High blood pressure jise ham samanya bhasha mai hypertension ya ucch rakhchap bhi kehte hai. Wese to raktchaap badne ke kai karak hote hai kintu iska mukhya karan jab sharir mai namak ki matra jyada hoti hai tab yeh samasya utpanna hoti hai.
Jab aapka raktchaap 140/90 se adhik ho gaya hai to samajh lijiye aapka raktchaap bad gaya hai. Ucch rahtchap rakt vahiniyo mai behte huye rakt dawara vahiniyo ki diwar par dale gaye dabav ko kehte hai.
Raktchaap ke jyada hone par vyakti ko hriday sambandhi bimariya hone ka khatra adhik rehta hai. Isse heart attack aana, kidney fail hona aadi samasya dekhne ko milti hai.
Aaj hum aapko ucch rakhtchaap ke badne ke karan bata rahe hai jinhe jankar aap raktchaap ko badne se rok payenge. To aaiye jante hai Causes of High Blood Pressure in Hindi.
Causes of High Blood Pressure – Raktchaap Badne Ke Karan
Wese to raktchaap badne ka sahi karan abhi tak pata nahi chal paya hai kintu kai aise karak hai jinke karan rakchap badne ki sambhavnaye paida ho jati hai. Jaise ki galat lifestyle ke karan. Aaiye vistar se jane What Causes High Blood Pressure:-
Namak Ke Sevan Se
- Jab vyakti aavshykata se adhik namak ka sevan karta hai to ucch rakhtchaap ki samasya bad jati hai.
- Kidney sharir mai sodium aur pani ko banaye rakhne ka kam karti hai aur potassium ke strav se namak ka santulan bana rehta hai, Lekin jab kidney mai iska asantulan hota hai to raktchaap badta hai.
Aanuvanshikta Ke Karan
- Aanuvanshikta ke karan hone wala ucch raktchaap karib 2 se 3 % logo mai paya jata hai.
- Yadi kisi vyakti ko ucch rakhtchaap hai to uske aane wali pidhi ko bhi yeh samasya ho sakti hai.
- Kai bar bhrun mai achanak se DNA ke badlne par bhi baccho mai raktchaap ki samasya dekhi gai hai.
- Kai shodhkartao ka yeh bhi kehna hai ki ucch raktchaap ki samasya aanuvanshik guno ke aadhar par bhi hoti hai.
Badalti Jeevansheli Ke Karan
- Sharirik gatividhi na karne par bhi iss tarah ki samasya ho jati hai.
- Khane mai jyada sodium ki matra lene par aapko iski pareshani ho jati hai.
- Ucch raktchaap adhik matra mai alcohol ka sevan karne par bhi badta hai
- Aajkal logo mai khane ki galat aadto ke chalte bhi hypertention ho sakta hai.
- Santulan matra mai aahar na lene par vajan badne lagta hai jisse high bp ki pareshani hoti hai.
- Kai log aavshyakta se adhik davaiyo ka sevan karte hai jiske karan unhe ucch raktchaap ho jata hai.
Nervous System Ki Gatividhi Ke Karan
- Tantrika tantra ucch raktchaap mai mahtavpuran bhumika nibhata hai, kyonki tantrika tantra se hriday gati, raktchaap aur saans lene ki dare judi hoti hai.
- Shodhkartao ne pata lagata hai ki inme se kisi bhi gatividi mai asantulan hota hai to ucch raktchaap ki samasya ho jati hai.
Tanav Jyada Lene Par
- High Blood Pressure Causes ki baat kare to tanav bhi iski ek mukhya wajah hai.
- Yadi aapko chhoti chhoti batopar tanav lene ki aadat ho gai hai to aapko hypertension ki samasya ho sakti hai.
Badti Umra Ke Karan
- Jab vyakti budha hota hai to uske sharir mai rakt ka sanchar jyada tej gati se hone lagta hai.
- Umra badne ke sath sath aapki sharirik gatividhi kam ho jati hai aur high blood pressure ki samasya ho jati hai.
Jane Kuch Anya Karan:-
- Yadi aapko thyroid ki bimari hai to ucch raktchaap ho sakta hai.
- Kuch logo mai kharate lene ki aadat hoti hai yeh bhi high bp hone ka ek karan hai.
- Agar aap apne aahar mai phal aur sabjiyo ko shamil nahi karte hai to aapko ucch raktchaap ki samasya ho sakti hai.
- Ucch raktchaap ki pareshani kisi ko bhi ho sakti hai parantu 44 ki umra ke bad jyada logo mai dekhne ko milti hai.
Upar aapne jana Causes of High Blood Pressure in Hindi. Yadi aap ucch raktchaap ki samasya se bachana chahte hai to uprokt karno ko jankar aap inn par niyantran rakh sakte hai tatha swasth jeevansheli jee sakte hai.