Causes of Weight Loss in Hindi: Vajan Kam Hone Ke Karan

Har koi sukhmay jivan jina chahta hai. Aur iss sukhmay jivan ko jine ke liye aapka vajan niyantran mai hona behad jaruri hota hai. Sabse pehle aapko apne vajan se judi sabhi baato ka khayal hona chahiye aur uske baad aap kuch aage soch sakte hai.

Baazar mai vajan aur sharir badhane ke  daawe karne wale kai utpad moujud hai. Kai duble ya kam vajan wale vyakti apne vajan aur sharir ko badhane ke liye inn mahange utpado mai apna paisa kharch karte hai aur phir bhi unka vajan ya sharir mai koi badlva na hone se antatah nirash ho jata hai.

Koi bhi utpad, dawa ya salah ka istemaal karne ke pehle yeh janana bahut jaruri hai ki kya aapka vajan sach mai kam ho raha hai? Aur agar vajan kam hai to vajan kam hone ka kya karan hai?

Kya Aapka Vajan Samanya se Kam Hai?

Aapka vajan samanya se kam hai ya nahi yeh janane ke pramuk 3 manak hai:-

  1. Body Mass Index – Vajan aur uchai ka sambhag:-

Jiss tarah heart ke bimar ki jokhim ki stithi ka aklan karne ke liye raktchaap nirakshan karte hai, thik usi tarah B.M.I aapke vajan ki janch karne aur saath hi aapko swasth se jude khatre ka aklan karne ka sahi upay hai.

  1. Abdominal Girth – Pet ka map:-

Sharir mai fat jama hone ke karan sabse khatarnak jagah hai kamar ke aaspaas aur sharir ka upari hissa. Yahi sabse mahatvapurna jagah hai jaha anavashyak charbi ko ghataya jana jaruri hai.

Dhyan rahe, iss baat ki shodh hui hai ki kisi mahila ke liye 90 cm se jyada ki ya purush ke liye 100 cm se jyada ki kamar kai swasth sambandhi samasyao ke liye jimmedar hai.

You may also like:- Weight Loss Tips in Hindi: Vajan Kam Karne ke Upay

  1. Height Weight Chart – Vajan uchai talika:-

Samanya bhartiya mahila aur purush ke uchai aur vajan talika niche di gayi hai. Aap aapke uchai ke hisab se aapka vajan kitna hona chahiye iska andaaja niche di gayi talika se laga sakte hai;

Height  Men  Women
(Feet & Metres)  Weight Weight
(kgs)  (kgs) 
5′-0″ (1.523 m) 50.8 – 54.4 50.8 – 54.4
5′-1″ (1.548 m) 51.7 – 55.3 51.7 – 55.3
5′-2″ (1.574 m) 56.3 – 60.3 53.1 – 56.7
5′-3″ (1.599 m) 57.6 – 61.7 54.4 – 58.1
5′-4″ (1.624 m) 58.9 – 63.5 56.3 – 59.9
5′-5″ (1.650 m) 60.8 – 65.3 57.6 – 61.2
5′-6″ (1.675 m) 61.6 – 66.7 58.9 – 63.5
5′-7″ (1.700 m) 64.0 – 68.5 60.8 – 65.3
5′-8″ (1.726 m) 65.8 – 70.8 62.2 – 66.7
5′-9″ (1.751 m) 67.6 – 72.6 64.0 – 68.5
5′-10″ (1.777 m) 69.4 – 74.4 65.8 – 70.3
5′-11″ (1.802 m) 71.2 – 76.2 67.1 – 71.7
6′-0″ (1.827 m) 73.0 – 78.5 68.5 – 73.9
6′-1″ (1.853 m) 73.3 – 80.7 73.3 – 80.7
6′-2″ (1.878 m) 77.6 – 83.5 77.6 – 83.5
6′-3″ (1.904 m) 79.8 – 85.9 79.8 – 85.9

Agar aap tino manko mai samanya se kam shreni mai aate hai to aaapka vajan kam hai aur samanya mai lane ke liye avashayak ilaj aur aahar-vihar parivartan karna chahiye.

Causes of Weight Loss in Hindi

Vajan Kam Hone ka Kya Karan Hai?

Weight Loss ke aneko karan hai. Agar aapka vajan pichle 6 mahine mai aapke samanya vajan se 5% kam huya hai to ise bhi vajan kam hona kaha jata hai aur iska ilaj karna jaruri hai. Aapka vajan aapke khaane, pine, swasth, anuvanshikta, maahol, poshan ityadi karano par nirbhar karta hai.

You may also like:- Motape se Chutkara Chahiye to Suniye Apne DNA ki

Agar aap kai dino se bimar hai to bhi poshan tatvo ke abhav mai aapka vajan kam ho sakta hai. Kuch logo ka anuvanshik karano se bhi patle aur kam vajan ho sakta hai.

Kuch rog aise bhi hai jinme akaran vajan tezi se kam hota hai. Jab tak inn chupe rogo ka ilaj na kiya jaye vajan badhna kafi mushkil hota hai. Aise rog hai:-

  • Addison’s Disease: Ek hormonal rog.
  • Alchoal: Madhyapan.
  • Amebiasis: Pet mai jantu/ kide panda.
  • Cancer: Lagbhag sabhi kark rog mai bhuk na lagna aur vajan kam hona yeh lakshan dikhai deta hai.
  • COPD: Faifde ka rog jisme saans lene mai kathinai hoti hai. Jyadatar vraddh vyaktiyo mai paya jata hai.
  • Crohn’s Disease: Ek pet ki bimari.
  • Depression: Chinta ya avasad.
  • Diabetes: Madhumeha.
  • Aids.
  • Hepatitis: Piliya.
  • Hyperthyroidism: Ek thyroid granthi ka rog. Jyadatar mahilao mai paya jata hai.
  • Lactose Intolerance: Lactose se allergy hona.
  • Medicine: Kuch dawa lene se bhukh kam ho sakti hai.
  • Peptic Ulcer: Aamashay mai vran.
  • Tuberculosis: TB ya yakshma.

Yeh kuch mukhya rogo ka hi ullekh kiya gaya hai. Aise kai anya rog hai jinme akaran vyakti ka vajan kam hota hai. Agar aap thik se samtol aahar le rahe hai aur aapko lagta hai ki aapka vajan bina kisi vajan se kam hai ya badh  nahi raha hai to ek baar apne doctor se janch karaye aur jane Causes of Weight Loss in Hindi.

Agar aapko koi rog nikalta hai jiss vajah se aapka vajan nahi badh raha hai to uss rog ke ilaj karne par aur samtol aahar lene par aapka vajan phir se badh kar samanya ho sakta hai.

Loading...

You may also like...