Cervicitis Symptoms: Garbhashay Griva ke Lakshan aur Karan

Garbhashay griva shoth mahilao mai hone wala youn sankraman hai. Iske lakshan yun to samanya tour par nazar nahi aate. Lekin phir bhi kuch aise sanket hote hai, jo iss rog ke hone ki ashanka paida karte hai. Janiye Cervicitis Symptoms aur iske sambhavit karan.

Garbhashay griva shoth (cervicitis), garbhashay mai hone wali sujan ho kahte hai. Iske nichle hisse mai stith sakri si griva hoti hai, jo youni mai jakal khulti hai.

Garbhashay griva hone par bhi kai baar iske lakshan saamne nahi aate hai. Lekin, phir bhi kuch sanketo ko iss rog se jodkar dekha ja sakta hai.

Garbhashay griva shoth ke douran mahilao ko baar masik dharm ke douran asamanya rakt srav hota hai tatha youni se hone wale srav mai badlav mahsoos kiya jata hai.

Aamtour par garbhashay griva shoth, chlamydia aur gonorrhea jese youn sancharit sankramano ke karan ho sakta hai. Iske saath hi yeh rog gair sankramak karano se bhi ho sakta hai. Iss rog ka ilaj sujan kai antnirhit karano ka pata laga unhe dur karna hota hai.

You may also like:- Garbhavastha ke Baad Pet Kam Karne ke Upay

Cervicitis Causes: Garbhashay Griva Shoth ke Karan

Cervicitis mai 2 prakar ki koshikaye hoti hai. Flat skin koshikaye aur glandular koshikaye. Younishoth ke liye jo tatva uttardayi hote hai, wahi garbhashay shoth ke liye bhi uttardayi hote hai. Iske bacteria aur virus ko garbhashay mai pravesh karne se rokti hai.

Jab garbhashay griva sankramit ho jati hai, to isse sankraman ke youni tak pahuchne ka khatra bad jata hai. Garbhshay griva shoth ke anya sambhavit karan:

  • Youn Sancharit Sankraman: Aamtour par garbhashay griva bacterial aur viral infection dwara hota hai. Yeh sankraman youn sambandho dwara failta hai. Garbhashay griva shoth gonorrhea aur chlamydia jese youn sankramano dwara ho sakta hai. Iss baat ke koi sakshya nahi mile hai ki Human Papillomavirus (HPV), jo ek aur youn sankramit hai, garbhashay griva shoth ka karan ho sakta hai.
  • Allergy: Kai baar allergic reaction se bhi yeh samasya ho sakti hai. Yeh sankraman garbhnirodhak goliyo, shukranu nashak aur condom mai moujud latex ke karan ho sakta hai. Bacteria ka adhik badna bhi iska ek sambhavit karan hai. Youni mai aamtour par moujud rahane wale bacteria bhi yadi avashyakta se adhik bad jaye, to iske karan bhi garbhashay griva ko sakta hai.

Cervicitis Symptoms: Janiye Iske Lakshan aur Rahiye Satark

Aamtour par garbhashay griva shoth ke koi lakshan ya sanket saamne nahi aate hai. Iss baat ka pata kewal pap test athwa kisi anya karan se karwayi gayi biopsy ke dwara hi pata chal pata hai.

Agar aapko Cervicitis Symptoms aur sanket nazar aate hai, to wo kuch iss prakar ke ho sakte hai:

  • Youni mai samanya se adhik srav hona. Yeh srav grey aur pile rang ka hota hai. Yeh srav pas ki tarah hota hai, jisme kabhi-kabhar durgandh aati hai.
  • Baar-baar paishab jana aur paishab ke saath dard hona ye iska aam lakshan hai.
  • Yadi aapko sambhog ke douran bahut jyada dard hota hai to aap iss sankraman ke shikar ho sakte hai.
  • Masik dharm ke douran athwa menopause ke douran sambhog ke douran youni se rakt srav hona ye bhi iska sanket hai.
Doctor se Sampark Kare:
  • Youni se aniyamit srav hone par.
  • Yadi masik dhram ke bina bhi youni se rakt srav ho to.
  • Sambhog ke douran dard hone par.

Garbhashay griva shoth ke aamtour par koi lakshan aur sanket nazar nahi aate hai. Aur yeh ek aniyamit pap test se hi saamne aa sakta hai. To accha rahega ki aap pelvic ki niyamit janch aur pap test karwati rahe aur Cervicitis Symptoms se dur rahe.

Get more details of Cervicitis from Sex & Love.

Loading...

This website uses cookies.