Janiye Causes of Hernia Ke Baare Mai Jaruri Tathaye

Hernia aisi bimari hai ho ang ke atirikt vikas ke karan utpanna hoti hai, yani agar sharir ka koi ang apni samany isthiti se adhik badh jaye to vah hernia kahlata hai. Yeh sharir ke kisi bhi hisse mai ho sakta hai.

Pet me hone vali hernia sabse samanya hai. Lekin fir bhi  dekha gaya hai ki logo iss bimari ke karnko ke baare mai nahi ptaa hota hai. To chaliye hum aapko batate hai, Causes of Hernia in Hindi.

Jab pet ki maspeshiya kamjoor ho jati hai aur iske karan aante bahar nikal aane ki samasya hoti hai. Tab yeh isthiti pet ki hernia kahlati hai. Yeh jis jagah par hoti hai us jagah par ek ubhaar aa jata hai.

Adhik samay tak khasi ya bhaari saman uthane ke karan mashpeshiya ke kamjor ho jane ke vajah se hernia hone ki sambhavana adhik hoti hai.

Halaki hernia ke koi khas lakshan nahi hote ,lekin iske karan sujan aur dard ki shikayat ho sakti hai. Iss prakar ka dard khade hone, mashpeshiya ki khichav hone ya bhaari saman uthane par bad sakta hai.

Iske karano ke baare mai baat karne se pahle aaiye sabse pahle hum aapko batate hai Types of Hernia, jisse ki aap iske prakaar ke baare mai jankar sahi jankari prapt kar sakte hai.

Types of Hernias, Janiye Iske Prakaar ke Baare Mai

Inguinal Hernia

Isme jangho ke jodo mai hota hai. Iss bimari mai andkosh jangh ki patli nali se andkosh mai khisak jate hai. Aisa hone par andkosh ka aakar badh jata hai. Andkosh mai sujan ke karan hydrosil aur hernia mai antar karna mushkil ho jata hai. Hernia ka yeh prakar purusho mai paya jata hai. Iske lagbhag 70% rogiyo ko yeh hernia hi hota hai.

Umbilical Hernia

Umbilical Hernia, ek iss bimari ka samanya roop hota hai. Isme pet ki sabse kamjoor maspeshi, hernia ki theali nabhi se bahar nikal aati hai. Yeh hernia kamjor maspeshiyo wale ya moto vyakti ko adhik hota hai. Halaki iske kuch mamlo ka 8-10% hi hota hai.

You may also like:- Acidity Treatment in Hindi, Iss Pareshani se Bachne ke Upay

Femoral Hernia

Yeh hernia ke kul mamlo mai se lagbhg 20 % hi hota hai. Iss  mai pet ke ang jangh ke pair mai hone wali dhamni mai mojud muh se bahar nikal aate hai. Iss dhamni ka kam pair mai khoon ki kami karna hota hai. Fimoral hernia purusho ki tulana mai mahilao ki adhik hota hai.

Epigastric Hernia

Jab vasa ka ek chhota sa hissa pet ki mashpeshiya ke bich se nikalta hai jo nabhi ke bich mai hota hai. Yeh hernia purusho ko adhik hota hai aur iski chapet mai 30 se 50 saal ke log aate hai.

Essential Hernia

Aant us jagah se ubhar kar aati hai jaha par pahle surgery ho chuki ho isme twacha ke theek hone ke baad bhi andar ki maspeshiya alg-alg khich jati hai jo is bimari ka karan banti hai.

Hernia hone par iska upchar surgery ke jariye hota hai, surgery ke baad marij ko theek hone mai 1 se 2 mahine ka vakt lagta hai. Ek baar upchar ke baad yeh samasya dobara bhi ho sakti hai.

Causes of Hernia ko Pahchan kar Isse Khatarnak Bimari se Bachiye

Tissue Damage

Causes of Hernia in Hindi mai sabse bada karan hai, kisi chhot ke karan jab tissue fatt jate hai, jiske karan aksar hernia ho jata hai. Tissue ko nuksan pahuchne ke karan aantrik ango ke liye badne ka rasta aasan ho jata hai jiske karan yeh samasya aati hai.

Vrdhawastha

Yuvaawastha ki tulana mai vrdhawastha mai iss bimari  ka khatra badh jata hai. Iska karan yeh hai ki age ke saath saath maspeshiya kamjoor ho jati hai tatha iske karan aantirik ango ko felav ki suvidha mil jati hai.

Gender

Mahilao ki tulana mai purusho me hernia ki samasya adhik hoti hai. Adikansh mamlo mai purusho mai yeh kamar ke bhag mai hota hai. Ek study mai ptaa chala hai ki, Purusho mai kamar ki mashpeshiya mai kamjoori aane par vah iss bimari se grasit ho hote hai.

Surgical Procedure

Operation ke baad hone wala hernia bahut samany hai tatha mahilao mai (jinke pet ka operation hua hai ) kabhi na kabhi yeh jarur hota hai. Ise incisional hernia kaha jata hai. Iss prakar ka hernia aksar moti lady mai hota hai.

Janm Dosh

Janm ke baad nabhi ke pas bhag mai ubhar bhi  iss ka ek prakar ho sakta hai. Pet ki diwar mai janm dosh bhi hernia ka ek karan ho sakta hai.

Kabj

Yadi aap purani kabj se preshan hai to aapko mal tayag karte samay bahut jor lagana padh sakta hai. Iss bhaari dbav ke karan pet ke naram tissue fatt sakte hai jiske karan log iss bimari se ghir sakte hai.

Motapa

Causes of Hernia in Hindi ki baate kare to motape ka naam sabse pahle aata hai. Aavshykta se adhik vasa jama hone par pet ki maspeshiya fail jati hai tatha dheere dheere kamjoor ho jati hai. Kamjoor maspeshiya iss ka parmukh karan hoti hai.

Upar aapne jana Hernia ke symptoms, causes. To bas der kis baat ki aaj se hi iss bimari ke lakshano ko pahchan kar isse bachne ke liye doctor ko dikhaye aur swasth rahe.

Hernia se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Diet and Fitness.

Loading...

This website uses cookies.