Causes of Breast Cancer in Hindi: Stan Cancer ke Karan

Cancer ek bhayawah bimari hai. Iske kai prakar hai. Isme sharir ki koshikayen aniyantrit roop se badhti aur viksit hoti hai. Aamtour par cancer naam sharir ke ang ke naam par rakha gaya hai, jahan par yeh viksit hota hai. Isliye, breast cancer ka naam bhi stan ke uttakon mai viksit hone wali koshikaaon ke aniyamit vikas ko darshata hai.

Teji se vibhajit hone waali koshikaaon ka samoh ek lump ya atirikt uttakon ka roop le sakta hai. Inn atirikt uttakon ke samoh ko tumors kahte hain. Tumors ya to ghatak ya mamuli ho sakta hai. Ghatak tumor swasth sharir ke tissues ko nasht kar sakta hai.

Tumor ke bheetar ke koshikaaon ke samooh vibhajit bhi ho sakte hain aur sharir ke dusre bhago mai fail bhi sakte hai. Jo koshikaye sharir ke ek bhaag se dusre bhaag mai fail jati hai, unhe metastases kaha jata hai. Stando mukhya tarah ke uttakon se milkar bana hota hai – glandular tissues aur stromal (supporting) tissues.

Glandular tissues mai dudh utpadan granthiyan aur dudh marg hota hai, jabki stromal tissues mai stan ke fatty aur reshedar tissues shaamil hote hain. Yeh breast lymphatic tissue se bhi bana hota hai, immune system tissue jo cellular padarth aur kachare ko hata deta hai. Aaiye jante hai Causes of Breast Cancer in Hindi, jo mahilao ko janna aavashyak hota hai.
 

Causes of Breast Cancer in Hindi: Mahilao Se Judi Bimari

 
Causes of Breast Cancer in Hindi
 

Heredity

Aanuvanshikta ka arth hota hai: mata- pita ke gun-dosh ka unke vansh ya bachhon mai sancharan hona. Udaharan ke liye, ek bachha jo vastav mai apne pita ki tarah lagta hai, iska matlab hota hai ki us bacche mai uske pita ke sabhi paatra virasat mai mile hain. Isi tarah Breast Cancer mai, ek mahila me breast cance hone ke liye uski mata ke genes jimmedaar hote hai. Agar uski mata ko yeh bimaari hai, ya yah bimaari nahi hai , parantu uski dadi ko yeh bimaari rahi ho, to usme bhi yeh bimari hone ki sambhavna hoti hai.
 

You May Also Like:- Blood Cancer in Hindi: Jane Iske Lakshan, Karan aur Upchar

 

Lagatar Garbhpaat

Yeh unn yuva ladkiyon ke liye ek aam bat hai jo sakriya roop se ek khaas aadmi ya 2-3 aadmiyo ke sath sexual affair mai shaamil hoti hai. Kuch mahilao ke case mai 13 se bhi adhik bar garbpaat paya gaya hai. lagataar garbhpaat reasons of breast cancer mai se ek ho sakta hai. Jab ek mahila garbhavati hoti hai, tab ek vishesh stage par lactose se bharpor gupt milk shuru hone lagta hai aur stano mai iska pratikool prabhav padne lagta hai.
 

Santanhinta

Ek mahila, jiske pure jeevan kaal mai bachhe na ho, use breast cancer hone ki jyada risk hoti hai. Iska karan bacche ko pilaane ke liye dudh ka utpadan karna jo wo nahi kar paati hai.
 

Mahvari Ki Jald Shuruwat

Yuva ladki ke pahle masik dharm ko rajo darshan kahte hai. Aahaar ke karan ya anya paryavarniya karkon ke karan kuch yuva ladkiyo ko kam umra mai masik dharam shuru hota jata hai. Agar kisi bachhi ko 9 se 10 saal ki umra  mai masik dharm shuru ho jata hai to use vayask hone par breast cancer ke hone ka bahut adhik khatra hota hai.
 

Bade Stan

Mahila ke breast ke aakar par nirbhar karta hai ki kaise purush uske prati aakarshit hote hai. Halanki, motape ke parinaam swaroop bade aakar ke stan wali mahila  ko cancer of breast ho sakta hai. Motape ki vajah se or bhi rog hone ki sambhawana bad jaati hai.
 

Der se Shadi

Jo ladkiya jaldi shadi nahi kart hai, un mai fibroid hone ki aashanka hoti hai, jo cancer ka hi ek roop hai, iske alawa breast cancer hone ke bhi chances hote hai. Aamtour par mahilaayen apne career ke baare mai soch kar der se shaadi karti hai aur iss wajah se unhe breast cancer ho jata hai. Inn mahilaoon mai breast cancer hone ka karan yeh hota hai ki, jab tak breast dudh uttpan nahi karta, tab tak waha sharir ka padaarth hota hai, jo mahilaayon mai cancer paida karne waali koshikayon ke asamanya gun ko trigger kar deta hai. Parinaam swaroop breast cancer ho jata hai.
 

You May Also Like:- Symptoms of Pancreatic Cancer: Jane Iss Bimari Ke Lakshan

 

Lambe Samay Tak Garbhnirodhak Goliyon Ka Sevan

Maukhik Garbhnirodhak Goliyaan (Oral Contraceptive Pills) lene se mahilaaye garbhavati hone se bach jaati hain. Yeh baat mahilaaon ko acchi lagti hai. Yeh goli parivae ke niyojan ke liye li jaati hai. Halanki, adhik matraa mai aur lambe samay tak inn goliyon ka sevan mahilaayo mai anya samasya utpanna kar sakta hai. Sarvajanik swasthya nishkarshon se pata chalta hai ki inn goliyon ke sevan aur breast cancer ke kharta hone mai ek majboot sambandh hai.
 

Der Se Rajonivratti

Jis mahila ko bachha paida karne ke kuch saalon tak rajinivratti nahi hoti, use breast cancer ho sakta hai. 50 saal ki umra ke bad tak bhi jis mahla mai masik dharm aata hai, use bhi breast cancer hone ka bahut jyada khatra hota hai.
 
Upar aapne jana Causes of Breast Cancer in Hindi. Mahilao ko jaagrukta ki avshyakta hai. Jitni jyada mahilaye breast cancer ke karano ke prati jaagruk hongi, unme iss bimaari ki sambhawna kam hogi.

Loading...

You may also like...