Chicken Pox Symptoms in Hindi: Jane Lakshan aur Upchar

Chicken pox ek samanya sankraman hai jise hum choti mata bhi kahte hai. Yeh varicella vishanu ke karan hota hai. Yeh bimari chhune, saans lene se jayada failti hai. Swastha baccho aur vayasko mai yeh bimari bahut kam hoti hai. Iss sankraman ke karan sharir par choti-choti funsiya ya dadode ho jate hai. Aksar ise khasre ki bimari bhi samjh liya jata hai, kyonki iss bimari mai ruk-ruk kar khujli hoti hai. Kabhi-kabhi yeh bimari kafi dardnak bhi hoti hai. Jis wajah se bukhar, sardi, khansi aur sar dard jaisi samsya bhi rehti hai. Iske alawa twacha mai bacterial sankraman, nimoniya, aur mastishk mai sujan bhi iske samanya lakshan hai. Ayurveda mai iss bimari ko laghu masurika bhi kaha jata hai. Yeh ek choot ki bimari hoti hai. Jo jyadatar 1-10 ki umra ke baccho mai hoti hai.

Chikitsako ke anusar 12 se 15 saal ki umar ke baccho ko chicken pox ka pahla tika aur 4 se 6 saal ki aayu mai dusra tika lagwana chaiye, jisse bacche iss bimari se bach sake). Yeh tika chicken pox ke halke sankraman ko rokne mai 70-80 fisadi labhkari hota hai, aur gambhir roop se sankraman rokne me 90 fisadi asardar hota hai.

Chicken Pox Symptoms in Hindi: Chicken Pox ke Lakshan

 

Chicken Pox Symptoms in Hindi: Jane Lakshan aur Upchar

 

Aaiye jante hai Chicken Pox Symptoms in Hindi ke mukhya lakshan

  1. Chicken pox ki shuruwat se pahle halka bhukhar, khansi, sar dard, ultiya, bhook mai kami aur pith mai dard jaise lakshan dikhai daite hai aur agle 24 ghanto mai pet, pith aur chehre par funsiyo ke saman lal khujlidar dane uth jate hai. Jo baad mai pure sharir par ho jate hai.
  2. Pahle to yeh funsiya dano ya kide ke dank ke saman lagti hai magar baad mai yeh taral padarth yukt fhafole ka roop le leti hai.
  3. Iss bimari mai 250 se 500 lal dane pure sharir par fail jate hai.
  4. Baccho mai yeh bimari karib 2-3 hafto tak rahti hai.
  5. Iss avastha mai sankramit vyakti ko ghar se bahar nahi jane dena chahiye.
  6. Vaise to yeh bimari 1-10 aayu ke baccho mai jyada hoti hai magar jab yeh kisi vyask vyakti ko hoti hai to bahut hi dard-dayak or taklif-dayak hoti hai.
  7. Aise vyakti jinke sharir ka Immune system kamjor ho jaise HIV sankramit vyakti un logo mai yeh bimari kafi kastdayak hoti hai.

 

You May Also Like: Urinary Tract Infection in Hindi: Iske Lakshan, Karan aur Upchar

 

Chicken Pox Treatment in Hindi: Chicken Pox ke Upchar

Aaiye jante hai chicken pox ke sankraman ko rokne ke liye kya kiya ja sakta hai

  1. Chicken Pox ka tika lagwana iska sabse accha upchar hai. 13 Saal ya usse adhik aayu ke vyakti ya jinki pratiraksha shakti kamjor ho, aese vyaktiyo ko 4 se 8 saptah ke antral mai 2 tike lagwana chahiye.
  2. 12 mahine se 12 saal ke swastha baccho ko 3 mahine ke antral mai chicken pox ke tike lagwana chahiye.
  3. Kisi bhi prakar ki dawao ka sevan karne se pahle chikitsak ki salah lena na bhule tatha swam kisi bhi tarah ka upchar na kare.
  4. Sharir mai pani ki kami ko pura karne ke liye adhik se adhik pani piye.
  5. Apne khanpan mai sade bhojan ka istemal kare, jyada tala, masaledar ya bahar ka bhojan na kre.
  6. Jyade kase hue ya sharir se chipakne wale kapde na pahne ho sake to suti kapdo ko pahne, yeh aapke sharir ke tapmaan ko samanya rakhta hai.
  7. Agar aapki twacha mai bahut jalan ya dard ho to, din mai 3 se 4 baar thande pani se nahaye aur calamine lotion ka istmal kre yeh sharir mai ho rahi khujli ko kam karta hai. Iss lotion ka istmal chehre or aankho ke aas pas na kare.
  8. Agar khujli karne par apke ghav khul jate hai, jinhe thik hone mai bahut samay lagta hai aur esse sankraman bhi ho sakta hai, isliye apne nakhun kaat kar rakhe. Chote baccho ko hath me dastane pahnakar rakhe.
  9. Diphenhydramine or Benadryl lotion ka istemal na kare yeh apke shahir ko hani pahuncha sakta hai.
  10. Apne pratiraksha tantra ko majboot karne ke liye acchi nind le aur poshtik aahar kare. Apne pratiraksha tantra ko sudrad banaye rakhne ke liye hari sabjiya aur taje phalo ka istemal kre.
  11. Khatte padartho se door rahe jaise nimbu ka ras ya narangi ka ras na piye.
  12. Jitna ho sake sharir ko thanda karne wale padartho ka sevan kare, chiken, anda, matan jaise padarth bilkul na khaye kyoki yeh apke sharir ka tapmaan aur bada sakte hai.

13. Tez bukhar ko kam karne ke liye thande pani se bhigoya hua kapda sar par rakhe.

Aaj apne Chicken Pox Symptoms aur Chicken Pox Treatment in Hindi ke bare mai jana. Aap inn lakshano aur upcharo ko dhyan se samjhe aur apne bahumulya sharir ka dhyan rakhe.

Loading...

You may also like...