Cardio exercise aur weight lifting dono ke bich uchit santulan dhundana aapke sharir ke liye sabse acchi baat ho sakti hai. Inn dono hi ke kuch fayde aur kuch nuksaan hote hai. To aaiye jante hai iske bare mai kuch jankari jo aapko swasth rakhti hai.
Cardio exercise aur weight lifting dono ke kuch fayde aur kuch nuksaan hite hai. Inn dono ke bich uchit santulan dhund lena aapke sharir ke liye sabse behtar baat ho sakti hai.
Cardio exercise fat ko burn karti hai to wahi weight lifting se mashpeshiya tone hoti hai aur nayi mashpeshiya banti hai. Inn dono ko sahi tarike ke saath mai karne par yeh kamal ka fayda pahuchahti hai.
You may also like:- Fitness Tips in Hindi: Niyamit Kasrat se Rahe Tandarust
Janiye Cardiyo Exercise aur Weight Lifting Exercise ke Bare Mai
1) Cardio ke Fayde aur Nuskaan
Cardio ke Fayde:-
Cardio exercise karne se vajan kam karne se lekar mansik swasth ko laabh hone jese kai fayde hote hai. Cardio exercise karne se mashtisk mai endorfin release hota hai, joki aapke sharir ke liye ek prakritik dard nivarak ki tarah hota hai. Discovery health ke mutabit endorfin tanav, avsad aur chinta ko bhi kam karta hai. Yadi aap fat burn karna chahte hai to cardi aapke liye sabse accha vikalp hai. Bina cardio kiye yadi aap pura din bhi weight lifting kare to bhi aapki mashpeshiyo par chadi fat ki moti parat nahi hategi.
Cardio ke Nuksaan aur Jokhim:-
Cardio exercise ki ek kami mai se ke hai ki isse chhote jese pindli mai splint, jodo mai dard aur stress fracture aadi lagne ki sanvedab shilta badhti hai. Saath hi yadi aap apni mashpeshiyo ko tone kar dolo aur baki muscle ka size bana chahte hai to akele cardio se aise sambhav nahi hai.
2) Weight Lifting ke Fayde aur Nuskaan
Weight Lifting ke Fayde:-
Weight Lifting ke parinam apeksha krat tezi se aur dhyan dene yogya hote hai. Ise karne se mashpeshiya majboot banti hai aur chhot lagne ki ashanka bhi kam hota hai. Iske alawa university of geogia dwara kiye gaye shodh ke mutabit, weight lifting se yaddasht badhti hai. Shodh ke anusar matra 20 minutes tak vajan uthakar aap apni yaddasht 10% tak badha sakte hai. Shodh ke shodhkartao ka manana hai ki weight lifting se epidomic memory (long term ya adhik samay tak rehne wali yaddasht) 10 pratishat tak badhti hai.
Weight Lifting ke Nuksaan aur Jokhim:-
Yadi weight lifting ke douran uchit vajan ka istemaal na kiya jaye ya galat tarike se iska istemaal kiya jaye to chhot lag sakti hai. Cardio exercise ki tulna mai adhiktam laabh aur chhoto se bachav ke liye paryaveksham aur sahi traning ki jarurat hoti hai. Cardio kiye bina akele weight lifting karne se sahi phisique nahi ban pati hai. Isliye inn dono exercise ko combine karke hi karna chahiye.
Upar aane jane Cardio Exercise aur Weight Lifting Exercise ke fayde aur nuksaan. Inko dhyan mai rakhkar aap swasth aur fit reh sakte hai.