Cardiopulmonary Resuscitation: Sanjeevani Kriya ki Sampurna Jankari

Cardiopulmonary Resuscitation ya CPR, prathmik chikitsa ke uss vidhi ka naam hai jisme kisi behoshi ya murchit vyakti ke geart aur lungs ko pun hosh mai laya jata hai. CPR karne se aap kisi ki jaan bacha sakte hai. Aaiye jante hai isse sambandhit kuch jaruri jankari.

Isko hindi mai Sanjeevani Kriya ke naam se bhi jana jata hai. Yeh ek aisi kriya hai jo uss samay prayog mai layi jati hai jab koi durghatnagrast vyakti behosh hota hai, saans nahi le paa raha hota hai aur uske sharir mai khoon ka sanchar bhi nahi ho raha hota hai. CPR ka uddeshya doctor ki sahayata milne tak pidit durghatnagrast vyakti ko jivit rakhna hota hai.

CPR mai 2 karya kiye jate hai:-

  • Mouth to Mouth Respiration
  • Chest Compression

Cardiopulmonary Resuscitation humare sharir mai swashan kriya aur raktabhisaran kriya ko jari rakhta hai. Inn dono kriya mai se ek bhi kriya agar 4 minute ke upar band padegi to sabse mahatvapurna avyaya brain ko oxygen ki apurti nahi ho payegi aur 4 minutes baad mastishk ke peshi mrat hona chalu ho jayege.

Aise marijo mai CPR turant dekar hum doctor ke aane tak kam se kam jinda rakhne mai kamayab ho sakte hai. Iss kriya ki jarurat dil ka doura padne, gala ghutne, pani mai dubne, bijali ka jhatka lagne, dhuye se dam ghutne ya jaharile gas ko sungh lene jesi stithiyo mai padti hai.

Cardiopulmonary Resuscitation Process1

 

Cardiopulmonary Resuscitation (CPR): Sanjeevani Kriya Ko Karne ka Sahi Tarika

Sanjeevani Kriya ko karne ki puri prakriya niche di gayi hai:-

1) Nirikshan:-
  • CPR kriya ko shuru karne se pehle ghatnasthal ka jayja le aur yeh nischit kar le ki pidit aur uske aaspaas khade log khatre mai to nahi hai. Iske baad hi aage ki karwahi kare.
  • Sahayata ke liye kisi vyakti ko turant doctor, ambulance ya 108 par phone karne ko kahe ya hospital paas hone par pidit ko le jane ki vyavastha kare.
  • Agar pidit behosh hone lage to usse kuch prashan puche jese tumhara naam kya hai, apbni aankhe kholo aadi. Iske baad pidit ki pith thapthapye. Isse wah behosh mai aa sakta hai.

You may also like:- Janiye Leptospirosis Symptoms, Causes aur Iske Treatment

2) Parikshan:-
  • Agar pidit vyakti hosh main aaye to use jamin par sidha leta de.
  • Yadi wah koi pratikriya na kare to uski saans ki janch karke dekhe ki uski saans chal rahi hai ya nahi.
  • Swashanali behoshi ki avastha mai sikud sakti hai ya jibh ulat jane ke karan bilkul band ho sakti hai. Aisi stithi mai pehle pidit vyakti ko pith ke bal farsh ya palang par leta de. Phir apne ghutno ke bal pidit ki aur muh karke baith jaye. Apne ek haath ko pidit ke maathe par rakhte huye usko piche ki aur kare. Agar uske muh mai koi chiz fasi ho jese-bahari vastu, nakli daant, ulti aadi to use muh mai ungli dalkar nikal le. Phir dusre haath ki ungliyo ko pidit vyakti ki mandible ke niche rakhkar upar ki aur uthaye.
  • Agar pidit vyakti ki naak mai chhot lagne ki ashanka ho to uske jabde ko puri jaan lagakar khole. Apne haato ko uske chehre ke dono taraf rakhe. Apne haato ki ungliyo se uski swasnali kholne ke liye uske jabde ko uthaye ;ekin uske sar ya gardan ko na ghumaye.
  • Swasanali ko ko khula rakhte huye apne kaan ko pidit vyakti ki naak aur muh ke paas rakhkar 10 seconds tak sunkar aur mahsoos karte huye apni aankho ko rogi ke sine par tika le. Agar sina upar aur niche ho raha ho to samajhiye ki pidit vyakti ki swas chal rahi hai.
  • Yadi pidit vyakti saans le raha ho to use adhomukhi avastha mai leta de. Yeh pidit vyakti samanya roop mai saans na le raha ho to apne saathi ko ambulance ya doctor ko bulane ke liye kahe. Jab tak doctor ya ambulance ka bandobast nahi ho jata tab tak pidit ko kratim saans dete rahe.
  • Saath hi pidit ki pulse ki janch karte rahe. Pidit ki chhati par kaan lagakar sune ki pidit ka dil dhadak raha hai ki nahi.
  • Agar pidit ki saans nahi chal rahi ya dil nahi dhadak raha hai to use turant CPR dena chahiye.
3) Cardiopulmonary Resuscitation ya CPR:-

Cardiopulmonary Resuscitation ya CPR vidhi ki mukhya 3 prakriya hai jise ABC kaha jata hai:-

Cardiopulmonary Resuscitation

  • A:- Airway Step
    Isme yeh bataya gaya hai ki swasnali ko khula karna. Iska jikra humne upra kiya hai.
  • B:- Breathing Step
    Pidit ki saans na chalne par pidit ko turant mouth to mouth respiration yani muh se kratim saan dena hoga. Pidit ko muh se kratim saans den eke liye, pidit ki nak apne baaye haath se band kar muh dwara use 2 baar kratim saans dena chahiye.
  • C:- Circulatory Step
    Ise chest compression bhi kaha jata hai kyuki iss prakriya mai pidit ke heart ko kriyashil ka sharir mai raktsanchar karne hetu pidit ki chhati ko dabaya jata hai. Iski best prakriya niche di gayi hai:-
  1. Sarvapratham pidit ko kisi thos jagah par lita de aur pidit ke ek aur ghutno ke bal baith jaye.
  2. Apna ek haath ka panja pidit ki chhati ke bich ki haddi jaha par chhati ki haddiya milti hai ke Madhya mai rakhe. Yeh sthan chhati ke Madhya mai dono nipple ke bich hona chahiye.
  3. Iske baad dusre hatah ko pehle ke upar rakhte huye ungliyo ko bandh le. Apni bajuo aur elbow ko sidha rakhe.
  4. Uske baad pidit ki chhati ki haddiyo ko sidha 1.5 se 2 inch ya 4 se 5 cm tak niche dabav de. Chhati par dabav dene ki yeh prakriya prati minute 100 baar ki gati se honi chahiye.
  5. Dabav dene aur chhodne ki kriya ek baar mai 30 baar kare. Dabav dene aur chhodne ka samay barabar hona chahiye.
  6. Pidit ko Cardiopulmonary Resuscitation ya CPR dete samay 2 baar kratim saans de aur 30 baar chhati par dabav dena chahiye. Iska anupaat 30:2 ka rakhe.
  7. Jab aap aapatkalin sahayata prapt na ho ya pidit vyakti samanya saans lena shuru na kar de tab tak CPR dena shuru rakhe.

Cardiopulmonary Resuscitation se aap pidit vyakti ki jaan bacha sakte hai. Yeh article kisi ki jindagi ko bachane ke kaam aa sakta hai.

Loading...

You may also like...