पेट से लेकर त्वचा तक हर रोग में लाभकारी है रेंड़ी का तेल

Castor Oil (Arandi) ke bahut se medicinal aur rog-nivarak uses hai. Iski yahi properties ise bahut effective aur excellent banati hai. Castor oil lagane se aapki skin aur hair dono bohut healthy rahte hai. Aaiye Jante hai kuch Castor Oil Benefits in Hindi.

Baalo ko lamba aur Ghana banane mai arandi ka tel lagane se madad hoti hai, aur yeh ek prakritik tarika bhi hai. Vaikalpik swasth ke kshetra mai arandi ke tel ke madhyam se baalo ko badhane ke upchar lambe samay se prayog ho rahe hai.

Agar sach mai aapke baal kharab ho rahe hai ya aap apne baalo ko majboot banana chahte hai to arandi ka tel aapke liye bahut hi laabhdayak siddh ho sakta hai.

Castor Oil Benefits in Hindi: Iske Fayde Janiye

Castor Oil Benefits

Twacha Baal Swasthya
Muhanse dur kare Scalp infections ko thik kare Pet ke kide theek kare
Jhurriya Ghataye Baalo ko safed hone se roke<> Peeth dard se bachaye
Twacha mai Nami Laye Baal badhne mai sahayak Ghutno ke dard mai sahayak
Daag dhabbe dur kare baalo ko condition kare Immunity badhaye

 

Castor Oil Skin Benefits: Aapki Sundarta mai Lagaye Chaar Chand

 

Age Spots Ke Liye

Castor Oil use karne par aapke age spots bahut jald fade ho jayenge. Aapko bas thoda sa castor oil lena hai aur age spots par lagana hai. Dhyan rakhiye massage karte samay apne haath circular motion mai ghumaye.

Hair Growth Ke Liye

Castor oil mainly hair growth ke liye hi jaana jaata hai. Thoda sa castor oil le aur ise apne scalp par apply kare aur gently massage kare. Aadhe ghante tak oil lage rahne de fir hair wash kar le. Thode hi dino mai aapko farq najar aane lagega.

Hands aur Nails Ke Liye

Castor oil se hands par massage karne par wrinkles se nijat milti hai. Ise roj nails par lagakar massage karne se aapke nails bahut soft ho jaate hai aur damage hone ka khatra bhi nahi rahta hai.

Skin Cleasing Ke Liye

Castor oil skin cleasing ke liye bahut upyogi hai. Ise skin par apply karne se skin retain ho jaati hai.

Skin Moles Ke Liye

Castor oil mai thoda sa baking soda milaye. Iss paste ko apne mole par lagaye aur dhire-dhire massage kare. Thodi der baad iss paste ko hata dijiye. Iss procedure ko thode din apply kijiye aur thode hi dino mai aapka mole gayab ho jayega.

Mitaye Sare Skin Germs

Castor oil ek aisa ingredient hai jiske bahut se uses aur benefits hai. Isse aapke stretch marks dur hote hai. Isse aapki skin ki bahut si problems dur ho jati hai. Yeh hair conditioning mai bhi use kiya jata hai.

Castor Oil Benefits for Hair: Baalo ko Sundar aur Majboot Banaye

  • Baalo ko badhne mai vraddhi karta hai.
  • Patle ho rahe baalo ko Ghana karne mai madad karta hai.
  • Baalo ko nuksaan dikhna kam karta hai aur baalo ko nuksaan ko rokta hai.
  • Sukhe baalo ko poshan aur unhe chamak deta hai.
  • Baalo ko ghanapan aur chamak deta hai jiske parinam swaroop baal swasth dikhte hai.
  • Baalo aur sar ki twacha ko gehrai se conditioning aur nami deta hai.
  • Sar ki twacha ka sukhapan rokta hai.
  • Baalo ke samagra swasth ko badhata hai.

 

Castor Oil Health Benefits: Hamare Swasthya Ke Liye

  • Arandi ka tel pet mai kide hone ki samasya ko theek karta hai. Iske liye aapko 4 chammach nariyal tel ke sath 2 chammach arandi ke tel ka mishran sevan karna hoga.
  • Arthritis ke rogiyo ke liye yeh bahut faydemand hai. Yeh aapko jodo ke dard se raahat dilane mai bahut prabhavi hai.
  • Naturopathy ka adhyan karne walo ne yeh paya hai ki arandi ke tel se rog pratirodhak tantra majboot banata hai. Isse sharir ko rogo se ladne mai madad milti hai.
  • Pith dard se nijat dilane ke liye arandi ka tel ek asardari prakratik aushdhi hai. Isse apne peeth par malish karne se mashpesiyo mai ho rahe dard aur tanav se mukti milti hai.

Upar aapne jane Castor Oil (Arandi) Benefits in Hindi. To use kijiye arandi ka tel aur paiye healthy aur beautiful twacha aur banaiye apne baalo ko lamba aur ghana. Yeh aapke liye bahut hi laabhkari hota hai.

Get more update about Castor Oil Benefits from Food.

Loading...

You may also like...