai logo ko lactose allergies hoti hai, to aise mai dahi khana bilkul sahi rahega isse dudh ki jitna hi calcium hota hai. Bas chini na milai jaye. Calcium Deficiency ko khatam karne ke liye yeh aahar bahut accha hota hai

Sardine fish

Yeh bahut hi popular fish hoti hai. Jisme 33% calcium hota hai. Isse week mai 1 bar jarur khaye.

Cheese

Har tarah ki cheese mai calcium ki matra hoti hai. Jisse aapko bahut fayda milta hai. Isliye agar aapko iski kami ho to aap rozana iska sevan kar sakte hai. Jisse aapko bahut fayda hoga.

 Anjeer

Isme calcium aur iron bahut paya jata hai. Saath hi fiber bhi kuch kam nahi hota hai. Isliye aaj  rozana 2 anjeer ka sevan kare.

You may also like:- Anjeer Benefits in Hindi: Common Fig ke Bahumulya Fayde

Hari Pattedar Sabji

Har tarah ki pattedar sabjiya chahe vah palak ya, fir broccoli calcium se bharpur hota hai. Isliye aap rozana iska sevan kare aur hamesha swasth rahiye.

Oyster

Har tarah ke see food mai calcium hota hai. Lekin iski adhik matra mardo ke liye kharab hoti hai. Yahi iski sahi matra hamilao ke liye acchi mani jati hai.

Badam

Isme vitamin E hota hai par saath hi isme calcium ki matra bhi 70 se 80 mg hoti hai. Jisse aapko bahut adhik fayda milta hai. Isliye aap rozana iska sevan start de.

Prons

Jab tak inhe overcook na kiya jaye tab tak inme calcium bhara rahta hai nahi to overcook karne se calcium jal jata hai. Isliye iska sevan karne ke liye isse kam pakaye taki aapko calcium ki proper matra mile.

Calcium Rich Foods se Paiye Majbut Sharir

Calcium Rich Foods List

 Til

Iske ek chammach  mai ek glass dudh  jitna calcium paya jata hai. Isliye aap rozana isks sevan kijiye aur hamesha ke liye iski kami ko pura kijiye.

You may also like:- Sesame Oil Benefits: Bimariyo ke Liye Faydemand Til ka Tel

Brazil Nuts

Iss meva mai 45 gram calcium hota hai. Iske alawa isme protein bhi acchi matra mai paya jata hai. Isliye aap brazil nuts ka sevan aaj se hi shuru karde.

Herring fish

Sharir mai calcium sokhane ke liye herring fish ka sevan karna jaruri hota hai. Isme vitamin D ki matra bhi pai jati hai.

Herb

Kai sukhe herb jese ajvain ka phool, soya aur mehandi mai bahut calcium hota hai. Inn sabhi ko hum soup aur chai mai milakar pi sakte hai.

 Tofu

Tofu soybean se banaya jata hai, jisme bahut sa calcium paya jata hai. Saath hi isse aap ka weight bhi aasani se kam hota hai

Santa

Santre mai Vitamin C hone ke saath hi isme calcium ki bhi acchi matra hoti hai. Isliye aap rozana ek santre ka sevan kar sakte hai.

Salmon Fish

Yeh samudra mai rahne vali machli hai, jo ki khare pani se poshan prapat karti hai. Iss fish ko iski haddiyo ke saath khane ki koshish kare kyoki isme jayad calcium hota hai.

Soya Milk

Iske sevan se 300 mg calcium bahut jaldi mil jata hai. Isliye aap iska sevan jarur kare. Taki aap aasani se swasth rah sakte hai. To hum bol sakte hai ki, soya milk ek accha Calcium Rich Foods hai.

Oatmeal

Isko khane se fiber tatha calcium dono hi milte hai. Isliye sabhi ko isks sevan breakfast ke samay jarur karan chahiye.

You may also like:- Oatmeal Health Benefits: Oats Swasth ke Liye Laabhdayak

White Beans

Aadha cup white beans khane se 100 mg tak ka calcium prapat hota hai. Isse aapko bahut fayda bhi milega.

Arugula

Yeh ek special tarah ki sabji hoti hai, jisko salad mai daal kar khaya  jata hai. Isliye aap iska sevan aaram se kar sakte hai.

Upar aapne jana Calcium Rich Foods. To bas aaj se hi inn aahar ka sevan start kar do hamesha ke liye swasth rahiye.

Loading...

You may also like...