Chiku Benefits: Janiye Sapodilla ke Swasthvardhak Laabh

Chiku ek aisa phal hai jo ki har mausam me aasani se mil jata hai aur ye bahut swadisht bhi hota hai. Bhojan ke baad yadi chiku ka sevan kiya jaye to nishchit roop se laabh milega. To chaliye aaj hum is article me aapko batate hai Chiku Benefits.

Chiku ke phal me 71% pani, 1.5 % protein, 1.5 % fats aur 25 ½ % carbohydrates hota hai. Isme Viamin A tatha Vitamin C ki acchi matra hoti hai. Chiku me 14 % sugar bhi hota hai. Isme phosphorus tatha iron bhi kafi matra me hota hai. Saath hi alkali ka bhi kuch ansh hota hai.

hiku Bhi Hota Hai Kai Bimariyo ka Bemisaal Ilaaj

Sapodilla

Aankho ke Liye Accha

• Chiku me Vitamin A acchi matra me paya jata hai, jis vajah se budape me hone vali aankho ki samasya ko bhi dur kiya ja sakta hai.
• Naseberry aapki aankho ki har tarike ki problem ko dur karta hai.

You may also like:-Oregano Benefits: Ajwain Leaves ke Swasthvardhak Laabh

Energy Deta Hai

• Chiku me glucose acchi matra me paya jata hai, jo sharir ko turant urja pradaan karta hai.
• Jo log roj vyayam aur kasrat karte hai, unhe urja ki bahut jyada jarurat hoti hai. Isliye un logo ko chiku roj khana chahiye.

Anti-Inflammatory Agents

• Naseberry me tannin acchi matra me payi jati hai, jiske vajah se yeh ek accha Anti-inflammatory agent hai.
• Dusre shabdo me kaha jaye to yeh kabj, dast aur anemia jesi bimariyo se bachata hai. Saath hi intestinal ki shakti ko bhi badata hai. Heart aur Kidneys rogo ko bhi hone se rokta hai.

Cancer ke Khatre se Bachata Hai

Chiku me Vitamin A aur B acchi matra me paye jate hai aur isme antioxidants, fiber aur anya poshak tatva bhi paye jate hai jo cancer se bachata hai.
• Vitamin A lung aur muh ke cancer se bhi bachata hai.

Haddiyo ke Liye Faydemnad

• Sapodilla me calcium phosphorus aur iron ki atirikt matra payi jati hai, jo haddiyo ke liye bahut jaruri hoti hai.
• Calcium, iron aur phosphorus ki acchi matra hone ki vajah se haddiyo ko badne aur majbooti dene me chiku bahut laabhdayak hota hai.

Constipation se Rahat

• Chiku me fiber (5.6/100g) matra me paya jata hai. Is liye isme acchi matra me laxatives paya jata hai.
• Jo kabj se rahat dilata hai aur anya sankraman se ladne me bhi help karta hai.

Garbhavastha me Laabhdayak

Sapodilla Benefits ka sabse accha fayda yeh hai ki, chiku me carbohydrates aur jaruri poshak tatva ki acchi matra paye jane ki vajah se yeh garbhavati mahilao aur istan paan karane vali mahilao ke liye chiku bahut faydemnad hota hai.
• Chiku garbhavastha ke doran hone vali anya kamjori jese matli aur chakkar jesi dikkato ko bhi kam karta hai.

Hemostatic Properties

• Chiku me hemostatic properties ke gun bhi paye jate hai. Matlab sharir me hone vale rakt ke nuksaan se bhi bachata hai.
• Is prakaar chiku piles aur choti moti chhot ko bhi jaldi se khatam kar deta hai aur iske beej ko piskar use kide ke katne ki jagah par lagaya ja sakte hai.

Anti-viral aur Anti Bacterial Properties

• Polyphenolic antioxidants ke hone ke karan chiku me kai tarah ke Anti-viral and Anti Bacterial gun bhi paye jate hai.
• Antioxidant hone ke karan yeh sharir me bacteria ko aane se rokta hai, Vitamin C hanikarak mukat kado ko nash karta hai aur potassium, iron, folate aur niacin digestive system ko swasth rakhta hai.

Dast se Rahat

• Sapodilla Benefits ki baate kare to hum bol sakte hai ki, chiku me anti dairy ke gun bhi paye jate hai. Pani me chiku ko ubal ke banaya gadhe paste ko pine se aaram milta hai.
• Yeh piles me bhi bahut laabh pahuchata hai.

Mansik Swasth

• Chiku dimag ko shant rakhne me bahut faydemand hota hai. Yeh Dimag ki tantikao ko shant aur tanav ko kam karne me help karta hai.
• Is prakar neend na aane, chinta aur avsaad se pidit vykati ke liye bahut faydemand hota hai.

Sardi Jukham

• Chiku me kuch khas tatav paye jate hai, jo swasn tant se kafh aur balgum nikal kar purani khasi me raht deta hai.
• Is prkaar yeh sardi aur khansi se bachta hai.

Chiku-Benefits

Kidney ki Pathri

• Chiku ke phal ke beej ko piskar khane se yeh gurde ki pathri ko peshab ke dwara nikaal deta hai.
• Saath hi yeh gurde ke rogo se bhi bachata hai.

Weight Ghatne Me

• Chiku vajah kam karne me bahut laabhdayak hota hai.
• Yeh gastric enzymes ko khatam karke digestion system ko majboot karta hai karta hai aur motape se bachata hai.

Sapodilla Benefits: Chiku ke Bemsaal Fayde Aapke Swasth ke Liye

Detoxification

• Chiku ek mutravardhak ke roop me bhi kaam karta hai.
• Yeh sharir se peshab ke dwara gandagi ko nikalne me help karta hai.

Tooth Cavity

• Chiku me latex aachi matra me paya jata hai isliye yeh danto ki cavity ko bharne ke liye bhi istemaal kiya jata hai.
• Saath hi daant ki kisi bhi tarah ki problem hone par iska sevan karan chahiye.

Chamkdaar Twacha

• Chiku aapki twacha ko chamkdaar banaye rakhne me bhi kafi maddgar hota hai. Isme Vitamin E paya jata hai, jisse aapki skin ko nami milti hai.
• Isliye chiku aapki twacha ke liye bahut laabhkari hota hai.

Baalo ke Liye Gunkari

• Chiku ke beej se nikale gya tel ko baalo me lagana chahiye. Kyoki yeh aapke baalo ko nami pradaan karta hai aur unhe soft banata hai.
• Yeh ghungrale baalo ke liye bahut accha mana jata hai aur bahut jaldi avshoshit ho jata hai.

Baalo ko Jhadne se Rokta hai

• Chiku ke beej ka tel aapke baalo ko poshan deta hai aur baalo ko badne me bhi help karta hai.
• Yeh sar me hone vali sujan ko badne ki wajah se baal girne ke upchar me bhi faydemand hota hai.

Dandruff Bhagaye

• Chiku ka paste banalo phir usme arandi ke tel ke saath mila lijiye, ab ise apne baalo me lagaiye.
• Iss mishran ko sar ki twacha par laga lijiye phir agle din shampoo kar lijiye. Isse aapke baalo me chamk aa jayegi aur dandruff bhi khatam ho jayegi.

Wrinkles ko Kam Kare

• Chiku me antioxidant acchi matra me paye jate hai. Isliye yeh umar ki prakiya ko rokne me sahayak hote hai.
• Saath hi yeh free radical ka khatam karta hai aur jhurriyo ko nahi aane deta hai.

Skin ointment

• Chiku ke beej ka tel twacha ke liye skin ointment ke roop me prayog kiya jata hai.
• Iss beej ki chhal ko garam kar ke isse aap sikai bhi kar sakte hai.

Fungal Growth se Bachata Hai

• Chiku ke podhe ka dudhiya ras skin par fungal ko dur karta hai.
• Saath hi skin ki kisi bhi problem ko hamesha ke liye khatam kar deta hai.

Watch Video Here

Upar aapne jane Chiku Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi is gunkari phal ka sevan shuru kar de aur swasth rahe.

See more details of Sapodilla Benefits from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...