How to Get Rid of Cellulite: Jangho aur Kulho Se Charbi Hataye

Kya aapke kapde aapko tang hone lage hai aur iske piche ki wajah pet, jangho aur kulho par charbi jamna hai? Ab aap soch rahe honge ki aapke sharir par atirikt charbi jamne lagi hai. Lekin yadi aapke baki sharir par charbi nahi hai aur keval sharir ke inhi teen hisso par charbi hai to yeh sharir ka atirikt fat nahi balki cellulite hai.

Yeh samasya mahilao mai dekhne ko milti hai. Iske karan pet, jangho aur nitambo ki jagah dhili hokar latak jati hai. Ham aapko yeh bhi bata de ki yeh fat se thodi alag hoti hai. Iska swasth par to koi prabhav nahi padhta lekin haa yeh dikhne mai bahut kharab lagta hai.

Iske karan yadi aap apni manpasandida kapdo se dur ho gayi hai to koi baat nahi. Ham aapko bata rahe hai kuch aese vyayam jinki madad se aap ise dur kar sakti hai. To aaiye jane How to Get Rid of Cellulite.
 

How to Get Rid of Cellulite: Patli Kamar aur Pairo Ke Liye

 
How to Get Rid of Cellulite
 
Accha dikhne ke liye kya chahiye? Ek aakarshak figure, jiske chalte aapka pet andar hona chahiye, kamar aur kulho par atirikt charbi nahi chahiye. Sath hi tange bhi moti ki jagah patli chahiye. Tabhi to aap kisi bhi dress mai attractive lagengi. To chaliye iske liye jante hai Exercises to Get Rid of Cellulite:-
 

Rojana Tehle

  • Cellulite ki samasya ko kam karne ka sabse aasan koi vyayam hai to wo hai chalna. Yadi aapse kathin vyayam nahi bhi ho pate hai to koi baat nahi.
  • Rojana subah aur sham ko aadha ghanta chalne se aap apne pairo ki jangho ko shape mai la sakte hai.
  • Isse aap matra 1 ghante mai 300 calorie tak ghata sakte hai aur yeh aapke sampurn swasthya ke liye bhi faydemand hai.
  • Yadi aap isse wakai fayda pana chahte hai to khud se promise kare ki aap hafte mai 6 din challenge, aur lamba rasta chunenge.

 

Straight-Leg Deadlift

  • Sidhe khade ho jaye aur apne pairo ke bich thodi si duri rakhe. Apne dono hatho mai vajan rakhe. Hatheliyo ka face aapke sharir ki taraf hona chahiye.
  • Ab vajan lekar jukhe, apne dono hatho ko ghuto se niche touch kare. Aapki kamar se lekar sir tak ka hissa jameen se samanantar hona chahiye.
  • Aap wapis pehle ki tarah sidhe ho jaye. Iss activity ko kam se kam 15 baar to jarur kare.
  • Isse aapki jangho aur kulho par latki hui twacha tight ho jayegi. Yeh bahut hi prabhavi Cellulite Workout hai.

 

Advanced Step-Up

  • Yadi aap aerobic vyayam ki ek step ko dumbbell ke sath karte hai to isse bhi aapko cellulite kam karne mai bahut madad milegi.
  • Iske liye aapko kisi uchi chiz ki jarurat hogi jo aap pharsh par rakh sake, ya fir yadi aapke ghar mai sidiya to aap uss par bhi ise kar sakte hai.
  • Apne baye pair ko uthakar sidhi par rakhe. Ab apne daye pair ko uthaye lekin hawa mai hi latke rehne de.
  • Fir apne daye pair ko wapis jamin par rakhe aur uske bad apne baye pair ko jameen par rakhe.
  • Ab yahi process pehle apne daye pair ke sath bhi kare. Bari bari se pair badalkar ise karte jaye.
  • Ise apne jameen se chhuti hui sidhi ki first step par kare. Yadi aap ise uchai par karte hai to girne ki aashanka rahegi.
  • Ise aur bhi prabhavi banane ke liye iske bad lying glute stretch kare.

 

Lying Gut Stretch

  • Samtal jammen par dari bichakar peeth ke bal let jaye. Apne pairo ko sidha rakhe.
  • Ab ek pair ko ghutne ki taraf se modkar sine ki taraf lekar aaye aur hath se use pakad kar kuch seconds ke liye hold karke rakhe.
  • Wapis se pairo ko sidha kar le aur aesa dusre pair ke sath bhi kare.
  • Har pair ke sath kam se kam 10 set kare. Yane dono pairo ko milakar aapko iske 20 sets karna hai.

 

Kalpanik Kursi

  • Sabse pehle diwar ke sahare kahde ho jaye. Ab niche ki aur thoda sa slide kare.
  • Iss tarah baithe ki mano ek kursi par baithe huye ho. Aap chahe to chair pose yoga bhi kar sakte ho.
  • Chehra aur peeth ek dum sidhi hona chahiye.
  • Hatho ki hatheliyo ko piche diwar par rakhe. Iss position mai 30 seconds se 1 minute ke liye bane rahe.

 
Upar aapne jana How to Get Rid of Cellulite in Hindi. Aap bhi upar bataye gaye vyayamo ko apnakar, apne sharir ki twacha ko ek saman bana sakte hai. Iske liye aapko jyada samay bhi nahi dena padhega. Yadi aap din mai 1 ghante upar bataye gaye vyayam ko karenge to 2 mahine mai hi aapko result dikhega

Loading...

You may also like...